Thursday, November 22, 2012

NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM KO ILM E GHAIB NAHIN

Bismillahirrahmanirraheem




NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM KO ILM E GHAIB NAHIN 




Nabi ko saw Ilm e Ghaib Nahi ,
Siwaye jo Allah Bataye ,


Daleel ,


1- Kahdo Nabi saw ke main tumse ye nahi kahta ke mere pass Allah ka khazane hain or na ye ke main Ghaib jaanta hun , or na tumse ye kahta hun ke main farishta hun , main to sirf us hukm par chalta hun jo mujhe Allah ki taraf se ata hai , kahdo ke bhala andha or aankh wala barabar hote hain ? , to phir tum ghaur kyon
nahi karte ? ,

Surah 6 al-An'am ,
Aayat no 50 ,


2- Kahdo Nabi saw ke main apne fayede or nuqsan ka kuch bhi akhtiyar nahi rakhta magar jo Allah chahe , or agar main Ghaib ki baatein jaanta hota to bohat se fayede jama kar leta or mujh ko koi taklif na pahonchti , main to momino ko dar or khushkhabri sunane
wala hun ,

Surah 7 al-A'raf ,
Aayat no 188 ,


3-Main na tumse yeh kahta hun ke mere paas Allah ke khazane hain or na yeh kahta hun main Ghaib jaanta hun or na yeh kahta hun ke main farishta hun ,

Surah 11 Hood ,
Aayat no 31 ,


4-Yeh log Aap se Qiyamat ke bare mein poochhte hain ke uske waqey hone ka waqt kab hai , kahdo ke iska Ilm to mere Rab hi ko hai wahi use uske waqt par zahir kardega , woh aasman or zameen mein ek bhari waqt hogi,or magahan tum par aajayegi , yeh Aap se is tarha daryaf karte hain ke goya Aap usse bakhoob waqif ho , kaho ke iska Ilm to Allah hi ko hai lekin aksar log ye nahi jaante ,

Surah 7 al-A'raf ,
Aayat no 187 ,


5- Kahdo Nabi saw ke main koi naya Rasool saw nahi aaya , or main nahi jaanta ke mere saath kya sulook kiya jayega main to usi ki pairvi karta hun jo mujh par vahy aati hai or mera kaam to alaania hidayat karna hai ,

Surah 46 al-Ahqaf ,
Aayat no 9 ,


6-Jo kuch unke aage hai or jo kuch unke peeche hai Allah usko jaanta hai or woh log apne ilm se Allah ke Ilm par ahata nahi kar sakte ,

Surah 20 Ta'ha ,
Aayat no 110 ,

7- Kahdo Nabi saw ke mere Rab uper se haq utaarta hai or Allah Ghaib ki baaton ko jaanne wala hai

Surah 31 Saba ,
Aayat no 48 ,

8-Yeh halat minjumla Ghaib ki khabron ke hain jo hum tumhari taraf bhejte hain or isse pehle um Aap hi unko jaante thay or na Aap ki qaum hi usse waqif thi to sabr karo ke anjam perhezgaaron hi ka bhala hai ,

Surah 11 Hood ,
Aayat no 49 ,

9-Aye Nabi saw hum is Quran ke zariye se jo humne Aap ki taraf bheja hai Aap ko ek nihayat achchha qissa sunate hain or Aap isse pahle bekhabar thay ,

Surah 12 Yusuf ,
Aayat no 3 ,

10-Aye Nabi saw yeh akhbaar Ghaib mein se hain jo hum Aap ki taraf bhejte hain , or jab biradran e yusuf ne apni baat par ittifaq kiya tha or woh fareb kar rahe thay to Aap unke paas na thay,
Surah 12 Yusuf ,
Aayat no 102 ,

11- Aur jab humne Musa as ki taraf hukm bheja to Aap saw toor ki Gharub ki taraf nahi thay or na is waqiye ke dekhne walo mein thay

Surah 28 al-Qasas ,
Aayat no 44 ,

13-Aur na Aap us waqt jab ke Humne Musa as ko aawaz di toor ke kinare thay , balke Aap ka bheja jana Aap ke Rab ki rahmat hai taake Aap un logon ko jinke paas Aap se pehle koi hidayat karne wala nahi aaye hidayat karo taake nasihat pakden ,

