Thursday, May 1, 2014

KYA NAMAZ-E-JUMA KE LIYE 2 AZAN DI JAYEGI ?

KYA NAMAZ-E-JUMA KE LIYE 2 AZAN DI JAYEGI ?


Hadith- 


Hz Saaib Bin Yazid r.a Se Marwi Hai Ki Nabi e Akram s.a.w Haz Abu Bakar r.a Aur Hz Umar r.a Ke Zamane Me Juma Ki Pahali Adhan Us Waqt Di Jati Thi Imam Khutbe Ke Liye Mimbar Par Bethta 

Lekin Hazrat Usman r.a Ke Zamane Me Jab Logo Ki Tadat Jyda Ho Gai To Zaura Ki Jagah Ek Aur Adhan Dilwane Lage 

[Sahi Bukhari Kitabul Juma 912, Abu Dawud 1087] 

Bukhari rh. Byan Karte Hai Ki Zaura Madina Ke Bazar Me Ek Jagah Kam Hai 

[Bukhari ,912]

 Malum Hua Ki Nabi e Karim s.a.w , Hazrat Abu Bakar r.a , Aur Hazrat Umar r.a, Ke Zamane Me Juma Ke Liye Sirf Ek Adhan Di Jati Thi Lekin Phr Hazrat Usman r.a Ne Logo Ki Tadat Jyda Hone Ki Wajah Se Bazar Me Ek Unche Makam Yani Zaura Par Ek Adhan Aur Badha Di Isliye Ki Taki Logo Ko Asani Se Khabrdar Kiya Ja Sake Aur Sahaba Kiram r.a Ne Phir Isi Ko Ikhtiyar Kar Lia 

Yaqinan Agar Aaj Bhi Aisi Surat Ho To Ye Amal Muba'h Hoga Lekin Agar Aisa Na Ho To Jesa Ki Aj Ke Daur Me Takriban Har Masjid Me Laud Speaker Maujud Hota Hai Jis Ke Jariye Door-Door Ke Ilaqo Tak Adhan Ki Awaz Pahunchana Koi Masala Nahi Raha Isliye Aisi Kisi Adhan Ki Jarurat Baki Nahi Rah 

Jati Is Surat Me Pahli Adhan Ka Jawaz Nikalna Puri Tarah Se Sahi Nahi Iske Alawa Sirf Masjid Me Dono Adhane Jesa Ki Hmare Yaha Ahanaf Ka Riwaz Hai Hazrat Usman r.a Ki Bhi Sunnat Nahi Isliye Agar Ye Sunnat Usmani Par Waqai Agar Amal Krna Chahte Hai To Unhe Chaiye Ki Bazar Me Jakar Kisi Unchi Jagah Jakar Kisi Unchi Jagah Khade Hokar Pahli Adhan De Apne Is Nazriye Ke Liye Ahnaf Ka Wajahat Ke Liye Ye Dalil Pesh Karna Ki Meri Aur Aur Hidayat Paye Charo Khalifa Ki Sunnat Ko Lazim Pakdo Bhi Sahi Nahi Kyo Ki In Khalifo Ki Wahi Sunnat Ikhtiyar Ki Ja Sakti Hai Jo Asal Me Nabi e Karim s.a.w Se Sabit Ho 

[Tohftul Ahwazi 3/69]

 Iske Alawa Yah Dawa Karna, Ki Is Adhan Par Sahaba Ka Ijma'h Khamoshi Hai Taqmil Hone Ko Nahi Pahunchta Kyo Ki Hazrat Ibne Umar r.a Se Marwi Hai Ki Juma Ke Din Pahali Adhan Kahna Bidat Hai 

[Ibne Abi Shiba 5437]

 Ibne Hajar rh Kahte Hai Isme Shak Hai Ki Hazrat Ibne Umar r.a Ne Ye Bat Ala Sabeelil Inkar Yani Tajjub Karte Huwe Kahi Ho Ya Isme Bhi Shak Hai Ki Unhone Ise Se Ye Matlab Lia Ho Ki Nabi e Karim s.a.w Ke Zamane Me Ye Adhan Nahi Thi Aur Har Aisi Chez Jo Nabi e Karim s.a.w Ke Zamane Me Na Ho Uska Nam Bidat Ho 

[Fathul Bari 3/55]

 Yad Rahe Ki Hum Ise Bidat Nahi Kah Sakate Kyo Ki Hazrat Usman r.a Ne Ye Adhan Dusari Namazo Par Qayas Karte Huwe Shuru Ki Thi Wah Is Tarah Ki Kisi Bhi Namaz Ke Liye Adhan Isliye Di Jati Hai Taki Logo Ko Namaz Ke Waqt Se Khabrdar Kia Ja Sake Ab Chunki Logo Ki Tadat Ki Jydadti Ki Wajah Se Juma Ki Din Aisa Mumkin Na Tha Ki Ek Adhan Se Sab Ko Khabr Ho Jaye Aur Yaqinan Hi Der Se Aane Ki Wajah Se Bdi Tadat Ke Jume Ka Sawab Bhi Brbad Hone Ka Dar Tha Isliye Unhone Ye Adhan Shuru Krwa Di Jyda Malumat Ke Liye 

Naylul Autaar 2/552 Aur Fathul Bar 3/55 Dekhe To Malum Hua Ki Usman r.a Ne Ye Adhan Zaura Jo Ek Jagah Masjid Se Ek Mile Dur Waha Dilwai Ye Adhan Itne Pahle Di Jati Ki Log Adhan Sunkar, Saman Samet Kar Ghar Jate The Aur Naha Dho Kar Masjid Me Khutba Shuru Hone Pahle Pahunch Jate Agar Is Tarah Kahenge Tab To Ye Usmani Adhan Kahlayegi Warna Aj Kuch Minute Pahle Imam Ke Munh Ke Samane Khade Hokar Adahan Kahne Ko Usmani Tarika Nahi Kahenge Zaura Madina Se Ek Mile Ki Duri Par Bazar Lagta Tha Log Waha Jama Hote Isliye Waha Adhan Dilwaee Bahrhal Aj Kal Logo Ke Hath Me Ghariya Hai Isliye Is Adhan Ki Bilkul Jrurt Baki Nahi Rahi Afazal Yah Ki Nabi e Karim s.a.w Ke Tarike Ko Apnaya Jaye Lekin Agar Kisi Sabab Ke Chalte Jesa Ki Hz Usman r.a Ke Waqt Tha To Usman r.a Ka Tarika Apna Lene Me Koi Harz Nahi 

via : Ayan Khan Salafi