Tuesday, April 1, 2014

HAM AHLE HADITH "8" RAKAT TARAWEEH KI NAMAZ KYUN PADHTE HAIN ?? (PART-1)





Bismillahirrahmanirraheem

*Sabse pahle Ahnaf Hanfio ki Dallil k radd..

Dalil: 1

Sayedna Jabir bin Abdullah razi Allah anhu Frmate hn k Nabi salallahu alaihi waslam ne Ramzan k Ak Rat me Ae or logo ko char (04) rakate Farz, Bees (20) Rakate Namaz (taravih) or Teen (03) Rakate Witar Padhae.
(Tarikh Jarjan Li Hafiz Hamzah Bin Yousaf Al Sahmi safa 146)

Jawab:
Is Riwayat Ka Ak Ravi Mohammad Bin Hameed Al Razi Jamhoor Muhadasin K pas Majrooh He or (Imam) Ishaq kosij Farmate hai:

''Me Gawahi Deta hun k Wo jhoota tha.''

(Ameen Okadwi ki Kitab TajliatSafdar j 3 safa 224 or dekhieMahnama Al Hadis Hazru: 76 safa 34, 35)

Is Riwayat ka 2ra Ravi Umar Bin Haroon b Jamhoor k pas Majroh he.
(Dekho Nasb al Ra'aya 1\ 351,355, 4\ 237)

Tanbih:

Ilyas Ghaman char Rakat farz, 20 rakate taravih. . . . . .likh k tarjume me baddiyanti ki he




Dalil: 2
Abdullah Bin Abbas razi Allah anhu Se Riwayat he K Rasool Allah salallahu alaihi waslam Ne Ramdan me Witar k siva 20 rakate padhte the.
(Ibn Abi Sheebah_ Behaqi)

Jawab:
Ye Riwayat sakht zaef he. Iski sanad me Rawi Abu Sheebah Ibrahim Bin Osman He Jis Pe Sakht jarah Kia gaya he.
 

IMAM BUKHARI RAHMULLAH kahte hai:

Sakto Anhu: yani Aima Hadis Uski riwayat ko Chod Dia he. Imam Ahmed, Yahaya bin Mueen or Imam Abu Dawod Ne Zaef Qarar Dia he. Imam Trimizi Munkar al Hadis Kaha he. Imam Nisai or Dolabi Matrook al Hadis Kaha He. Imam Abu Hatim zaef Al Hadis kaha he. Imam Salih kahte hn k zaef he or uski Hadis likhne k laiq nahi hai.

(Tahzib al Tahzib Safa 144 j1)

*Hanfi Ulima ne b zaef qarar dia hai:

1- Alama Nemvi Asar Al sunan 398
2- Anwar shah kashmiri al Arf Al Shazi Safa 309
3- Alama Zaili Nasb al Rayat safa 153 j2
4- Mula Ali Qari Marqat safa 381 j3
5- Alama Yousaf Banori Muaraf al Sin 546 j5
6- Alama Abdul Haya lakhnavi al Ta'alqin Al Mamjid safa 142

Upr Hawalo se malom hua k Abu sheebah Ibrahim bin osman ki zaef hone pe Muhadissin or Ulima ka Ijma h




Dalil: 3
 

Sayedna Abi Bin Ka'ab razi Allah anhu farmate hn k Sayedna Umar bin Khatab razi Allah anhu Mujhe Hukum Dia k Ramzan ki Rat me Main Namaz (taravih) padhaon.
Sayedna Umar razi Allah anhu ne farmaya: log din ko roza rakhte hai or (rat) ko (QURAN) Ki tilawat sahi nahi kr sakte hn is lie Quran Majid ki Tilawat Rat ko kare to
bhtr he. Sayedna Abi Bin Ka'ab razi Allah anhu n farmaya: ye bat Me Janta hun Par Wo tilawat katariqa bhtr he k Sayedna Abi Bin Ka'ab razi Allah anhu logo ko 20 rakate Namaz (taravih) padhai.
(Itihaf al Khairat ul Mahratu J-2 safa 424)

Jawab:

is Dalil k Ravi Abu Ja'afar al razi k Rabi'a bin Ins se Riwayat krne me tamam ziada Aztarab hota he.
(Kitab Al Saqat Laibn Haban 4\228)

or Ye b usi sand hi se he is lie zaef he.

