Tuesday, May 6, 2014

JANNAT KA BAYAN

1: jannat ki chaurai jameen aur Asmano ke brabar h 

[surah al imran 133] 

2:jannat ke fal aur bahare hmesha rahengi 

[surah ra'ad 30] 

3:jannat me bhukh aur payas nahi hogi 

[surah taaha 118] 

4:jannti sone ke kangan aur sabaj resham ke kapde pahn kr takiyedar bistro par maje krenge 

[surah kahaf 31] 

5:jannti Akal par fark na dalne wali safed rung ki jayekedar sharab piyenge 

[surah saffat 46,47] 

6:janntiyo ke liye heere aur motiyo jesi sharmili nigaho wali biwiya hongi jinse is se pahle kisi jinn ya insan ne chhuwa tak nahi hoga 

[surah rahman 56-58] 

KUCH HADISE B DEKHIYE --------------------­-------- 

1: jannat me bimari,budhapa aurmaut nahi hogi 

[muslim] 

2:yadi ek jannati apne kangan kesath duniya me jhank le to suraj ki roshani ko is tarah khtm kr dega jis tarah suraj ki roshani taro ko khtm kr deti h 

[trimizi] 

3:yadi jannti aurat duniya me 1 bar jhank le to shimal se mashrikke darmiyan ki hr chej ko roshankr de aur(sare mahol ko) khushbu se mahkata kr de 

[bukhari] 

4:jannat ke mahal sone aur chandi ki einto se bane h uska gara tez khushbu wala h uske sangreje moti aur yakut ke h aur uski mitti jafran ki hai 

[tirmizi] 

5:jannat ke 100 darje h har darje ke bich jamin aur asman ke brabr duri h 

[tirmizi] 

6:jannat ke falo ka ek guchha jamin wa asman ke b sare jivo aur insano ke khane se khatm nahi hoga 

[tirmizi] 

7:jannat ke ped(tree) ka saya itna lmba hoga ki uske saye me ek ghora swar 100 sal tk chalta rahe tb b saya khatm nahi hoga 

[bukhari] 

9:jannat me kaman ke barabr jagah sari duniya h aur duniya bhahr ki sari nemto se jyda kimti h 

[bukhari] 

10: hauj e kausar par sone aur chandi ke pyale honge jinki tadat asman ke sitaro ke barabr hogi [muslim] 

Via Ayan Khan Salafi