Thursday, November 22, 2012

NAMAZ E NABAWI- (PART 1)

Bismillahirrahmanirraheem



NAMAZ E NABAWI- (PART 1)



 Namaz e Nabwi saw ,

Rasool saw ne farmaya Namaz ussi tarah pado jistarah tum mujhe padte hue dekhte ho ,

{Bukharh , kitab ul Azan
Hadees no 231 , 6310}

Nabi e Akram saw ki Namaz Pahli Takbeer Se Salam Tak ,

1- 11 Sahaba raz ki Gawahi ,


Abu Hummayed Sahaadi raz , se riwayat hai ke unhone Nabi saw ke 10 Sahaba ki jamat mein kaha ke main tum sab se zayada Nabi saw , ke Namaz ki tarike jaanta hun , Sahaba raz , ne kaha to phir hamare saamne Nabi saw ki Namaz bayan karo , Abu Hummayed raz , ne kaha jab Allah ke Rasool saw , Namaz ke liye khade hote to apne dono Haat Khandhe ke Barabar uthate , phir takbeer tahrema kahte , phir Quran padte , phir Ruku ke liye takbeer kahte or apne Dono Haaton ko Khandhe ke Barabar uthate , phir Ruku karte or apni hateliyan apni ghutno par rakhte , phir Ruku ke dauran kamar seedhe karte , in mein na apna saar jhukhate or na buland karte yani peeth or saar barabar rakte or phir apna saar Ruku se uthate phir kahte
Sami Allah Hu'lemaan Hameeda , phir apne dono haato uthate yaha tak ke un ko apne kandhon ke barabar karte or kaaomo mein itminnan se seedhe khade ho jate,phir Allahu Akbar kahte , phir zameen ke taraf Sajdah ke liye jhukte or apna dono haat baazu apne dono paaon raano or zameen se dur rakhte or apne dono paaon ki ungliyan khulte is tarah ke ungliyan ke sirre Qibla ki ur hote phir apna Saar Sajdah se uthate or apna bayan paaon moodte yani biccha lete phir us par baithte or seedhe hote , yaha tak ke har haddi apne thikhane par aa jati yani itminnan se zalsha mein bhaithte , phir doosra Sajdah karte , phir Allahu Akbar kahte or uthte or apna baayan paaon moodte phir us par bhaithte or itminnan se kahte or yaha tak ke har haddi apni thikhane par aa jati yani itminnan se Istheraahat ke zallse mein bhaithte ,
phir doosri Raakat ke liye khade hote , phir issi tarah doosri Raakat mein karte,phir jab do Raakat pad kar khade hote to Allahu Akbar kahte or apne dono Haat Khandhe ke Barabar uthate , jaisa Namaz ke suru mein takbeer ula pahla takbeer ke waqt kiya tha , phir issi tarah apni baki Namaz mein karte , yaha tak ke jab woh Sajdah hota jiske baad salam hai yani aakhri Rakaat ka doosra Sajdah jis ke baad bhaith kar Tashahud , Darood or Du'a pad kar Salam fher te hai apna baayan paaon daahene pindliya ke niche se bhahar nikaalte or baayen or Kullhe par bhaithte , phir Salam fherte , yeh sun kar un Sahaba raz ne kaha aye Abu Hummayed Sahaadi , apne sach kaha , Allah ke Rasool saw issi tarah Namaz pada karte the ,


{Abu Daood ,
Kitab us Salath ,
Hadees no 730 , 963 ,
Tirmizi , Kitab us Salath ,
Hadees no 304 ,
Ine Hibban , 5/ 182 , 184 ,
Sahi Ibne Khuzema ,
1/298 , 588}

Ise Ibn Hibban , or Nawabi ne sahih kaha hai , Imaam Tirmizi ne Hasan sahi kaha hai ,

Imaam Ibn Khuzema Rahimahullah is Hadees ko riwayat kerne ke baad Fermate hai ke maine Muhammad bin Yahyaa ko ye kahte hue suna ke jo shaksh hadith Abu Humeed raz ki Hadees sunne ke bawazud Ruku mein jaate or us se sar uthhate waqt Rafayadein nahi kerta to uski Namaz Naaqis hogi ,

{Sahi Ibne Khuzema ,
1/298 , 588}

is Hadees se bohat sari baatein maloom hoti hai un mein se ek yeh hai ke Sahaba raz , ke Nazdik Nabi saw , ke wafaat tak Rafayadain , yani Ruku ke baad khade hote hue Haat uthana manshuk nahi hua

Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene
wala banaye,


Ameen Ya Rabbil Aalameen ,


Post by , Abdur Rahim Shah
f/b-aana.ahlehadees.9@facebook.com