(Dekho Al Hadis 76 safa 39)




Dallil : 4
Saib bin Yazid razi Allah anhu se Riwayat he k Log Umar razi Allah anhu k zamane me 20 rakat padhte the.
(Behaqi)

Jawab:

ye Riwayat Shaz he qk is riwayat k Ravi yazid bin Khasefa Khud se ziada saqa rawi Mohammad bin Yousaf k Mukhalifat ki he. Wazih rahe k Shaz riwayat zaef ka ak
qism he.

2- is riwayat k Ravi yazid bin Khasefa ko Imam Ahmed Munkar al Hadis qarar dia he.
( Meezan al A'atadal safa 430 j 4)

3- Mohammad bin Yousaf ki Riwayat Ayesha Saddiqa razi Allah anhu ki riwayat mutabiq is lie maqbul he or Yazid bin Khasefa ki riwayat mardud.

4- is Riwayat me Umar Farooq razi Allah anhu k zamane me Logo ki trf se padhne ka zikr he jb k Mohammad bin yousaf Riwayat me Umar farooq razi Allah anhu k trf 11 rakat padhna ka hukum he.

5- saib bin yazid razi Allah anhu se riwayat krne wala Mohammad bin yousaf uske bhatija he is lie 2ro se nisbat uski riwayat ziada sahi hogi.


Dalil: 5
 

Sayedna Saib Bin Yazid razi Allah anhu Farmate Hn K Sayedna Umar razi Allah anhu k daor me Ramzan Sharif me Log 20 rakat (namaz taravih) papandi se padhte the or Farmaya k Quran Majid ki 2 Sao Ayate padhte the or Sayedna Osman bim Afan razi
Allah anhu k zamane me log Qayam ko ziada hone k sabab Apni lathiyo k taik lagate the.
(Sunan Al Kubra Lil Behaqi j 2 safa 496)

Jawab:

ye same Riwayat Dalil 5 Me guzr chuki he or ye faqat Hawala tabdil kr k Sunan Al Kubra Lil Behaqi ka hawala pash kia he halanke yahi same riwayat he.
(Dekho Al Hadis 76 safa 44)



Dallil : 6

Sayedna Hassan Razi Allah Anhu farmate hn K Sayedna Umar Bin Khatab razi Allah anhu Ramzan Sharif K Mah me Namaz Taravih Padhne K lie Logo ko Sayedna Abi
Bin Ka'ab razi Allah anhu ko Imamat pe Jama kia k Sayedna Abi Bin Ka'ab razi Allah anhu un logo ko 20 Rakat (namaz taravih) padhate the.
(Sunan Abi Dawod safa 1426 j3)

Jawab:

Is Riwayat me Asharae "RAKA'AT" k lafz maojod hn or 2ra k iski sand Mankat (zaef) he. Qk Hassan (basri) Sayedna Umar razi Allah anhu k zamana nh dekha tha.
(Dekho Sharah Sunan Abi Dawod Lil Aeni 5\ 343, Al Hadis 76 safa46)

Hassan Basri K ak Makata Riwayat pe Jarah k lie Dekho Sarfaraz Khan safdar ki Kitab Azalat ul Raeb safa 23



Dalil: 7

Sayedna Ali Al Murtaza razi Allah anhu us shakhs ko hukum dia jo Ramzan Sharif me logo ko Namaz (taravih) padhata tha k wo 20 rakate namaz (taravih) padhae har 2 Rakato k Darmian Salam fere or har 4 Char rakat k beech me aram k lie kuch waqfa krle.
(Masand Al Imam Yazid Bin Ali safa 158)

Jawab:

Imam Yazid Bin Ali rahmullah Ki tarf mansob "masand zaid" Ahle Sunat ki kitab nh he blke Zaidi Shiyon ki Kitab he or Al Deoband Ka us kitab se hujat lena us bat ki dalil hd k deobandiyo or zaidi shiayo k apas me Dili Dosti he. 2ra k "Masand Zaid" ka buniadi
Ravi Abu Khalid Umar bin Khalid Al Wasiti Kazab (tamam ziada jhota) Ravi he. Us Ravi k mutaliq Imam Yahya bin Mueen Farmate Hn "Kazab" Imam Isahaq Bin Rahooya farmate hn:

''Umar Bin Khalid wasiti Hadis ghadta tha.''

Imam Abu Zara'a Al Razi farmate hai:

''wo Hadise Banata tha.''

Imam Waqia Bin al Jaraah farmate hai:

''Wo Kazab (tamam ziada jhota)tha.''

