Saturday, May 10, 2014

KYA IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA NAHIN PADHNA CHAHIYE ??


 
 
 
KYA IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA NAHIN PADHNA CHAHIYE ??


 
Ubada bin Sammit raz riwayat kartehai ke hum Farz ki Namaz Nabi saw ke peche padhte the , Aap saw ne Quran padha to Aap saw par padhna bhari ho gaya , jab Namaz se farig hue to Farmaya , sayad tum apne Imaam ke peche padha karte ho? 
 
Humne kaha ha Allah ke Rasool saw, Aap ne farmaya Surah Fatiga ke aalawa or kuch na padha karo , kyon ke us shakhs ki Namaz nahi hoti jo Surah Fatiha na padhe ,
 
{ Abu Daood ,
kitab us Salath ,
Hadees no 823 ,
Tirmizi , kitab us Salath ,
Hadees no 311 }
 
 
Isse Imaam Khuzema , Ibn Hibban or Bahqi ne Sahih kaha , jab ke Imaam Tirmizi or Daur Kutni ne Hasan kaha hai ,

Hadees Hasan hai :Ese Imam Bukhari r.al ne Apne Kitab khalk afa'al Alba'ad (Safa 102,hissa-526) me v ese Sanad wa Matan se bayan keya hai Aur darekutni (1/320 h-1207) wa bahke (Alsunan:2/165) se ne Sadik bin Khalid Aur Abu daood (824) , Nishai (141/2,safa-921) wa Darkutni (1204 , 1/319) ne Zaid bin waqad ki sanad se bakhelaf Aysa rewayat keya(Wakal Bahkqi fi kitab Iqra (Safa-24,Safa121)''


Ese k Rawi Nafeh bin Mohammad : Darekutni,Hakim Zahbi (Alkasaf :3/197) bahqi, Ibn hazam (Alma'hli 3/241,242) aur Ibn Hibban wagaira k Nazdek Seka hai, es per mazul ki Zarra Mardud hai , dekhe Al-kawakab aldarya(Safa-32,33) haram bin hakim (sika) ne makhul ki Mutabek kar rakhe hai, kitab Al qira lil-Bahqi (sfa-121) ki hasan laz'at rewayat k Akher me ye Alfaz hai ''Us se fatiya khalf al imam k Wajib sabit hota hai