Tuesday, May 13, 2014

QURAN O HADITH AUR FIQH (PART 1)




Sabse Aham (point) baat k kya? Feka e Ahnaaf Quraan o Hadees k Nechor hai

Jaisa k Hanfi Alim loog Ye Baat bolne Me jarra Barabar Waqt Nahi Lagate k ''Ha Hai Nechor Feka e Ahnaf ,Quraan o hadees k''


Ab Sawal uthta hai Akher Kayse?


Ek Taraf hai..


Quraan aur Sahi hadees ki kitabe Aur Dusre Taraf hai Feka e Ahnaf


1)Quraan e paak

2)Sahi Bukhari Sareef
3)Sahi Muslim
4)Jamai Tirmizi
5)Sunan Abudaood
6)Sunan Nishai
7)Sunan Ibn Maza
8)Motta Imam Malik

Wahi Dusre Taraf hai hanfio ki Jaane Maane Motaber kitab ''Feka e Ahnaf''


1)Durr-e-Mukhtar

2)Raddul Mukhtar
3)Fatahul Qader
4)Kanzul daqaq
5)Nurool Anwar
6)Usool Al Sasi
7)Fatwa Aalm Giri
8)Al-Hidaya
9)Qadwri
10)Bahesti Zewar

Aaj Feka Hanfiya k baare me Kaha jata hai k Tamam Masail Quraan o hadees k Mutabik hai Or Makhuz hai Aur unka Awam Al Naas ki sahuleyat k leye Jama wa Yakza kar deya gaya hai ta k Aam Admi ko Masail Samjhne me kisi Kism ki Paresaani k Samna Na karna pare , Es ki wajah ye hai k (Muqallidin k Baqoul) ek Aam Admi Masle ki Asleyat tak Nahi Pahuch sakta jab tak k wo kisi Moin Saks k Muqallid Na ban jaye, Aur Aam Admi Musadaad Ahadees me Mutabekat Talash Nahi kar Sakta kuki Ahadees ek he Masle me kaye Tarah ki hote hai ' kisi Hadees me Masla kuch hota hai Aur kisi me Kuch ' jis ki Wajah se wo Masla ko Parkh Nahi Sakta hai ' es leye Jarurat hai k Mujtahid ki Taqleed ki jaye ta k wo Ekhtelaaf waali Ahadees me se Tahkek kar k , Nechor kar, Atar Nekal kar,phunk - phunk ker wagaira -Wagaira kar k Hume dete hai' lehaza uske Muqallid Bane Bagair guzara Nahi, jab k Hakikat Ager Dekha jaye, tou Muqalliden khud Ayse Ulma ki Pairwi karte hai k jinko Mouzu Aur Sahi Hadees ki v Khabar na the Aur jin kitab k baare me Jatlate ye hai k wo Bahut tahkek Aur Kosisi k Sath martab ki gaye hai tou unki bayan karda Ahdees k haal Jaher ho jaane k bawajood fer v usko Sanad jante Aur use per Amal karte hai , jaisa k Hidaya ki Baaz Ahadees k bare me ye Malum ho jane k bawajood k wo Maozu hai fer v Unhe per Amal karte hai Aur use k Mutabik Fatwa dete hai..


Ahanaf Es baat k dendhora bare he joor soor se pet te hai k Feka hanfia Quraan o Hadees k Nechoor hai, Aur hum un Maslo me Imam Abu Hanifa ki Taqleed karte hai jin k baare me Quraan o hadees khamosh hai , Ahnaf ki ye Dono batai he Galat hai , Aur Unke un Dawo k Galat Sabit karne k leye humne un kitabo k hawalo k Entezaam keya hai jo unke yaha Musallam hai Aur unme Mufti ba Aqwal hai Maslan Hidaya he ko lejye us k Musannif barhanuddin margayanani lekhte hai.


''Hidaya Quraan ki Maand hai usne Apne se pahle lekhe gaye saari Haiseyat ki kitabo ko Mansukh kar deya hai''


[Hidaya : page-3]


Scan page..