(Dekho Tahqiqi Maqalat j 3 safa510)

Is Kitab k baqi sand b mardud hai.




Dalil: 8
Shattar Bin Shakal rahmullah (Sayadna Ali Al Murtaza razi Allah anhu k Sathi hn) ramzan Sharif me logo ko 20 Rakate namaz (taravih) or witar Padhate the.
(Musanif Ibn Abi Shaibah j2 safa258)

Jawab:

Is Riwayat ki sand Abu Isahaq Sabe'ii Mudalis or Sufyan Suri
Mudalis kﻋﻦ ﻋﻦ ki wjh se zaef he.

(Dekhe takreb Al tahzeb safa no-8337)



 

Dalil: 9

Zaid Bin Wahab rahmullah farmate hn k Sayedna Abdullah bin Masaood Razi Allah AnhuRamzan Sharif Me hamko Namaz (taravih) padha k ghar wapis jate
the rat ko kuch hisa abi hota tha. Ap 20 rakat (taravih) or 3 rakat witar padhate the.
(Qayam Alil Lael Lil Marozi safa157)

Jawab:

Ye Riwayat Be sand he or be sand riwayat mardud hoti he.

(Dekho Ta'adadi Rak'ati Qiyam Ramzan ka tahqiqh jaiza safa 81)





Dallil : 10

Sayadna Abi Bin Ka'ab razi Allah anhu Madina Munwarah me Ramzan K Mah Me logo ko 20 rakat Namaz (taravih) or witar padhate the.
(Musanif ibn Abi Shaibah j2 safa 258, Al Targhib Wal Tarhib lil Asbahani j2 safa 368)

Jawab:

Ye Riwayat Manqata he Abdul Aziz Bin Rafi'a Sayadna Abi Bin Ka'ab Razi Allah Anhu ka zamana nh dekha tha.

(Ta'adad Raka'at Qayam Ramzan Safa 66 Ba Hawala Al Sunan)



 

Dalil: 11

Shattar Bin Shakal rahmullah (Sayadna Ali Al Murtaza razi Allah anhu k Sathi hn) ramzan Sharif me logo ko 20 Rakate namaz (taravih) or witar Padhate the.
(Musanif Ibn Abi Shaibah j2 safa 258)

Jawab:

Is Riwayat ki sand Abu Isahaq Sabe'ii Mudalis or Sufyan Suri
Mudalis kﻋﻦ ﻋﻦ ki wjh se zaef he.





Dallil : 12

Abu Al Bakhtari rahmullah Ramzan Sharif me (namaz taravih) 5 Taravih (20 rakate) or 3 witar padhate the.
(Musanif Ibn Abi Shaibah j2 safa 285)

Jawab:

ye Riwayat Is lie zaef he jo is riwayat k 2 rawi khalaf or rabi'a ka Tueen namalom he.



Dalil: 13

Tabai K Asar se dalil lena kai sabab ki wjh galat he.

1- ye na Nabi salallahu alaihi waslam ki Hadis or na phr kisi Sahabi ka asar he.

2- zikr Hua Tabai Se ye sbt nh k 20 rakate sunat maoqda hn or 20 se kam ya ziada jaiz nh hn. Is lie All Taqalid unse istadalal krna jaiz nahi he.







Dalil: 14

Jalil ul Qadar Tabai Attau Rahmullah farmate hn k Mene (Sahabi razi Allah anhu or Tabainrahmullah) jase logo ko 20 rakate taravih or 3 rakat witar padhte
dèkha.

Jawab:

is asar me logo se murad kn hn ? Or uski koi b wazahat nh he or Aen mumkin he k Tabain Murad or baz tabain ka ikhtalafi amal adla Araba se koi dalil nh he.



Dallil :15


Hars Rahmullah logo ko Ramzan Sharif Me 20 Rakat Namaz (taravih) or 3 rakat witar bajamat padhate the or (dua) qunut (jo witar me padhi jati he) ruku se phle padhte the.

(Musanaf Ibn Abi Shaibah j2 safa 285)

Jawab:


Ye Riwayat Abu Muawia Al Zarir, Hajaj bin Artat or Abu Isahaq Mudalisin k ﻋﻦ ﻋﻦ k sabab Haris Al Auor Se sbt nh he or Haris Aur Bazat Khud jamhor k pas majroh

he or baqaol Imam Shoabi: Hars jhota tha.


 



Via--Imran khan salafi