Thursday, April 3, 2014

HAYAT UN NABI (SWS) PAR BAHES


Ke Post Ka Jawab
-
Alam Bsp
Assalamu alaikum wr wb,
Aur ye mera aqidah hai,
.
Hayatun nabi sallallahu alaih wassalam
.
Hazrat auws bin auws raziyallahu anh farmate hain,
ki rasoolallah sallallahu alaih wasallam ne irshad farmaya,
Tumhare dino me sabse afzal juma ka din hai,
Isi din hazrat aadam alaihissalam paida huye,
Isi roz inka inteqaal hua,
Isi roz soor phonka jaayega,
Isi din behoshi taari hogi,
Is liye is din mujh par darood bheja karo,
kyonki tumhare darood mere saamne pesh kiye jaate hain,
Logon ne arz kiya .
Ya rasoolallah sallallahu alaih wasallam hamaare darood aap sallallahu alaih wasallam par kis tarha pesh kiye jaate hain, jabki huzoor {sallallahu alaih wasallam } ka jism mubarak mahfooz na hoga, .
Aap sallallahu alaih wasallam ne farmaya ji allah jalle shanahu ne . Anbiyaa alaihimussalam ke jismon ko zameen par haraam kar diya hai, ? .
Abu daoud sharif, jild 1, safha 398, hadis 1034,
Ibn majah sharif, sahfa 174, hadis 1097,
.
Hazraat anbiya alaihimussalam ki qabr me zindagi haq hai,
Dekhiye allamah sakhaavi rahmatullah alaih likhte hain
ki ham emaan laate hain,
aur tasdeeq karte hain,
ki huzoor sallallahu alaih wasallam apni qabr shareef me zindah hain. .
Aur aap sallallahu alaih wasallam ko rizq diya jaata hai,
Aur aap sallallahu alaih wasallam ke jism mubarak ko mitti nahi khaati. .
Isi par ummat ka ijmaa hai,
Al qaulul badee, safha 125,
Hafiz ibn qayyim rahmatullah alaih likhte hain,
ki hazraat anbiya alaihimussalam ki arwaah ke saath,
aan hazrat sallallahu alaih wasallam ki rooh mubarak,
rafeeq aala me hai.
Maa haaza,
aap sallallahu alaih wasallam ki rooh mubarak ka badan shareef ke saath aisa rabt o ta,alluq hai, .
Jiski wajah se aap sallallahu alaih wasallam salaam karne wale ka jawab dete hain? .
Zatul miaad, jild 2, safha 49, asra o meraj ka baab,
Hazrat abu huraira raziyallahu anh farmate hain,
ki farmaya rasoolallah sallallahu alaih wasallam ne .
Jo shakhs meri qabr ke paas .
Mujh par darood padhta hai,
main usko sunta hon,
Aur jo shakhs darood bheje
mujh par door se.
Pahunchaya jaata hai wo mere paas,
Mishkat sharif, jild 1, safha 197, hadees 868,
.
Baqiya insha allah aayendah ki

----------------------------
 

ANSWER- 

Wa'alaikum Assalam Jesa Ki Deobndi Muqalid Hazrat Alam Bsp Jo Ki Khud Bhi Aalim Hone Ka Dawa Karte Hai Aur Bcho Ko Madrse Me Bhi Padhate Hai Unhone Kaha Ye Unka Aqida Hai Alam sb
Qbr Parsto Ke Yahi Aqide Hote Hai Jis Se Wo Shirk Ke Daldal Me Panw Rakhte Hai Aur Ye To Aksar Log Ab Janane Lag Gaye Hai Ki Brelvi Bidati Aur Deobndi Bidti Ek Hi Chiriya Ke 2 Alag Alg Nam Hai In Dono Firko Ko Qbro Se Faiz Hasil Hota Hai
.
Alam Sb Ap Jinki Taqlid Karte Hai Kya Unka Bhi Yahi Aqida Tha?
Chaliye Imam Sahb Ka Ek Qaul Naqal Kar Dete Hai
-
Maqruh Hai Ki Dua Karne Wala Yun Kahe Ki Me Ba Haq Fala'n Ya Ba Haq Ambiya Wa Rasul Tere Ya Ba Haq Haram Tujhse Sawal Karta Hu Aur Ap Yahi Maqruh Samjhte The Ki Dua Karne Wala Yu Kahe Ki Ba Haq Teri Makhluq Se
.
Allah Ke Asma Wa Sifat Ke Jariye Dua Karo
.
Sharah Fiqah Akbar Safa 198
.
Inki Pesh Ki Hui Pahli Dalil
-
Ya rasoolallah sallallahu alaih wasallam hamaare darood aap sallallahu alaih wasallam par kis tarha pesh kiye jaate hain, jabki huzoor {sallallahu alaih wasallam } ka jism mubarak mahfooz na hoga, .
Aap sallallahu alaih wasallam ne farmaya ji allah jalle shanahu ne . Anbiyaa alaihimussalam ke jismon ko zameen par haraam kar diya hai, ? .
Abu daoud sharif, jild 1, safha 398, hadis 1034,
Ibn majah sharif, sahfa 174, hadis 1097,
-
Alam Sb Bhai Yar Sahi Hadithe Itni Hai Aur Ap Apna Batil Aqida Banate Hai Jhuthi Riwayato Par