Aur Dusre kitab jese Fatwa Alam giri kaha jata hai jiske Mukadme me eske Haiseyat u bayan ki gaye hai.


''ye k Ayse kitab Talif ki jaye jo jahir alwayat (Mufti b Aqwal) per Rousne dale jisper kubra Ulmao k etefaq ho Aur Us per Inka Fatwa v ho Aur es Kitab me un Nadar Aqwal ko jama kar deya jaye jis ko ulmao ne kabul keya ta k Amal me eteyat fout Na ho Aur galti se eztenab ho sake bas unhone kaan se khazana nekal bahar keya hai''


Scan...



''K Maine un Aqwal ko Bayan karne me bahut Mehanat ki jo Qawi tar hai jin per Fatwa hai , Aur Marzuh ki Bajae Razeh Bayan keya hai jo Fatwa Aur Sarwahat ki kitabo me Mutalik bayan hua hai Aur Bayan karne me un kitabo per etamad keya gaya hai jinko Bare-Bare Aima ne Tasnef keya hai''


Scan...



Aage -Aage en Muqallido ki kartut dekhye.. Kya lekhte hai apne kitab me..


''Maine ye kitab apne Saikh Abdulnabi se Rewayat ki usne Musannif se unhone ibn Najem msar se Aur usne Apne Sanad se Sahab Mazhab Abu Hanifa se Aur usne Apne Sanad se Nabi(s.a.w) se Aur Aap (s.a.w) ne Jebraiel se Aur Jebraiel ne Allah tala se rewayat ki hai , kitne Ala Sanad hai ye kitab Aur Dusre Kitabe v Apna Jawab Nahi Rakhte.''


[Raddul Mukhtar : 1/14]


Scan..


*Aaye Ab un Alisaan kitabo me se hum Aap k Samne sab se pahle Wo Aqwal pess karte hai jo Quraan ki Sareh Ayat se takrate hai Aur Ahnaf k unper Fatwa v hai.


Sabse pahle Ahnaf k ye Usool pad lejye take Aap ko Andaza ho k un k Nazdek Quraan o Hadees ki keya Haiseyat hai , Imam Karkhi Lekhte hai.


''Her Wo Ayat jo humare Ashab k Qoul k khilaf ho tou use Mansukh Samjha jayega ya use Tarzeh de jayege Aur behtar ye hai k uske Tawel ki jaye ta k Ayat Ashab k Qouk k Mutabik ho jaye.''


[usool Alkarkhi : Safa-373]


Astagfirullah.. Aage dekhye unhone kya lekha hai..


''Her Wo Hadees jo Humare Ashab k Qoul k khilaf ho use Mansukh Samjha jayega ya Uske Masail Hadees k Marz Samjha jayega''


[Usool Al karkhi : Safa -373]


Scan page..


**Ab Aye Quraan Mazed se Takrane wale Ahnaf k un Masail ki Taraf :


Allah Tala Farmata hai :


''Aay Imaan Walo ! Tum per Qatal me Qasas farz keya gaya hai.... Aur aye Aqal Mando ! tumhare leye Qasas me jindagi hai ta k tum perhezgaar ban jao''


[Sureh Al-Bakra,Ayat-178,179]


Aur Ek jagah Allah Tala ne U Farmaya :


''Aur humne un per Farz keya tha k bshak jaan k badle jaan hai....Aur jo Allah Tala k Utare hue Kanun k Mutabik Faisla Nahi karta Wahi loog Zalim hai''


[ Al-Ma'idah , Ayat 45]


Es Masle me Imam Abu Hanifa r.al k Aqwal Katil ko Saja na dene per mubni hai Mulaiza farmaye Sahab Ye baat khud Hedaya lekhte hai.


''Jisne kisi bacche ya balig ko darya me Dubo Deya tou us per Imam Abu Hanifa k Nazdek Qasas Nahi hai''


[Hidaya: Safa-562]


Scan...



2-Fatwa Alim giri me hai..


