Saturday, November 10, 2012

BUKHARI KI QAABIL E AITRAAZ HADITH:(PART-1)

Bismillahirrahmanirraheem



BUKHARI KI QAABIL E AITRAAZ HADITH:(PART-1)



Is article me Parveziat (munkireen e hadith ) ne bukhari me aisi tamam ahadith ko dhoondh kar ikattha kar diya hai, jin par aqal wa science ki ru se giraft ki ja sakti hai, ya Parvezion ke khyaal ke mutaabik unse nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ya Sahaba kiram ki seerat Dhaagh'daar hoti hai,

Aur aakhir me ye dawa bhi kiya hai ke is qism ki aur bhi bahut si hadith hain jo nabi e akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki nahin ho sakti,


is unwaan ke tahat Parvezion (munkireen e hadith ) 40 hadith bayaan farmayi hai ( aur wah bhi sirf urdu tarjuma hai ) asal matam darj nahin farmaya, (dekhiye maqaam e hadith)

na hi unpar waarid hone waale aitraaz ka zikr farmaya hai, balke is baat ko unhone logon ke dimagh wa zehan par chhod diya hai,


PAHLA AITRAAZ:


1- MALIKUL MAUT KE TAMACHA MAARA:



hz abu hurairah (ra) kahte hain k Malikul maut hz musa (as) ke paas bheja gaya, jab wah aaya toh hz musa (as) ne uske ek tamacha maara ke uski ek aankh toot phoot gayi, aur wah apne parwardigaar ke paas waapas gaya, aur arz kiya ke tune mujhe aise bande ke paas bheja jo marna nahin chahta,

allah taala ne uski aankh dobaara use inaayat farmayi aur huqm diya ke phir ja aur usse kah ke wah apna haath ek bail ki peeth par rakhe,

pas jis qadr baal unke haath ke neeche aayenge, har baal ek auz ek saal ki zindagi unhe di jaayegi, (farishte ne hz musa ko paigham illaahi sunaaya ) unhone kaha ke

aiy parwardigar ! Phir kya hoga ?

Allah ne farmaya ke:- phir maut aayegi,

hz musa (as) ne kaha:-" toh phir abhi sahi "

pas unhone dua farmayi  ke unhen arz muqaddas se ba'qadar ek patthar fenkne ke qareeb kar de,

nabi e akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne (ye bayaan farmakar ) mazeed kaha ke:-" agar main us maqaam par hota toh tumhe Hz musa (as) ki qabr ki raaste ki taraf surkh teele ke paas dikha deta"


(bukhari j1)


JAWAB:


1-Ab is baat se toh ghaaliban Parvezion ko bhin inkar na hoga ke

1- Maut ka farishta tamam jaandaaron aur isi tarah tamam insaano ki rooh qaabiz karta hai, jisse uska khaarji wajood aur zaati tashashk saabit hota hai,

2- Aam farishton se aam momin afzal hote hain, aur muqarrab farishton se muqarrab momin, kyonke farishton me Shhar  ka maadah paida hi nahin kiya gaya, aur unki ibaadat bhi tabadi ya aztarari hoti hai, phir ambiya ka darjah toh muqarrab farishton se bhi bahut buland hai,

3- Farishte ambiya aur ghair ambiya ke paas insaani shakal me bhi aa sakte hain, (19/16)


Goya malikul maut ka hz musa (as) ke paas unki rooh qabz karne ke liye insaani shakl me aana mumkin hai,

Ab sawaal sirf ye rah jaata hai hai ke hz musa (as) malikul maut se afzal hi sahi, magar jab kisi dusre nabi ne malikul maut ko  Kuch nahin kaha toh musa ne kyon tamacha maara ??

Haalanke wah khuda ka farishta tha ?

Toh iska jawab ye hai ke jaisi jalaali tabiyat aapne paayi thi aur kisi nabi ki na thi, ye aapki jalaali tabiyat ka hi karishma tha ke ek sabati ki Shikaayat par tabiyat me Zara malaal aaya toh ek hi mukkah se ek Qibati ka Qissa paak kar diya, aapka iraadah use maar daalne ka harghiz na tha, magar tabiyat hi aisi josheeli paayi thi aur quwwat bhi ke wah qibati apka ek mukkah bhi bar'dasht na kar saka, aur aage chal basa,

phir allah taala ne us qatal ka hz musa (as) se kuch muwakheza bhi nahin kiya, balke mu'af kar diya,


Ab agar qur'an me  mazkoor waaqeye ko ham be'chun wa chara tasleem kar lete hain,

halaanke aapko us waqt us sabati ke halaaq karne ka koi haq na tha, toh phir is waqeya ko tasleem karne me aakhir kaun se cheez maane ho sakti hai ?

