Thursday, November 22, 2012

BUKHARI KI QAABIL E AITRAAZ HADITH- (PART 5)

Bismillahirrahmanirraheem



BUKHARI KI QAABIL E AITRAAZ HADITH- (PART 5)



21- ZAANIYA AURAT:



Hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" ( guzashta zamane me ) ek aurat ne apne bete ko pukaara, halaanke uska beta apne ibaadat khaanah me namaz padh raha tha, us aurat ne kaha:-" Jareej !"
Toh ladke ne (apne dil me ) kaha ke :-" aiy allah (ab main kya karun ) mere maa mujhe pukaar rahi hai, agar nahin bolta hun toh wah naakhush hogi, aur agar bolta hun toh meri namaz (jaati hai ),

Phir dobara uski maa ne kaha:-" aiy jareej !"
us ladke ne apne dil me kaha:-" aiy allah ! Ab main kya karun, meri maa aur meri namaz "

Phir teesri baar uski maa ne kaha:-" aiy jareej ! "

Teesri baar phir jareej ne yahi kaha, ke aiy allah ! Meri maa aur meri namaz,

Jab teesri martaba bhi wah na bola toh uski maa ko ghussa aagaya aur kahne lagi ke:-" aiy allah ! Jareej ko maut na aaye, jab tak zaaniyah auraton ki soorat  na dekhle,"

aur ek charwaahe ki aurat  uske ibaadat khaanah ke qareeb bakriyan charaane aaya karti thi, uske baccha paida hua, aur usse daryaft kiya gaya ke ye baccha kis se paida hua ?

Usne jawab diya :-" jareej se , wah apne ibaadat khaanah se utra tha aur mere saath humbistar hua tha"

Logon ne jaakar is waaqeya se mutaallik jareej se poocha,

Jareej ne kaha wah aurat kahan hai jo ye bayan karti hai ke ye uska baccha mera hai,

(log us aurat ko jareej ke paas laaye ) us bacche se jareej ne kaha:-" aiy babu ! Tera baap kaun hai ?"

usne jawab diya:-" ek charwaha "

Gharz is tarah is par jareej ki maa ki dua ka asar hua ke jareej ko ek zaaniya aurat ki soorat dekhni padi "

( maqam hadith page 326)




JAWAB:



Ye ibaarat jis taweel hadith se liya gaya hai wah bukhari ki kitabul ambiya bad waazkir fil kitab al maryam me aur muslim me kitab ul Waseela ke baab barul walidain me mazkoor hai,

Is hadith me dar'asal un teen bacchon ka zikr hai, jinhone Goad me kalaam kiya, un teem me pahle hz isa (as) hain, unka zikr chunke Quran me tafseel se maujood hai,

lihaaza hadith me sirf ijmaali zikr hua, tafseel bayan nahi ki gayi,


Dusre number par yahi baccha hai jiski maa ne uski nisbat ghalat taur par jareej raahib ki taraf kar di,

teere ek aur goad me dhoodh peete bacche ka zikr hadith me jareej ke waqeyah ke baad tafseel se bayan hua hai,


Ab munkireen e hadith ne jitna aqtabaas is taweel hadith se pesh kiya hai, usme bhi kaant chhaant bahut hai, aur jis nuskha bukhari ka wah hawala diya gaya hai wah nuskha nayaab hai,

Aur jo bukhari ka Asli Arabi matan wala nuskha (matbua noor muhammad, karachi ) hai, wah is se milta nahin aur kai baatein aap chhod gaye, taaham hamen ye malum nahi ho saka ke jo kuch bhi aapne naqal kiya hai usme aitraaz Aapko kis baat par hai,


Agar harami bacche ke goad me bolne par aitraaz hai toh aisa waqeya hz isa (as) ka quran kareem me maujood hai


Waqeya ke tafseel muslim me is tarah mazkoor hai ke  bani Israel ke baaz log jareej raahib ke haasad ban gaye they,

Lihaza unhone usko badnaam karne ki thaani, aur ek haseen aur faahsha aurat ko ye kaam supurd kiya, jo ban than kar jareej ke paas gayi,

Lekin jareej ne saaf inkaar kar diya, ab use apni tauheen ka khyaal bhi shaamil ho gaya, wah usi jangal ke ek charwaahe ke paas gayi aur usse haamila hui,
Jab baccha paida hua toh poochne par jareej ka naam laga diya, log jareej ke paas gaye, jareej ne us aurat ko talab kiya aur Khud allah se dua me mashgool ho gaya,
jab wah charwaahe ka naam bata diya, tab log bahut naadim hue, jareej raahib se maafi maangi, aur kahne lage ham tujhe sone ki kutiya (home) bana dete hain,

Jareej ne kaha:-" nahin ! Jaisi pahle Thi waise hi bana do, "
is tarah jareej par jo ilzaam lagaya gaya tha usko usse nijaat mili,


In tasreehaat ke baad bhi ham ye samjhne se kaasir hain ke Aakhir munkireen e hadith ko aitraaz kis baat par hai ?