''Ager kisi ne kisi Saks ko zaber Zasti Zahar pine per Mazbur keya Aur us se us ki Mout wakayi ho gaye tou us per Kasas Nahi hai Aur us k Kabile walo per dayet hoge''


[Fatwa Alam giri]


3-Fatwa Alam giri..


''Ager kisi ne kisi ko kaid kar k vokhe maar deya tou Imam Mohammad r.al kahte hai k use Mara-pita jayega Aur us k Kabile walo per dait hoge leken Fatwa Imam Abu Hanifa k Qoul per hai k us per kuch v Saja Nahi''


[Fatwa Alam giri]


What a joke ye kaysa Majak hai deen k sath ye Hanfi Muqallid kaisa khel khael rahe hai Quraan ki ayat k Mazak bana rahe hai aur Mujtahid kah la rahe hai..


4- Aur Aage lekha hai..


''Imam Abu Hanifa r.al Farmate hai Ager kisi Saks ne kisi Saks ko Baandh (Bandhak bana) ker Darende (khoonkhar janwer) k aage Daal deya usne us Admi ko Maar Dala tou aysa karne wale per koi jurmana ya Daith Nahi Albatta use tazer Amar Aur Kaid keya jayega hatta k wo touba kar le'' (tou uske Maafi hoge)


[Fatwa Alam giri]


5-Fatwa Alam giri me hai..


''Ager kisi Saks ne kisi Saks ko ek Ghar me Dakhil kar deya Aur us k Sath Darenda ko v Dakhel kar k Ghar k Darwaja Band kar deya Aur Darenda ne us Admi ko Faar khaya (Maar dala) tou Aysa karne wale ko Qatal Nahi karenge Aur usper koi Saja Nahi , Ese Tarah Age Ghar me Saap,Bicchu kisi Saks ko das le tou jis ne use Ayse ghar me Kaid keya tha us per koi Had Nahi chaye usne khud Ghar me Shaap Aur Bicchu dakhel ki ya pahle se Ghar me Mouzud the Ager bacche k Sath ye Harkat kare tou Serf us per Dait hoge.''


[Fatwa Alam giri]


Scan..


Ab Jara Hadees e Rasul (S.A.W) sun lejye..


(Zahir khelane Wale Aurat ko Sahabi k fout ho jane ki wajah se Qatal karwa deya jaisa k es rewayat me hai.


''Hazrat Abu Huraira r.a Faramate hai k Rasullah (s.a.w) hadiya Tanawil farmate the leken Sadka Nahi khate the ek yahoodan ne Khaiber me Aap(s.a.w) ko ek Zaher Alud Bakri hadiya veje Aap(s.a.w) Aur Aap(s.a.w) k Sahab r.a ne use Tanawil farmaya Aap (s.a.w) ne Farmaya kahan se Aap ne Hanth Rok lo kuki Bakri ne Mujhe ye Khaber de hai k wo Zaher Alud hai Hazrat Basr r.a khane ki Wajah se Wafat pa gaye Aap ne yahoodeya ko bulwaya Aur pucha Tujhe kis chiz ne uksaya wo kahne lage maine ye es leye keya k Ager Aap Nabi hoge tou Aap ko koi Nuksan na hoge Aur Ager Aap badsah hai tou logo ki Aap se jaan chute jaye ge Aap ne us Yahoodeya ko Qatal karne k Hukm deya Aur jis bemari me Aap Fout hue Aap ne us Mouke per Farmaya k Khaiber k Mouke per Zaher Alud khane ki Taklef me Humesha Mahsus karta raha Ab mere Sah rag ese kaat rahe hai''


[Sunan Abudaood,hadees no-4512]


Scan..


*Allah Tala Zana ki Saja k baare me Surh No24. An-Nur---------Me Ayat 2 me Farmata hai..




 

Zaani Mard Aur Zanaya Aurat Dono he ko 100-100 kore lagao, Aur Ager ye Saja Gair-Saadi Suda ki hai Aur Saadi Suda ki Saja Rajam hai (yaani Zameen me Gaar ker Sir bahar nekal ker Pattharo se Maar-Maar ker Maar deya jaye)


leken Hanfi Zanakario ko U choot de rahe hai.


