Bismillahirrahmanirraheem
Chasht Ki Namaz
--------------------------
Is Namaz Ko Chasht Ki Namaz , Ishraq Ki Namaz Salatul Awwabeen, Aur Salat Al Duha Bhi Kahte Hai
Yah Wah Namaz Hai Jo Suraj Nikalane Ke Bad Se Lekar Dopahar Suraj Dhalane Se Pahle Ada Ki Jati Hai
Is Namaz Ki Kam Az Kam 2 Rakate Hai Aur 8 Rakat Tak Bhi Padh Sakate Hai
Ye Nafil Ibadat Hai Padhe To Behad Sawab Na Padhe To Koi Gunah Nahi
-
Hazrat Abu Huraira r.a Se Riwayat Hai Mere Khaleel Nabi Karim s.a.w Ne Mujhe 3 Chezo Ki Wasiyat Ki Har Maah 3 Din Ke Roze Rakhna ,Chasht Ki 2 Rakat Padhna Aur Sone Se Pahle Vitr Padh Lena
-
[Sahi Al Bukhari 1981, Muslim 721, Abi Dawood 1431, Tirmizi 760, Nasai 1677]
-
Nabi Karim s.a.w Ne Farmaya Tumhara Rab Farmata Hai Ai Ibne Adam Din Ke Shuruwat Me 4 Rakat Padho Me Tumhe Din Ki Intiha Me Kafi Ho Jaunga -
[Tirmizi 475, Abi Dawood 1289, Ibne Hibban 3533]
-
Ek Riwayat Me Ye Hai Ki Rasul s.a.w Ne Farmaya Insan Ke 360 Jod Hai Aur Har Jod Par Sadka Hai Aur Namaz Chasht Ki 2 Rakate In Tamam Sadko Se Kifayat Kar Jati Hai
-
[Sahi Muslim 1007]