Apne Jo Riwayat Pesh Ki Ab Zra Is Ki Sehat Bhi Dekh Lete Hai
Is Riwayat Me Ravi Hammad bin Usama, Ne Galti Se Is Riwayat Ko Siqah Ravi Abdur Rehman bin Yazeed bin Jabir Ki Tarf Mansub Kar Diya Jab Ki Haqiqat Me Ye Riwayat Munkir Al Hadith Abdur Rehman bin Yazeed bin Tamim Se Riwayat Ki Gai Hai Hawale Ke Liye Dekh
Imam Bukhari rh. Ki Likhi
[Al-Tareekh al-Kabeer vol. 3, p. 365, Al-Tareekh al-Sagheer p. 175, ]
Imam Razi Ne Is Riwayat Ko Munkir Kaha Hai
[‘Alal al-Hadith’ vol. 1, p. 197].
.
Imam Razi rh Ye Riwayat Apni Dusri Kitab [ ‘Kitab al-Jirah wa Ta’deel’ (vol. 5, p. 300-301] Me Laye Hai Aur Ise Mauzu Qarar Diya Hai
.
Foot Note:- Munkar Zaif Hadith Ki Wah Qism Hai Jiska Koi Ravi Gunahgar, Bidati, Bahut Jyda Galtiya Karne Wala Ya Bahut Jyda Ghafalt Bartane Wala Ho Isliye Muhaddisin Ke Liye Zaif Hadith Ki Ye Qism Hujat Nahi
.
Inki Dusari Di Hui Riwayat
.
Jo shakhs meri qabr ke paas .
Mujh par darood padhta hai,
main usko sunta hon,
Aur jo shakhs darood bheje
mujh par door se.
Pahunchaya jaata hai wo mere paas,
Mishkat sharif, jild 1, safha 197, hadees 868,
.
Jawab:-Imam Aqeeli Ne Apni Kitab Z'ufa Al Kabeer (the book of major weak hadith) Me Ise Riwayt Karne Ke Bad Likha Hai Ki Yeh Be'asal Hai is Riwayt Me Muhammad Bin Marvan Ka Tafarad Hai Aur Vo Matrook Ul Hadis Hai
Jareer Aur Ibn Nameer Ka Kehna Ki Muhammad bin Marvan Jhota Hai ,Ibne Haban Aur Saleh Bin Muhammad Ne Kaha Wah Hadith Gharhta Tha
[Tahzeeb-Ul-Kamal Jild 26 Page 393, Zu'fa Al Kabir By Aqeeli Jild 4 Page 136]

Imam Nisai Isko Matrok'ul Hadees Kehte Hai
[Kitab Al Zu'fa Al Matrukeen By Nisai Jild 7 Page 512]
.
Aur Ek Aisi Riwayat Ibn Wahab Ke Zariye Riwayat Wo Bhi Ek Jhutha Aur Hadise Gharta Tha
[Meezan-Ul-Aitadal Jild 3 Page 278]
-
Footnote-Matrook Zaif Hadith Ki Wah Qism Hai Jiske Kisi Ravi Par Jhuth Ki Tohmat Aa Aarop Ho
-
Kamal Ki Bat Sahi Hadithe Unka To Muqalid Inkar Karte Hai Aur Daif Haditho Se Apna Aqida Banate Hai Apne Kaha Ummat Ka Is Aqide Par Ijma Hai Zra Wo Ijma Naql Farma De ?

Kya Ye Aqida Sahabe E Kiram r.a Ka Bhi Tha ?
Apne Kya Wo Hadith Nahi Padhi Jab Ap s.a.w Wafat Kar Gaye Aur Umar r.a Ne Kaha Tha Ki Wo Hath Panw Kat Dalenge Un Logo Ke Jo Ye Samjhte Hai Ki Ap s.a.w Ki Maut Ho Chuki Aur Tab Abu Bakar r.a Ne Kaha Tha Jo Sakhs Muhammad s.a.w Ki Puja Karta Tha Wo Jan Le Ap Ki Maut Waqaee Ho Chuki Hai Aur Surah Al Imran Ki Ayat Ayat 144 Tilawat Ki

