Saturday, November 10, 2012

BUKHARI KI QAABIL E AITRAAZ HADITH: (PART-2)

Bismillahirrahmanirraheem



BUKHARI KI QAABIL E AITRAAZ HADITH: (PART-2)



6- HZ ADAM (AS) KA QAD


Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab aadam ko paida kiya toh unka qad 60 ghaz tha..... Phir baraabar ab tak ye qad kam hota raha "

(maqam hadith pg 317)


JAWAB:


Ab dekhiye is hadith me 2 baatein ghaur talab hain

1- hadith me " zara'a " ka lafz hai, jiska maana " haath " hai, na ki " ghaz" aur haath ausat (average ) lambaai 1/2 feet hoti hai, lekin parvez ne tarjuma zara'a ka maana " ghaz " kar liya hai,

asal tarjuma ki ru se ye 60 haath ya 30 ghaz banta hai,

2- " qad" aur " umar" dono aisi cheezein hain jo ibtedan me bahut zyadah thi, lekin dheere dheere kam hoti gayi,


hz adam (as) ki umar 1000 saal thi, isi tarah hz nooh (as) ki umar bhi 1000 saal thi, lekin baad ke daur me insaani umar kam hoti ja rahi hai,

hatta ke nabi e akram sallaho alaihi Wasallam (pbuh) ne farmaya ke meri ummat ki ausat umar 60 aur 70 saal ke darmiyaan hai, aur ye umar hazaar saal ka 15wa hissa banta hai,

ab agar 30 ghaz qad ka 15wa hissa liya jaaye toh ye 2 ghaz ya 4 feet rah jaata hai, aur taqreeban yahi qad aaj kal paaya jaata hai,

kisi ilaaqe ke log 6 ft. Se buland hain toh kisi dusre ilaaqe me 6 fit se bhi kam hote hain,

ab agar umar ke tanasab ka saboot qur'an se mil jaata hai, toh phir agar qad ka wahi tanasab hadith se saabit ho toh usme aitraaz ya hairaangi ki koi maaqool wajah hamen nazar nahin aati....


7- NAMAZEIN KAISE FARZ HUI ??


AITRAAZAAT KA JAYEZA:


Meraj ka waaqeya aur us mauqa par namazon ke farz hone ka zikr itna mashoor hai ke uske darj karne ki bhi zarurat nahi,

us hadith par aitraaz ye kiya jaata hai ke ye hadith kisi YAHUDI ki ghadi hui hai, jisne hz musa (as) ki shaan ko nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) se buland karke dikhaaya Hai,

is aitraaz ka jawab inshallah agle article me denge,

dusra aitraaz ye kiya jaata hai ke allah taala ne pahli baar 50 namazein farz kar di, aur is baat ka ilm na allah ko huwa na rasool ko ke ummat e muhammadiyah 50 namazein ki paband nahin ho sakti,

agar is taraf tawajjoh dilaayi toh hz musa (as) ne,

chunanche aap nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) baar baar khuda ke yahan haazir hote aur takhfeef karaate rahe, yahan tak ki  5 namazein baaqi rah gayin,


JAWAB:


is aitraaz ka jawab ye hai ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ko is baat ka ilm ho ya na ho, allah taala ko zaroor ilm tha,

magar ahsaan wa karam maqsood tha, aur isi soorat ye hi thi ke pahle ziyaadah bhaar daala gaya, phir nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ki ilteja par kami ki jaati rahi,

iski misaal yun samjhiye ke allah taala ne surah anfaal me imaan ki pukhatagi ka meyaar ye qaraar diya hai ke Maidaan e jung me ek momin ko 10 kaafiron par ghaalib aana chahiye (8/65), lekin uske saath hi agli aayat me farmaya

" ab allah ne tum par se (bojh) halka kar diya aur jaan liya ke tum me kamzori hai, pas agar tum mese 100 saabit kadam rahne waale honge toh 200 par ghaalib rahenge, aur agar tum me se 1000 honge toh allah ke huqm se 2000 ghalib rahenge "