Surah 28 al-Qasas ,
Aayat no 46 ,

14-Kahdo Nabi saw ke jo log aasmano or zameen mein hain Allah ke siwa Ghaib ki baatein nahi jaante or na yeh jaante hain ke kab zinda karke uthaye jayenge ,

Surah 27 an-Naml ,
Aayat no 65 ,

15-Aur kahte hain ke us par uske Rab ki taraf se koi nishani kyon nazil nahi hui ? Khado Nabi saw ke Ghaib ka Ilm to Sirf Allah hi ko hai so tum intezar karo main bhi tumhare saath intezar karta hun ,

Surah 10 Yunus ,
Aayat no 20 ,

16-Aur Aap saw ke irdh gird ke baz dehati munafiq hain or baz madine wale bhi nifaaq mein ade hue hain Aap unhe nahi jaante hum jaante hain , Hum unko dohra azaab denge , phir woh bade azaab ki taraf lautaye jayenge ,

Surah 9 at-Tauba ,
Aayat no 101 ,

17-Aur Allah ne Aap saw se pahle bohat se Rasool bheje , unme kuch to aise hain jinke haalaat Aap se bayan kar diya gaya hain or kuch aise hain jinke haalaat bayaan nahi kiye, or kisi Rasool ka muqaddar na tha ke Allah ke hukm ke baghair koi nishani laye , phir jab Allah ka hukm aa pahoncha to insaaf ke saat faisla kar diya gaya , or ahle baatil nuqsan mein pad gaye ,

Surah 40 al-Mu'min ,
Aayat no 78 ,

18-Aur bohat se Rasool hain jinke halaat Hum Aap saw se peshtar bayan kar chuke hain or bohat se Rasool hain jinke halaat Aap saw se bayaan nahi kiya , or Musa as se to Allah baatein bhi kien ,

Surah 4 an-Nisaa ,
Aayat no 164 ,

19- Woh din yaad rakhne ke layaq hai jis din Allah Rasoolon ko jama karega phir unse poochhega ke Aap logo ko kya jawab mila tha woh arz karenge ke hame kuch maloom nahi , tu hi Ghaib ki baaton se waqif hai ,
Surah 5 al-Ma'idah ,
Aayat no 109 ,

20- Bhala jis waqt yaqoob wafat paane lage to Aap saw us waqt mojood na thay , jab unhone agne beton se poochha ke mere baad tum kis ki Ibaadat karoge, tn unhone kaha ke aapke mabood or aapkd baap dada Ibrahim or Ismail or Ishaq ke mabood ki Ibaadat karenge jo mabood yakta hai or hum usi ke hukm bardar hain ,

Surah 2 al-Baqarah ,
Aayat no 133 ,

21-Aur Allah ke pass Ghaib ki kunjiya hain jinko Allah ke siwa koi nahi jaanta or Allah ko jangalon or daryaon ki sab chizon ka Ilm hai or koi patta nahi jhadta magar Allah usko jaanta hai or zameen ke andheron mein koi dana or koi hari ya sookhi chiz nahi hai magar kitab roshan mein likhi hui hai

Surah 6 al-An'am ,
Aayat no 59 ,

22-To Allah jo sachcha badshah hai aali qadr hai or Quran ki vahy jo Aap ki taraf bheji jati hai uske poora hone se pahle Quran ko padhne ke liye jaldi na kiya karo or Du'a karo ke mere Rab mujhe or zyada Ilm de ,

Surah 20 Ta'ha ,
Aayat no 114 ,

23-Syedha Aaisha RaziallahuAnha fermatin hain jo shakhs ye gumaan rakhta hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam kal ko pesh aaney waaley halaat ka Ilm rakhtey hain, is ne Allah per bohat bara Bohtaan baandha,kyon ke Irshaad Baari Ta'la hai:"Kahdo Nabi saw ko jo log Aasmano aur Zameen main hain Allah ke siwa Ghaib baatein nahi jaante or na yeh jaante hai ke kab zinda karke uthaye jayenge ,

Surah 27 an-Naml ,
Aayat 65 ,
Muslim , Hadess no 177 ,


Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene
wala banaye,


Ameen Ya Rabbil Aalameen ,


Posted By - Aabdur Rahim Shah ,
id - aanaahlehadees@yahoo.com
f/b - aana.ahlehadees.9@facebook.com