03.144 (hazrat) Muhammad (PBUH) sirf rasool hi hain inn say pehlay boht say rasool ho chukay hain kiya agar inn ka intiqal hojaye ya yeh shaheed hojayen to tum islam say apni aeyrhiyon kay ball phir jaogay?
-
Apne Upar Kuch Qaul Bhi Naqal Kiye Hum Un Par Aitbar Nahi Karte Q Ki Ap Jab Haditho Par Jhuth Bandh Sakte Hai To Apke Liye Kya Badi Bat Hai Ki Ap Imamo Par Jhuth Bol De Ap Puri Ibarat Aur Unki Dalil Likhe Kis Dalil Ki Buniyad Par Kaha Aur Padhe Sahi Hadith
Rasul s.a.w Ka Muqam
-
Nabi s.a.w Apni Dunyawi Qabr Me Zinda Nahi Balki Shuhuda Ki Jannat'ul Firdaus Se Bhi Achi Jagah (Alwaseela) Ke Us Muqaam Par Zinda Hai Jo Jannat'ul Firdoos Se Uper Aur Arsh'e Elahi Se Neechy Sab Se Buland'o Baala Muqam Hai. Jesa Ki Imam Bukhari rh Ki Hadees Se Bhi Zahir Hota Hai. Us Taveel Hadees Ka Akhri Hisa Ye Hai
-
Farishto Ne Kaha Jo Sakhs Aag Sulga Raha Tha Wah Jahnnam Ka Daroga Tha Aur Pahla Ghar Jis Me Ap Dakhil Huwe The Wah Aam Muslmano Ka Rahne Ka Aur Yah Jaha Ap Maujud Hai Shahido Ke Rahne Ki Jagah Aur Me Jibreel Hu Aur Ye Mikaeel Hai Unhone Kaha Ap Apna Sar Uthaiye Mene Upar Uthaya To Badal Ki Tarah Koi Cheez Apne Upar Dekhi Unhone Kaha Ye Ap Ki Jagah Hai Mene Kaha To Phir Choriye Taki Me Apni Jagah Hasil Karu Lekin Unhone Kaha Abhi To Ap Zinda Hai Ap Ki Umar Baki Hai Jo Abhi Puri Nahi Jab Wah Puri Ho Jayegi Ap Apni Jagah Par Aa Jayenge
.
Sahi Bukhari Kitabul Janaiz Hadith 1386
.
Aur Is Hadith Ki Tasdeeq Ye Hadith Bhi Karti Hai
.
Anas Bin Malik r.a Se Riwayat Hai Ki Jab Bimari Ki Shiddat Ki Wajah Se Ap Par Behoshi Chhane Lagi To Fatima r.a Kahne Lagi
Haay, Abba Jaan Ko Bdi Taklif Hai Yah Sun Kar Apne Farmaya
Aj Ke Bad Tumhare Abba Ko Yah Taklif Na Hogi Phr Jb Ap Wafat Kar Gaye To Kahne Lagi Haay Abba Jaan Ap Rab Ke Bulane Par Chale Gaye
Haaye Abba Jan!
Ap Firdaus Ke Jannat Me Apni Jagah Chale Gaye Hum Apne Runj-Gum Ki Khabr Jibril a.s Ko Dete Hai Phr Jab Apko Dafan Kr Dia Gaya To Anas r.a Se Kahne Lagi
Tumhare Dil Nabi Karim s.a.w Ki Laash Par Mitti Dalne Ke Liye Kis Tarah Aamada Ho Gaye The [Sahi Bukhari Kitabul Magaazi Hadith 4462]
.
Kese Ummati Hai Hmare Pyare Nabi Janabe Muhammad Mustafa Sallallahu Alahi Wasallam Ko Jannat Ki Bajaye Qabro Me Zinda Manne Ka Aqida Rakhte Hai Aur Dawa Karte Hai Muhabbat Ka
-
Foot Note
In Qbr Parst Muqalido Ka Ye Bhi Aqida Ki Darud Ap s.a.w Khud Sunate Hai Aur Jawab Dete Aur Ye Aqida Ye Iske Liye Palte Hai Ki Taki Qbro Se Faiz Ka Shirkiya Aqida Hazir Nazir Ka Shirkiya Aqida Ye Sabit Kar Sake Is Dalil Ki Buniyad Par Mgar In Hazraat Ne Shayad Kabi Darud Sharif Ka Tarjuma Padha Nahi Darud Me Hum Kahate Hai
.
ALLAH Huma Sale Ala Muhammadin Wa Aale MUHAMMAD -
.
Tarjuma- Aye Allah rahmat Nazil farma Mohammad {sall’Allaahuta’aala­a alaihi wa’sallam} par aur Aal-e-Muhammad {sall’Allaahuta’aala­a alaihi wa’sallam} par
.
Ab Khud Soche Ye Dua Hai Jo Hum Allah Se Kar Rahe Hai Aur Dua Ibadat Hai
.
Nu'man ibn Bashir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RasoollallahSallalla­hu Alaihi Wasallam ne farmaya Dua Ibadat hai aur tumharey Rab ka farman hai mujhse dua karo mein Qubul karunga
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1466
.
Aur Ibadat Sirf Aur Sirf Allah Ki Jati Hai
.
Allah In Gumraho Ko Hidayat De
Ameen