Tuesday, April 8, 2014

AHLE HADITH FIRQA NAHIN HAI





Kya Ahle Hadith Firka Nahi Hai Jb Ki Allah Quran Me Farmate Hai Ki Tumhara Nam Muslim Rakha Hai
-
Answer- 


Pahle Firka Kya Hai Uski Tarif Samjhe Firka Wo Hai Jo Apne Ap Ko Mansub Kare Kisi Sakhs , Kisi Jagah Ya Kisi Sha'y Ki Tarf Maslan , Brelviyo Ne Apne Ap Ko Mansub Kiya Braily Ki Tarf, Aur Ahmad Raza Khan Ki Tarf Aur Apna Alg Nizam Bnaya Shariyat Se Hatkar Maslan
Deobndi Maududi etc.
 


Jo Apni Nisbat Karte Hai Imam Abu Hanifa Ki Taraf Shariyat Ka Jo Hissa Inke Mazhab Se Milta Hai Use Mante Hai Baki Ka Inkar Karte Hai
-
Ahle Hadith Koi Firka Nahi Q Ki Islam Asal Hai Allah Ka Kalam Aur Rasulullah s.a.w Ka Farman Yani Quran Hadith Ab Jo Sakhs Apni Asal Ke Sath Rahe Us Ki Tarf Apne Apko Nisbat Kare Kya Wo Firka Hua ?
 


Hargiz Nahi Quran Bhi Hadith Allah Ne Takreeban 16 Makam Par Quran Ko Hadith Kaha Hai Aur Rasul s.a.w Ka Qaul Fail Aur Taqreer Bhi Hadith Hai Ahle Hadith Apne Apko Inki Tarf Mansub Karte Hai
Iske Alawa Na Kisi Sakhs Ya Kisi Jagah Ki Aur Apne Ap Ko Nisbat Karte Hai
-
Sawal Ka Dusra Ki Allah Ne Hmara Nam Muslim Rakha Hai Beshak Zaati Aitbar Se Hum Muslim Hai Muslim Ka Matlab Farmabardar Yani Kalma Padhne Wala Har Sakhs Muslim Hai Aur Misal Ke Taur Par
 


Jis Tarh Muslim Ke Bhi Darze Hote Hai Taqwa Parhezgar Jyda Ho To Momin Aur Muhsin Ho Jata Hai Jb Ki Zaati Aitbar Se Wo Bhi Hai Muslim Magar Ek Momin Har Hal Me Muslim Hota Magar Ek Muslim ,Momin Nahi Hota
 

To Muslim Agr Momin Ho Jata Hai To Iska Matlab Ye Nahi Wo Muslim Nahi Rahta
Quran Me Hai Jo Log Isa a.s Par Iman Laye Wo Bhi Muslim Hai Magr Allah Ne Kai Maqamat Par Unhe Ahle Injeel Nasara, Yahud Bhi Kaha Hai Magr Chunki Jo Iman Wale The Unhe Ye Laqb Dene Ka Matlb Ye Nahi Ki Wo Muslim Nahi Rahe
 


Aur Misal Ke Taur Par Hum Sab Pahle Insan Hai Aur Apni Pahchan Ke Liye Ek Nam Rakhte Hai Ki Hmara Ye Nam To Iska Matlb Ye Nahi Hum Insan Nahi Rahe Isi Tarh Hum Zaati Taur Par Muslim Hai Mgar Siffat Ke Aitbar Se Ahle Hadith Yani Quran Hadith Wale
Ahle Hadith Pahle Zaati Taur Par Muslim Hota Hai Magar Har Muslim Ahle Hadith Hota Jaruri Nahi
 


Aur Aj Ke Is Daur Me Ahle Hadith Kahna Mustahab Taki Aur Apna Aqida Zahir Karna Behtar Taki Asani Se Pata Lag Jaye Muslim Magr Kaunsa Q Ki Ahmadi Qadiani Shia Brelvi Deobndi Bhi Apne Apko Muslim Hi Kahte Hai Aur Nisbat Karte Hai Kisi Aur Sakhs , Jagah Ki Tarf Jo Ki Firke Hai Aur Allah Ne Aisa Karne Se Mana Farmaya Hai