''Ager Aurat jis se Baccha ya Pagal Zana kare Aur Wo Aurat usper Raza mandi v ho tab v us per koi Had Nahi Aur Na he Baccha Aur Pagal per Had hai.''


[hidaya: safa no-498]


Ab Zara jitne V Hanfi bhai hai wo apna Dil tham le kuki Islam me Zana ek Aysa Zurm hai k Islam ne Zaani k Wajud ko he Bardast Nahi keya Maslan Gour farmaye k Choor k Hanth kaat deya jata hai Mager use jinda rahne k hak baaki hai use Tarah Aur v kaye Zum hai Mager Zana ek Aysa Zurm hai k Ager Saadi Suda kare tou Islam k kanun me use Zenda rahne k koi hak Nahi hai Aur Gair-Saaji Suda k leye v Saja Mukarar hai jaisa k Hz Ubada bin Saamit r.a Bayan karte hai :


''Rasul Allah (s.a.w) ne Faramaya Mujhse (hukm deya) hasil kar lo (ye Aap (s.a.w) ne 3 Martaba farmaya) beshak Allah tala ne Zana karne wale Waali Aurto k Mamla Saaf kar deya hai k Ager bakara (Kuwari) Aurat kuware Mard se Zana kare ge tou 100 kore Maare jayege Aur Ek Saal tak Jila-Watan keya jayega Aur Saadi Suda Mard se Zana kare ge tou usko 100 kore maare jaye Aur Rajam keya jayega''


[Sahi Muslim , jild-2,hadees no 65,Baab Had Al Zana]


Scan..



Es Hadees se Saaf pata chal raha hai k Allah k Nabi(s.a.w) ne Zaani (Mard ya Aurat) Saadi suda ho ya Gair-Saadi Suda Aur Saja us Waqt de jayege ya tou wo Jaani Mard ya Aurat khud Aytraf jurm kare ya fer 4 gawah es baat ki Gawqhi de k Fala Admi ne Zana keya hai tou us Surat me Zurm Sabit ho jayega Aur us Zaani ko Saja de jayege.


Mager Feka e Hanfia kahte hai :


''Aur Ager 4 gawah kisi Admi k Zana karne ki sahadat (gawahi) de Aur Wo ek Martaba ekrar (apne zurm kabul ) kar le tou Imam Mohammad k Nazdek Had Maare jayege leken Imam Abu Yusuf k Nazdek had Nahi maari jayege Aur yahi (Imam Abu yusuf k Mazhab) zayada Sahi hai, Aur ye Ekhtelaf us Waqt hai jab k Zaani ne Ekrar kaza k baad keya ho Ager us ne Ikrar kaza se pahle keya hai tou bela tafak had khatam ho jayege''


[Fatwa Alam giri ,jild-2,Safa-144,Kitab Al had baab v Al Zaani]


yaani Ek Admi k Mutalik 4 gawah Gawahi de k us ne Zana keya hai Aur wo gunah k aytraf v kar leta hai tou Abu yusuf k Nazdek us per Had Nahi lagaye jaye ge Aur Ager us ne Zurm k Aytraf Adalat k Faisla ho jane se pahle keya hai tou Abu yusuf wa Mohammad Samit tamam Ahnaf k Mazhab ye hai k usko Had Nahi lagaye jayege.


Kaho hanfi Dosto faisla Hadees k Behtar hai ya Feka Hanfia k Aur Amal kis per hoge???


**Allah Tala Choor ki Saja k bare me U Irshad Farmaya hai :


''Chor Mard Or Aurat Dono k Hanth kaat Dalo ye Saja hai Allah Tala ki taraf se Un k Jurm ki''


[Sureh no-5. Al-Ma'idah, Ayat -38]


Aur Ahnaf Choro ko Chori karne k Tareka u Samjhate hai..