(surah anfal 66)


ab dekhiye dono ayat surah anfal ki hain aur mutsal hain, pahli me meyar imaan ki nisbat 10:1 hai, phir saath hi usme itni takhfeef kardi ke ye nisbat 2:1 ya 5wa hissa rah gayi,

ab ye aitraaz toh quraan par bhi hona chahiye ke allah ko (naozubillah ) itna bhi ilm na tha ke pahle aayat me itna kada meyaar rakh diya, phir saath hi me itni zabardast takhfeef bhi kar di,

haqeeqat ye hai ke is aayat me bhi raham wa karam ki baat hai aur nez ye ke agar pahle zyadah baar daal kar takhfeef kar di jaaye toh bande allah ke ziyadah  mominun Wa mashkoor hote hain aur yahi baat hadith e meraj ki bhi hai,

halaanke allah ko in dono baaton ka pahle se ilm tha,


3ra aitraaz is hadith par ye kiya jaata hai ke jab aakhir me 5 namazein rah gayin toh allah taala ne farmaya :-" ma yu'baddalul qaulu ladaiyya " ( mere yahan baat nahin badla karti ),

halaanke baat kai baar badli, pahle 50 namazein farz hui, phir 40 rah gayin, phir 30, phir 20, phir 10, phir 5, yaani 5 baar baat badal gayi,

Phir baat badalna aur kise kahte hain ??


Toh iska jawab ye hai ke yahan " al qaul " se muraad na namazon ki tadaad hai aur na ahkaam shariat ki,

balke yahan al qaulu se muraad hasanaat ka wah atal qanoon hai, jise allah ne khud yun bayan farma diya hai

" jo neki karega usko neki ka 10 guna sawaab milega "

(6/160)



Chunanche usi riwaayat me " ma yubaddalul qaulu ladaiyya " ki wazaahat bhi in alfaz me maujood hai " wahi khamis wahi khamsoon"

yani un 5 namazon  Ka sawaab 50 namazon ke baraabar hi milega....


8- NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR JAADU:



Hz aisha (ra) kahti hain ke (ek martaba) nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) par jaadu kiya gaya, (uska asar) yahan tak huwa ke aapka khyaal hota tha ke ek kaam kiya hai, haalanke aapne kiya na hota tha, yahan tak ke ek din aapne allah se bahut dua ki, baad uske mujh se farmaya ke:-" tum ko malum hai ke allah taala ne mujhe wah baat bata di, jisme meri shifa hai, do aadmi(khwab me) mere paas aaye unme se ek mere sar ke paas aur dusra paaon ke paas baith gaya , ek ne dusre se poocha, is shakhs ko kya bimari hai ?"

Dusre ne kaha,:-" in par jaadu kiya gaya hai"

phir pahle ne kaha:-" kisne jaadu kiya ?"

dusre ne kaha:-" ubaid bin aasim ne "

pahle ne kaha:-" kis cheez me ?"

dusre ne kaha :-" kanghi me aur rui ke gaale me aur khajoor ki kali me aur ooper wale chhilke me "

pahle ne kaha :-" wah kahan hai ?"

dusre ne kaha:-" zarwaani naami kuwen me"

pas nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef legaye, baad uske jab laute toh aapne hz aisha (ra) se farmaya:-" is kuwen ke qareeb waale darakhton ke khoshe goya shayateen ke sar hain "

maine kaha:-" aapne usko nikalwa liya ?"

farmaya:-" allah ne mujhe shifa de di, mujhe ye khayal hua ke logon me fasaad phailega aur jaadu ka charcha zyada hoga, iske baad kuwan band kar diya gaya "

(maqam hadith 320)


Aitraazaat aur unka jayeza:


1- is hadith par pahla aitraazat ye hai ke jadu, chunke kufr wa shirk ka kaam hai, lihaza nabi par jaadu nahin ho sakta, yani agar koi kare bhi toh uska asar nahi hota,


Is aitraaz ka jawab ye hai ke nabi par jaadu ka Asar hona Qur'an se saabit hai,

Fir'aun ke jaadugaron ne jab hazaaro majme me apni rassiyan aur laathiyan phenki toh wah saanp ban kar daudhne lagin, toh uska asar majme par ye hua ke