Unwaan se kuch samjh nahin aa saki ke unhen zaaniya aurat ke wajood par aitraaz hai ya jareej ki maa ki pukaar par na bolne par ?

Ya maa ki bad'dua par ? Ya uski qubuliyat par ?

Ya jareej ki dua qubuliyat par ?

Agar kuch ishara farma dete toh uska jawab bhi diya jaata.....




21- DOZAKH ME AURTEIN:



Hz imran bin hussain (ra) kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" maine jannat me dekha toh wahan ke logon me aksar Fuqara paaye, aur maine dozakh me dekha toh wahan ke aksar log aurton ko dekha "


( Maqam hadith page 326)



JAWAB



Ab dekhiye nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne dozakh me aurton ke zyadah hone ki wajah ek dusri hadith me batla Di gayi hai, aur wah ye hai ke


nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" apne khwaaind ki aur Ahsaan ki na'shukri karti hain, agar tu kisi aurat me hamesha bhalai kare phir wah tujhse kisi waqt koi kami dekhe toh kahne lagti hai

" main tujh se kabhi bhalai dekhi hi nahi "

( Bukhari kitabun nikah )



Lihaza munkireen e hadith aur tahzeeb e maghrib ke dil'daadah dusre sab hazraat ko itminaan rakhna chahiye ke jo aurtein is jurm me mubtela nahin, wah kam se kam is wajah se Dozakh me nahin jaayengi,


Lekin mushkil ye hai ke Is aib se kam hi Aurtein mahfooz hoti hain.....



23- BHAINGA BACCHA:


Iska jawab part 4 me Unwaan  SHARM'GAAH KE ELAAWA me bahas pahle guzar chuki hai lihaza takraar ki zarurat nahin...



24- SOORAJ KAHAN JAATA HAI ??



Hz abu zar (ra) kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mujhse jabke aaftaab guroob ho raha tha, farmaya:-" kya tum Jaante hoke ye kahan jaata hai ?"

maine kaha:-" allah aur uske rasool hi bahtar jaante hain, "

Aapne farmaya ke wah jaata hai taake Arsh ke neeche sajdah kare, phir tulu hone ki ijaazat maange toh use tulu  ki ijaazat di jaati hai, aur qareeb hai ke wah sajdah kare aur uska sajdah qubool na kiya jaaye aur ijaazat maange use ijaazat na mile,

Usse kah diya jaaye, tu jahan se tu aaya hai wahan waapas laut jaa, pas wah Maghrib se tulu karega, yahi matlab hai allah taala ke qaul ka

( Maqam hadith page 328)



JAWAB:



Ye hadith munkireen e hadith ke liye khaasi dil'chaspi ka ba'as hai, koi is par " hadith ka ilm ul falaak " ka unwaan jamaata hai. Toh koi " maalumaat aamah ka ", kyonke aajke daur me ye tasleem kar liya gaya hai ke sooraj saakin (thahra hua) hai, wah na kabhi tulu hota hai na ghuroob, balke zameen uske ird gird ghoomti hai, lekin is nazariye jadeed par yaqeen rakhne ke ba'wajood ham tulu Aaftaab aur Guroob aaftaab ke alfaaz har waqt istemal karte rahte hain, kyonke hamen aisa hi malum hota hai,

Qur'an aur hadith me bhi yah zabaan zad ba'maroof andaz bayan akhtiyaar kiya gaya hai,

Dhul-qarnain ke zikr me allah taala ne farmaya

" yahan tak dhul'qarnain sooraj ke ghuroob hone ki jagah pahunche toh use keechadh ke ek chasmah me Ghuroob hote paaya "

(18:86)



Is ayat me bhi tarz e zaban wahi akhtiyar kiya gaya hai jaise ke aam insaano ko malum hota hai,

Quran ki mandarjah bala dono ayaton se sooraj ka mutahharik hona saabit hota hai,

Science ne Jahan sooraj ke saakin hone ka nazariyah pesh kiya hai wahan uski mahoori gardish ka nazariyah bhi pesh kiya hai, jise uska mastaqar Qarar kiya ja sakta hai,

Mazeed Jadeed nazariya Science ye Kahta hai ke hamara sooraj apne poore khaandan samet kisi apne se bahut bade sooraj ya saiyyare ke Gird Gardish (rotates) kar raha hai, ye nazariya bhi  Kisi hadh tak Qur'an ke mutabik hai,