''Koi Chor Nakab laga ker Ghar me Dakhel ho ker Maal Chori kare Ghar se Bahar Mouzud Saks Wo Maal le lae tou Dono k hanth Na kate jayege''


[Hidaya : Safa-525]


Scan..



2-Ese tarah sahab hidaya Farmate hai..


''Ager Chor Maal Samet ker Gadhe per Laad ker haak ker le jaye tou Hanth Nahi kate jayege''


[Hidaya : Safa-526]


3-


''Jo Ghar me Nakab Lagae ye Bahar se Hanth daal ker Koi Chiz Chura le tou uska Hanth Nahi kata jayega''


[Hidaya : Safa-526]


Scan..



Chori karna Ek Aysa Kabeh Jurm hai k Islam hado me Esko Sakht Nafrat ki Negah se Dekha jata hai es Baat k Andazq es Amr se Lagaya ja sakta hai k Insan k Ek Hanth ki kimat 50 Unt (Camal) hai Mager Jab ye Etna Kimat Hanth Rebah dena (3 Derham) ki Chori karta hai to Islam ki Talim ye hai k Uske Hanth ki kimat ko Nazar Andaz karte hue Serf uske Kabih-Feel ki wajah se uska ye Hanth kaat Deya jaye , Mager Feka Hanfia ne Choro ko Bahut se Hele bataye hai k jis se Wo Saja se Bach jaye, Hz sufyan bin amia r.a Bayan karte hai :


''K May Masjid me soya hua tha Aur mujper 3 Derham ki chadar the Tou ek Admi Aya Aur Us ne mujhse Cheen le tou us Admi ko Paker ker Rasul Allah (s.a.w) k pass laya gaya tou Aap (s.a.w) ne us k Hanth katne k huk de dea, Hz Sufyan kahte hai may Aya Aur maine kaha k keya uska Hanth 3 Derham k Badle kata jayega? May us ko Apne Chadar Farokh karta hu Aur Uske kimat use Udhar karta hu tou Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya k tune usko mere pass lane se pahle Aysa kyu na keya ? (Aur Nishai ki rewayat k Alfaz hai k Aap (s.a.w) ne us k Hanth kaat deya tha)''


[Sunan Abu Daood jild-2/603 kitab al had, Nishai jild-2/251]


Jitne v Hazren hai Gour Farmaye es hadees me Saaf jaher hai k Adalat k Faisla ho jane k baad chori Suda Maal Farokht Nahi keya ja Sakta Mager Hanfi kahte hai k ..


''k Jan kisi Admi k Chori ki wajah se Hanth katne k Faisla kar deya jaye tou us chor ko Maal hiba kar deya gaya tou Hanth Nahi kata jayega Aur Us Tarah Maal chor ko Apna Chori Suda Maal Farokht kar de tou Tab v Hanth Nahi kata jayega''


[Hidaya : 2/550 kitab al sark]


Hanfi Dosto Ab tum he loog Batao k Amal Hadees per keya jayega ya Feka Hanfia per??


Hanfi Mazhab ne Hiba ya Maal Farokht karne ki Targeb de ker Chor ki Hamdardi dekhaye Mager Feka Hanfi ne Khane-Kaba me Chori karne Wale ko v Had se Chutti kara de, hala k Amirul Mominin Hz Aisha r.a Farmate hai :


''K Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya k (Choor k) Hanth Rebah Denaar ya us se jayada Maal k Saman ki Chori per Kaat Deya jaye''


[Sahi Bukhari 4/1004 kitabul had, Sahi Muslim-2/63]


ye Tha Farman Rasul Allah (s.a.w) k Rebah denaar ya us se jayada Maal ki Chori karne per Chor k Hanth kaat Deya jaye ga Mager Feka Hanfia kahte hai..


''K Masjid e Haram k Darwaje Chori karne Wale k Hanth Nahi kata jayega''


[Hidaya : 2/540 kitab al sark'sarh waqya safa 2/319]


Feka Hanfia per Amal karte hue Khana-e-Kaba k Darwaje Chori karne wale ko kya Inaam deya jayega??


Post Continu.....



Via---Imran Khan Salafi