Tuesday, April 8, 2014

AQEEQA KISE KAHTE HAIN ??





AQEEQA KISE KAHTE HAIN ??


Aqeeqa aise janwar ko kahte hai jb bcha paida ho jaye uski taraf se paidaish ke satwe (7) din zibh Kia jata Hai

Aqika Krna Sunnate Muakkadah Hai Aur Mustahab Aml Hai Isliye Jo Shaksh Haisiyat Rakhta hai use chaiye apni aulad ki tarf se aqika kre

salam bin amir r.a se riwayat hai rasul s.a.w ne farmaya bche ke sath aqika (lazim) hai chunanche us ki tarf se qurbani kro aur us ki taqlif dur kro (mtlb uska sar mundao)

Bukhari 5472

samura r.a se riwayat hai ki rasulullah s.a.w ne farmaya har bcha apne aqika ke bdale girvi hota hai paidaish ke satwe din uska aqika kia jaye uska nam rakha jaye aur sar ke bal mundaye jaye

Abu dawood 2838, tirmizi 1522

jb bche ka sar munda dia jaye to us ke sar se utrne wale balo ke wazan ke barabr chandi sadqa kar dena bhi jaruri hai jesa ki hadis me h

Ali r.a se riwayat h rasul s.a.w ne hazrt hasan r.a ki tarf se bkri ke sath aqika kia aur farmaya ai fatima is ka sar mundao aur uske balo ke wazan ke barabr chandi sadqa kr do

hasan irwa al ghalil 1175, tirmizi 1519

aqika ladke ki tarf se 2 bkriya aur ladki ki tarf se ek bkri
rasul s.a.w ne farmaya ladke ki tarf se 2 barabr bkriya aur ladki ki tarf se ek bkri

Abu dawood 2834, Nasai , ahmad

rasul s.a.w ne hasan r.a aur husain r.a ki tarf se 2,2 dumbe zabah kiye

Nasai 4224

aqika ke janwar nar (male) wa mada (fmle) dono ho sakte hai
rasul s.a.w ne farmaya ladke ki tarf se 2 bkriya aur ladki tarf se ek bkri zabah ki jaye nar ho ya madda tumhe koi chez nuksan nahi degi

Mishkat 4152 irwa al ghalil 3/390 ,abu dawood

kya aqika ki me unt aur gaay ki qurbani ki ja sakti hai?

Unt aur gaay ka zikr kisi hadith me nahi nabi s.a.w ne sirf bkri aur dumbe ka zikr kia h isliye sirf yahi janwar zabah krna chaiye yahi sunnat h
kya satwe din ke bam aqika kia ja sakta hai
satwe din ke bad bhi aqika kia ja sakta h chahe bcha baligh hi q na ho gaya kyo ki wah bcha abi b girvi hai aur use girwi se churane ke liye aqika hi krna padega aur ek riwayat hai se malum hota h ki satwe din ke bad 14 we ya 21 we din aqika krna chaiye jesa ki

rasul s.a.w ne farmaya aqika ka janwar satwe din zabah kia jaye ya 14 we din ya 21 we din
sahih saheehul jamehussagheer 4011