ISLAM ME RANG, BIRAADRI, JAAT PAAT KO KOI AHMIYAT NAHIN, HAM SAB PAHLE MUSALMAN HAIN
European Mumalik mein Gorey aur Kaaley k beech Farq kiya jata hai aur Gore Rang walon ko Kaalon k banisbadh Tarjee di jati hai kwaah Huqooq ho ya phir Izzat o Ihteraam ka muamla ho .Ye unke so called Well Cultured Society ka Ek Pahlu hai .
Isi tarha Deegar Mazahab mein Zaath paath, Oonch Neech ko Kafi Ahmiyiat di jaati hai .
Per Islam aisa wahid Mazhab hai jahan Ghareeb Ameer , Gora Kala, Malik Naukar sab ek hi Saff mein Kandhe se Kandha milaker apne Rab k samne khadey hote hain .Ek Naukar bhi Malikon ki Imamat karsakta hai ek Kam Tabqe ka Shaks bhi Ameer k kandhe se kandha milaker Namaz ada kerta hai .Gharz ye ke Insan ko uske Neik Awsaaf se pahchana jata hai na ke Rang Roop Ya Paise se .SubhanAllah !
Ye Islam ki Khoobsurti hai jiski misaal Duniya k kisi bhi Mazhab aur Society mein nahi milegi.Alhumdul lilah Hum hai Musalman !!!
VIA--
Afshan Fatima