Sunday, April 20, 2014

ROZE KI HAALAT ME INJECTION LAGWAANA KAISA HAI


Sawal
Roze ki halat me injection lagane se Roza tootega ya nahi???
-
Jawab-
 
Roza Todne Wale Kam Jan Bujh Kar Khane Pine, Humbistri Karnf Aur Kai Karne Se Roza Tut Jata Hai

Hadis e Nabwi Hai Us Jat Ki Qasm Jis Ke Hath Me Meri Jan Hai Rozedar Ke Munh Ki Badbu Allah Ke Nazdik Kasaturi Ki Khushbu Se Jyda Badhiya Wa Pakiza Hai (Allah Farmate Hai Kyo Ki) Rozedar Apna Khana Pina Aur Apni Shahwat Mere Liye Chor Deta Hai
Sahi Bukhari 1894
-
Roze Ki Halat Me Injection Lgwana
-
Asal Me Aisi Koi Dalil Maujud Nahi Jis Se Sabit Hota Hai Ki Is Se Roza Tut Jata Hai Aur Na Hee Khane Pine Par Ise Mana Jayega Kyo Ki Ye Halaq Ke Jariye Pet Tak Nahi Pahunchta Aur Na Kisi Aur Zariye Se Pet Tak Pahunchta Roza Tab Tutta Hai Jab Pet Tak Pahunche Injectn Jism Ke Surago Me Sama Jata Hai Jesa Ki Surma Ankho Hum Lgate Hai Ankho Ke Zariye Ye Gayab Ho Jata Hai Aur Kabhi Kabhi Ye Ankho Me Samakar Halaq Tak Bhi Pahunch Jata Isi Tarah Sakht Garmi Me Thande Pani Se Nahane Se Jism Me Tabdeeli Hona, Roze Ki Sakhti Me Kami Aur Pani Ka Jism Ke Surakho Me Sama Jana Ek Ittifaqi Bat Hai, Aur Yah Bhi Agar Koi Chez Panw Ke Talwo Me Male To Us Ki Kadwahat Munh Tak Mahsus Ki Ja Sakti Hai Isliye In Tamam Chezo Se Kisi Ke Sath Bhi Roza Tutane Ka Huqm Nahi Lgaya Ja Sakta 
 
Chunache Injection Me Asal Jawaz Hi Hai Jab Tak Manahi Ki Koi Wajeh Dalil Na Mil Jaye Isliye Injection ka Maksad Khane Aur Taqat Ka Hasil Krna Maksad Na Ho Balki Sirf Bimari Ka Ilaz Agar Ho Jo Jaiz Hai