Rahi ye baat ke hz musa (as) ko ye jalaal kis baat par aaya tha ?


Toh iski asal wajah ye nahi ke farishte ke jaan nikaalne ki bina par aapko taish aa gaya tha,

kyonke agar yahi baat hoti toh dusri baar hz musa (as) ek lambi umar ki pesh'kash ke ba'wajood fauran jaan haazir karne par aamaadah na ho jaate,

balke uski asal wajah ye thi ke ye farishta insaani Shakal me be'ghair az'n ke aapke ghar me daakhil ho gaya tha, is baat par hz musa (as) ko taish aa gaya aur kuch kahe sune be'ghair use thappad raseed kar diya,

aur ye toh aap jaante hi hain ke beghair ijaazat kisi ke ghar me daakhil hona toh dar'kinaar sirf jhaankna bhi shariat ki nigaah me Aisa shadeed jurm hai ke agar Sahab e khaana kankari wagerah se jhaankne waale ki aankh bhi phhod de toh us par koi harjaana nahin padhta,

Goya malikul maut ka insaani shakl me bila'ijaazat ghar me daakhil hona musa ke us faael ka muharrik hua tha......




DUSRA AITRAAZ


2- HZ SULAIMAN (AS) AUR 100 AURTON KA DAURAH:



Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke nabi e akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke :-" hz sulaiman bin dawood (as) ne ek dafa kaha:-

" aaj main 100 ya 99 biwion ke paas jaunga, wah sab aurtein ek ek sahaswaar paida karengi jo khuda ki raah me jihad karenge, kisi ham'nasheen ne kaha ke, inshallah kaho, magar aap bhool gaye, pas unme se ek aurat haamila hui, wah bhi aadha bacha jani, qasam hai us zaat ki jiske haath me muhammad ki jaan hai, agar wah inshallah kah lete toh sab aurton ke bache hote aur beshaq wah sab sawaar hokar allah ki raah me jihaad karte "

( bukhari jild 2 , maqam e hadith pg  305)


JAWAB:


Ab dekhiye hadith baala me wah baatein hi Parvezion ke nazdeek qaabil aitraaz ho sakti hain,

1- 99 ya 100 biwiyon ka hona,

2- ek raat me un sabke paas jaana,

Jahan tak biwiyon ki tadad ka talluq hai, Tauraat Se Hz dawood (as) ki 9 biwiyan aur 10 haramain ( yani 19 ) saabit hain

(samuel 5/13)

aur hz suleman (as) ki 700 biwiyan aur 300 haramain (kul 1000) saabit hain

(salateen 11/3 ba'hawala rahmatullil aalameen suleiman mansoorpuri jild 2 pg 130)

aur unki kasrat jawziyat ki wajah se isaaiyon ne in ambiya ki taqdees par koi aitraaz bhi nahin kiya,

toh agar is hadith me 99 ya 100 biwiyon ka zikr aa gaya hai toh isme aur kisi ko kiya aitraaz ho sakta hai ??

Hz suleiman (as) ek azeem baadshah they jinka mahal bhi tha aur us mahal me sheeshe ka farsh kuch is tarah laga hua tha ke wah paani ka laheren maarta samundar ek hauz me band maalum hota tha,

hawa aur jinnat aapke mureed they, parindon ki boli samjhte aur unhen baat samjha sakte they, phir aapka takhat hawa me is tezi se udhna ke ek maheene ki musaafat ek pahar me taiy kar leta, phir aapne nihaayat aala qism ke ghode bhi la'tadad rakhe hue they, is Shahaana shaan shauqat aur thaath baath ke ba'wajood aap khaleefa bhi they aur nabi bhi,

Agar ye sab baatein Qur'an se saabit hon toh phir unke haram me 99 ya 100 biwiyon par kya aitraz ho sakta hai ?

Rahi baat ye ke koi insaan ek raat me itni biwiyön ke paas ja bhi sakta hai ya nahi ??


