.Bismillahirrahmanirraheem
BIMAAR KI IYAADAT KARNE KA BAYAAN ME WAARID HADITH
MASLA:- 1
BIMAAR KI IYAADAT NA KARNE WAALE SE QAYAAMAT KE DIN SAWAAL KIYA JAAYEGA
Hz Abu Hurairah (Ra) Farmate Hain Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya
"Allah Taala Qayaamat K Din (Ek Aadmi Se) Sawaal Karega- Aiy Ibn Aadam ! Main Bimaar Hua Toone Mera haal Kyon Na Poocha ??
Ibn Aadam Arz Karega:- Aiy Mere Rabb ! Tu Rabbul Aalameen Hai, Tere haal Ka Kya Matlab ??
Allah Farmaayega:- Kya Tujhe Malum Nahin Tha Ke Mera Falan Banda Bimaar Hai, Lekin Tune Uski Iyaadat Na Ki, Agar Tu Uski Iyaadat Karta , Toh Mujhe (Yani Meri Rahmat) Us Bimaar Bande K Paas Paata
Ek Dusre Aadmi Se Sawaal Hoga
"Aiy Ibn Aadam ! Maine Tujhse Khaana Maanga, Lekin Tune Mujhe Khaana Na Diya !
Ibn Aadam Arz Karega:- Aiy Mere Rabb! Tu Rabbul Aalamaeen Hai, Main Tujhe Kaise Khaana Khilaata??
Allah Taala Irshaad Farmaayega:- Kya Tujhe Malum Nahin, Mere Falan Bande Ne Tujhse Khaana Maanga, Lekin Tune Use Khaana Na Khilaaya, Agar Tu Use Khaana Khila Deta, Toh Uska Sawaab Mujhse Haasil KaR Leta"
ek Aadmi Se Poocha Jaayega
"Aiy Ibn Aadam ! Maine Tujhse Paani Talab Kiya, Tune Mujhe Paani Nahin Pilaaya ??
Ibn Aadam Arz Karega :- Aiy Mere Rabb ! Tu Rabbul Aalameen Hai Main Tujhe Paani Kaise Pilaata ?
Allah Taala Irshad Farmaayea
Mere Falan Bande Ne Tujhse Paani Maanga, Tune Use Paani Na Pilaaya, Kya Tujhe Malum Na Tha Ki Agar Tu Use Paani Pilaata Toh Uska Sawaab Mujhse Pa Leta"
(Sahih Muslim, Lil Albani Hadith 1465)