Thursday, November 22, 2012

NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM APNE FAYDE O NUQSAAN KE MAALIK NAHIN HAIN

Bismillahirrahmanirraheem



NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM APNE FAYDE O NUQSAAN KE MAALIK NAHIN HAIN



Nabi saw apne fayde o nuqsan ke malik nahi hain


1-Kahdo Nabi saw ke main to apne nuqsan or fayede ka bhi kuch akhtiyar nahi rakhta magar jo Allah chahe , Har ek ummat ke liye maut ka ek waqt muqarrar hai , jab woh waqt aa jata hai to ek ghhadi bhi der nahi kar sakte or na jaldi kar sakte hain ,
 

Surah 10 Yunus ,
Aayat no 49 ,



2-Yeh bhai kahdo Nabi saw ke main tumhare haq mein nuqsan or nafe ka kuch akhtiyar nahi rakhta ,
Yeh bhi khado Nabi saw ke Allah ke azaab se mujhe koi panah nahi de sakta or main Allah ke siwa kahien jaaye panah nahi dekhta,
 

Surah 72 al-Jinn ,
Aayat no 21 , 22 ,



3-Aye Nabi saw Aap jisko chahte ho use hidayat nahi kar sakte balke Allah hi jisko chahata hai hidayat karta hai or Allah hidayat paane walo ko khoob jaanta hai ,
 

Surah 28 al-Qasas ,
Aayat no 57 ,


4-Aye Nabi saw is kaam mein Aap ka kuch akhtiyar nahi ab do soortein hain ya Allah unke haal par meherbani kare ya unhe azaab de ke yeh zalil
log hain ,
 

Surah 3 al-Imran ,
Aayat no 128 ,


5-Aur agar Aap saw par Allah ka fazl or meherbaani na hoti to unme se ek jamat Aap saw ko behkane ka qasd kar chuli thi , or yeh apne siwa kisi ko baihka nahi sakte or na Aap saw ka kuch bigaad sakte hain , or Allah ne Aap saw par Kitab or danayi nazil farmayi hai , or Aap saw ko woh baatein sikhayi hain jo Aap saw jaante nahi thay or Aap saw par Allah ka bada fazl hai ,
 

Surah 4 an-Nisaa ,
Aayat no 113 ,


6- Aur jab unko hamari Aayatein padh kar sunayi jate hain to jin logon ko humse milne ki ummid nahi woh kahte hain ke ye to iske siwa koi or Quran bana lao ya isko badal do, khado ke mujhko akhtiyar nahi hai ke use apni taraf se badal dun , main to usi hukm ka tabey hun jo meri taraf aata hai , agar main apne Rab ki nafarmani karun to mujhe bade shakt din ke azaab se khauf aata hai ,
 

Surah 10 Yunus ,
Aayat no 15 ,


7-yeg bhi kahdo Nabi saw ke agar Allah chahta to na to main hi ye kitab tumko padh kar sunata or na wahi tumhe isse waqif karta , main isse pahle tumme ek umr raha hun or kabhi ek kalma bhi is tarah ka nahi kaha bhala tum samjhte kyon nahi ,
 

Surah 10 Yunus ,
Aayat no 16 ,


8- Nabi saw or Musalmano ko shayan nahi ke jab un par zahi ho gaya ke mushrikt ahl dozakh hain to unke liye bakhshis maangen , chahe woh unke qakeeb daar hi hon,
 

Surah 9 at-Tauba ,
Aayat no 113 ,


9-Aap saw unke liye bakhshish maango ya na maango baat ek hai agar unke liye sattar dafa bhi bhakhshis maangoge to bhi Allah unko nahi bakhsega ye isliye ke unhone Allah or uske rasool se kufr kiya , or Allah nafarman logon ko hidayat nahi deta ,
 

Surah 9 at-Tauba ,
Aayat no 80 ,


10-Aap saw unke liye maghfirat maango ya na maango unke haq mein barabar hai Allah unko harghiz na bakhshega , beshak Allah na farmaan logon ko hidayat nahi diya karta ,
 

Surah 63 al-Munafiqun ,
Aayat no 6 ,


Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene
wala banaye,
 


Ameen Ya Rabbil Aalameen ,


Posted By - Aabdur Rahim Shah ,
id - aanaahlehadees@yahoo.com
f/b - aana.ahlehadees.9@facebook.com