Andaazan (approx) jama ke waqt me anzaal ke liye sirf 3 minute darkaar hote hain,
lihaaza ye baat bhi khilaaf e aqal nahin jis ka waqu na'mumkinaat se ho,

elawah agar ham Qur'an ki ru se dusri bahut se mojezah ki qism se Talluq rakhne waali " ghair maqool " baatein tasleem kar lete hain toh phir is baat ko bhi Tasleem kar lene me kya harj hai ??

Ye baat bhi toh aakhir nabi hi se talluq rakhti hai,


3-   HZ IBRAAHEEM (AS) KA KHATNA:



Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke nabi e akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" hz ibraheem (as) ne apna khatna basoye se kiya aur wah us waqt 80 saal ke they "
( maqaam hadith 305)


JAWAB


is hadith par ghaliban yahi aitraaz ho sakta hai ke aapne 80 saal ki umar yani budhaape me khatna kyon kiya ?

Toh iska jawab ye hai ke aap ek kaafir ke yahan paida hue, lihaaza bachpan me khatna ka sawaal hi na paida hota tha,

75 saal ki umar me aapne hijrat farmayi, isse pesh'tar tauheed aur buniyadi Aqaiden Aap par naazil hote rahe, aur aap unki tableegh karte rahe,

Hijrat ke baad Ahkaam Shariah ka nazool nashru hua, phir jab khatna ka huqm naazil hua toh us waqt aapne khatna kiya,

Aap 80 saal ki umar me kuch aise boodhe bhi na they ke us daur me insaan ki tibbi umar aaj se kaafi zyada thi,

Chunanche hz ibraheem (as) ne 175 saal ki umar me wafaat paayi...




4- HZ IBRAAHEEM (AS) KE 3 JHOOT:



Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke nabi e akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke hz ibraheem (as) ne kabhi jhoot na bola siwaaye 3 martaba ke, do martaba toh Khuda ke waaste , unka ye kahna ke " ani saqeem " aur ye kahna ke " bal fa'alahu kabeera hum haaza ", ye dono toh khuda ke liye they,

aur aap nabi e akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke :-" ek din us haal me ke wah aur Hz sara (as) ja rahe they ke ek zaalim baadshah par unka ghuzar hua, kisi ne us badshah se kaha ke yahan ek shakhs aaya hai jiske saath uski khoobsurat biwi hai,

us badshah ne hz ibraheem (as) ko bulwa bheja aur saarah ki baabat poocha ke ye kaun hai ??

Ibraheem ne kah diya ye meri bahen hai, phir wah saarah ke paas gaye aur kaha ke:-" aiy saarah ! Rue zameen par mere aur tumhare siwa koi momin nahi hai, aur us zaalim ne mujhse poocha tha toh maine kah diya ke ye meri behan hai, pas tum mujhe jhoota na karna "

( maqam hadith page 316)


JAWAB:


Is hadith par aitraaz ye hai ke allah taala ne Qur'an me hz ibraaheem (as) ko siddeeq kaha hai, ye riwayat aapke 3 jhoot Batlaati hai, ab dekhiye ke


1- in 3 jhooton me se do ka zikr quran kareem me maujood hai,

buton ko todha toh aapne tha, lekin poochne par ye kah diya ke us bade but ne unhen todha hai,

isi tarah jab unki qaum jashn manaane ko nikli toh aapko saath jaane ko kaha, toh aapne kah diya ke main bimaar hun,

phir usi waqt jaakar unke but  bhi todh daale toh bimaar kaise they,

Kya ye baatein khilaaf waaqeya nahin ?? Lihaza motarzain ka asli rukh qur'an ki taraf hona chahiye na ki hadith ki taraf...

2- nabi e akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne khud ibteda me ye alfaz farmaye ke " hz ibraheem (as) ne kabhi jhoot na bola ",

ye unke fi'waqeya Siddeeq hone ki bahut badi sahaadat hai ke unse 175 saal ki zindagi me 3 se zyadah martaba jhoot sar'zad nahin hua,

ab aap apni zindagi ke shab wa roz nigaah daaliye ke apni saari zindagi me nahin sirf ek din raat me kitne jhoot bolte hai,

chahte hue bhi aur  Na chahte hue bhi, aur phir khud hi faisla kar lijiye ke agar 175 saal ki zindagi me kisi se 3 se ziyadah jhoot sar'zadh hon usko siddeeq kaha ja sakta hai ya nahin ??