Yahan ye baat ka zikr dena zaruri hai ke Qur'an kisi daur ke makhsoos Scienci Nazariya ka Qattan Paband nahin, Quran agar allah ka Qaul hai toh Qaaynaat uska Fael hai, in donon me Tazaad na'mumkin hai, Scienci nazariya ghalat ho sakta hai, Qur'an Ghalat nahi ho sakta ,

Aur scienci nazariye ka toh ye haal hai ke aaj tak sooraj aur zameen ki harkaat ke mutaallik 4 martaba nazariyaat badal chuke hain, Kabhi zameen ko saakin, aur sooraj ko mutahharik qarar diya jaata raha hai, toh kabhi sooraj ko saakin aur zameen ko mutahharik..

Aakhir Quran science ke kaun kaun se nazariye ka saath de ?


Ab raha sooraj ke sajdah karne ka maamla toh ek sooraj hi kiya, qaaynaat ki har cheez allah ko sajdah kar rahi hai, allah ka irshad hai


" Kya tum dekhte nahin ke zameen aur aasmaan ki tamam makhluqaat , sooraj, chand, sitaare, pahaad, darakht jaanwar, aur aadmiyon me se bhi aksar Allah tala ko sajdah karte hain "

(22/18)



Aur is sajdah se muraad un umoor ki sar anjam dehi hai jo umoor allah ne kisi cheez ke zimme laga diye hain, uski ko taabedi sajdah ya sajdah Aabudiyat bhi kahte hain,

Aur arsh ke neeche Sajdah karne ka matlab allah taala hi ko sajdah karna hai, kyonke Dhul arsh allah taala hi hai

(17/46, 40/15, 85/15)


Aur rabbul arsh bhi wahi hai

(21/22)



Arsh ki kaifiyat hamen malum nahin taaham itna malum hai ke hamari zameen ko aasmaan muheet hai aur saare aasmaano ko Arsh muheet hai, jiska matlab ye hua ke koi bhi cheez jo allah ko sajdah kar rahi hai wah Arsh ke tahat hi sajdah hai,


Ab agar koi ye samjhta hai ke sooraj toh ghuroob hota nahin toh na samjhe, wah ye samjh le ke sooraj har waqt khuda ke hazoor ( ya tahat ul arsh ) sazda pazeer rahta hai,

Yani allah ki taraf se muqarrar kardah apni Duty poori kar raha hai, aur uske har aan allah ki manzoori bhi Chahta hai,

Phir ek waqt aisa bhi aayega ke sooraj ko aage chalne ke bajaaye waapas mud jaane ka huqm diya jaayega aur wah ulti chaal chalna shuru kar dega,

Jaisa ke kai deegar saiyyaare bhi seedhi chaal chalte chalte ulti chaal chalne lagte hain

( surah takweer 15)

Ab bataiyye is hadith me kaunsi aisi baat aa gayi hai jo Quran se saabit nahi ho sakti,

Lihaaza munkireen e hadith ko Science ke badalte hue nazariyaat par zarurat se zyada imaan na laana chahiye.....



25- MAUSAM KAISE BADALTE HAIN ?


Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" dozakh ne apne parwardigar se shikaayat ki ke aiy mere parwardigar ! Mere ek hisse ne mere dusre hisse ko kha liya hai, Toh allah taala ne use do martaba saans lene ki ijaazat de di, ek saans Jaadon (winter) me aur dusri (garmi ) me, (pas jo tum shakht Sardi dekhte ho ye bhi Jahannam ki saans hai )"

(maqam hadith page 329)


JAWAB:


Ab dekhiye pahle zamaano me mausam sooraj ki harkat aur uske khaas khittah zameen se door nazdeek hone se badla karte they,

Lekin aaj kal zameen 66 1/2 darje Zaawiyah par rakhkar sooraj ke Gird Ghumaane se badalte hain,



Aur hadith ki ru se jahannum ki saans se badalte hain,

Zameen ki kaifiyat bahut hadh tak hamen malum hai, aur sooraj ko ham dekhte toh hain, lekin uski kaifiyat se waaqfiyat nisbatan kam hai aur jahannam ki kaifiyat hamen mutaalliq maalum nahin,


Sirf imaan bil ghaib ki ru se ise tasleem karte hain,

Ab kya ye mumkin nahin ke ye hamara sooraj hi Jahannum ho ?

Ya jahannum ka baraah e raast sooraj se taalluq ho ?

Phir agar ye is qadr badakta hua sooraj shakht sardi ka mausam la sakta hai,( kyonki mausam sooraj ki wajah se badalte hain ),

toh phir mausam badalne ki nisbat Jahannum ki taraf kyon nahin ki ja sakti ?




TO BE CONTINUED......