Phir in teeno waaqeyaat ke liye thos buniyaadein bhi maujood hain, maslan

3- unme se do jhoot toh aise hain jo mushkireen par hujjat qaim karne aur kalima e haq ko sar'buland karne ke liye aapne bole, jaisa ke quran se saabit hai,

aur teesra jiska zikr hadith me hai wah aapne jaan bachaane ke liye bola tha,

Shah e misr ka dastoor ye tha ke har haseen aurat ko zabardasti chheen leta agar uske saath uska Shauhar hota toh use marwa daalta,

lekin agar bhai ya koi dusra rishtedar hota toh usse Aurat toh chheen leta lekin uski jaan se dar'ghurez karta tha,

ab agar hz ibraheem (as) ne apni jaan bachaane ki khaatir jhoot bol liya toh aakhir isme Qayamat kaunsi aagayi ??

Jaan bachaane ki Khaatir agar Murdaar tak kha lena Jayez hai, toh Aakhir jhoot bolna kyon jayez nahin ho sakta,

Aakhir wah qaunsi shariat hai jisme is qadr Shakhti rakhi gayi hai,

Jaan bachaane ki Khaatir toh allah taala ne Kalima e kufr TAK Kah dene ki bhi ijaazat di hai, basharte ke dil me koi baat na ho (3/38)

Toh phir kiya jhoot bolna usse bada Jurm hai ???


5- GIRGIT (CHAMELEON) KO MAARNA:



Hz umme shareek (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne girgid ko maarne ka huqm diya hai, aur farmaya hai ke:-" wah hz ibraheem (as) par aag roshan karti thi "

(maqaam hadith page 317)


JAWAB:


Samjha ye jaata hai ke girgit ko maarne ki wajah hi aapne ye batlaayi hai ke chunke hz ibraheem (as) par aag roshan karti thi,

lihaaza is jurm ki paadaash me uska maarna zaruri hai,

Halaanke uske asal wajah ye hai ke ye bhi " Mauzi" jaanwar hai, aur mauzi jaanwaron ko hadith me " fawai'sik" kaha gaya hai,

aur girgit ko bhi unhi me shumar Kiya gaya hai,

jaisa ek ek dusri riwayat hz aisha (ra) se yun marwi hai

" yani nabi e akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne girgit ko bhi fawai'sik ( mauzi jaanwar kaha hai )"

(bukhari kitab bad'a ul khalq )


Aur mauzi jaanwar ko aam haalat to dar'kinaar, masjid e haraam me bhi maar daalne ka huqm hai (bukhari)

is hadith me uske aag roshan karne ke fael ko zamanan zikr kiya gaya hai jaisa ke hadith ke alfaz se bhi waazeh hai,


Ek sawaal ye bhi uthaaya ja sakta hai ke girgit ne hz ibraheem (as) ka kya bigaada tha jo ye saza usko hui?

Toh iska jawab ye hai ke wah jaanwar mauzi hi kiya hua, jo bigaadne ke liye kise wajah ka intezaar kare ??


Bicchu kisi ko isliye nahi kaat'ta ke kisi ne uska kuch bigaada hua hai, balke isliye kaat'ta hai ke dank maarna aur uski fitrat me daakhil hai,

girgit ka tareeqa ezaar saani ye hai ke ye apni lambi zabaan se door se thookti hai, uske munh ka lu'aab Zahreela hota hai, jisse keede makode marr jaate hain, phir uski khuraak bante hain,

ab sawaal ye rah jaata hai ke girgit ne apne phoonkne ya nafakh se aag me kya izaafa kiya tha ??? Ye ham nahin jaante,

Albatta itna zaroor jaante hain ke usme 3 ya 4 khususiyaat aisi paayi jaati hain jo dusre jaanwaron me nahi paayi jaati,

maslan,

1- ye jaanwar mahaul ke mutaabik fauran apna rang badal sakta hai, aur iski ye khaasiyat itni mashoor hai ke " girgit ki tarah rang badalna " ek muhaaura ban chuka hai,

2- ye ke uski aankhen papoton me malfoof hoti hain, jin me suraakh hote hain, unhi suraakhon mese ye dekhte hain,

3- ye ke ye aage peeche daayen baayen ooper neeche har tarah dekh sakti hai, aur

4- ye ke agar uske jism ka pichhla hissa kat jaaye toh wah bahut der tak zinda rah sakta hai,


Aur kya maloom ke uski ye khususiyat aag ke sholon ko bhi tez karta ho.....




TO BE CONTINUED.......