Qur'an me aata hai


" jab jaadugaron ne ( apni rassiyan aur lathiyan ) daal di toh logon ki aankhon ko mashoor kar diya ( yani unki nazar band kar di) aur unhe dahshat zadah kar diya aur bahut bada jaadu laaye us dahshat ka asar moosa ke dil par bhi ho gaya tha "

(7/116)


irshad baari hai

" musa apni dil me darr gaye toh ham ne ba'zariye wahi kaha , aiy musa ! Daro mat tumhi ghalib rahoge "

(20/67-68)



Dusra aitraaz ye hai ke agar nabi par jaadu ka asar tasleem kar liya jaaye toh usse shariat saari ki saari na'qaabil aitmaad thaharti hai,

kya malum ke nabi ka falan kaam wahi ke tahat hua tha ya jaadu ke zer e asar ??

Iska jawab ye hai ke ye waaqeya 8 hijri ( suleh hudaibiya aur fatah khaibar wagerah ) ke baad pesh aaya, jabke yahudi har maidaan me pit chuke they,

pahle khaibar ke yahudi khud ek saal tak jaadu karte rahe, jiska khaak asar na hua, phir wah madeena me lubaid bin asim ke paas isi Gharz se aaye, lubaid bin asim sabse bada jaadugar tha, phir uski betiyan is kaam me usse bhi zyadah maahir thi,

usne apne betiyon ki madad se nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke baal mubarak haasil kiye, phir unme kanghi deta aur mantar padhta jaata tha, aur bada sakht qism ka taaseer waala jaadu kiya, us jaadu ka bhi 6 mahine tak aap par kuch asar na hua,

6 mahine baad uske asraat numaayan hone shuru hue, taaham uska asar mahaz aapke zaati af'aal tak mahdood tha,

yani aap ye sochte ki main falan kaam kar chuka hoon, jabke kiya nahin hota tha, ye zehni kaifiyat aur bechaini aapko 40 din tak rahi,

phir allah taala ne 2 farishtey bhej kar uski haqeeqat aur ilaaj batla diya, phir aap shifa yaab hogaye,


ye waqeya hadith ki taqreeban tamam kitabon me ba'ikhtelaaf al alfaz maujood hai, aur itni kaseer riwayat hain jo har tawatir ko pahuncti hai, jinka inkar muhaal hai,

lubaid bin aasim ne Apne jurm ka aitraaf bhi kar liya, taaham aapne use mu'af kar diya, kyonke aapne zaati taqleef ki bina par kisi se kabhi inteqaam nahi liya,


Ab asal aitraaz ki taraf aayen toh ye baat yaqeeni taur par saabit hai ke jaadu shariat ke ahkaam par harghiz asar andaz nahin hua, balke ye asar mahaz aapki zaati haisiyat tak mahdood raha,

aur iska saboot ye hai ke us waqt tak aadhe se zyadah Qur'an naazil ho chuka tha, arab ke log us waqt 2 mutwaazi firqo me bat chuke they, jin me ek firqa ya toh musalman tha ya musalmano ka haleef aur dusra firqa unke mukhalif,

agar us dauraan nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) par jaadu ka asar shariat me asar'andaz hota , yani kabhi aap namaz hi na padhte ya ek ke bajaaye do padha dete, ya quraan ki aayat khalat malat karke ghalat padhte ya koi aur kaam shariat ke khilaaf sar'zad hota toh dost wa dushman sab me yani poore arab me iski Dhoom mach jaati,

jabke Waqeya ye hai ke hamen ek bhi aisi riwayat nahi milti jisme ye ishaarah tak bhi paaya jaata ho ke us asar se aapke sharai aamaal wa fael me kuch harz waqe hua ho,


3-Aur teesra aitraaz ye kiya jaata hai ke kuffar ka hamesha se ye wateerah raha hai ke wah ambiya ko ya toh jaadugar kahte they aur ya jaadu'zadah kahte they, agar ham khud hi aap par jaadu aur uski asar'pazeeri tasleem kar len toh goya ham bhi kuffar ke hamnawa ban gayi....


JAWAB:


ye aitraaz isliye ghalat hai ke kuffar ka ye ilzaam hota tha ke nabi ne apni nubuwwat ke daawe ka aaghaz hi jaadu ke asar ke tahat kiya tha,

Aur jo kuch ye aakhirat, qayamat, hashr wa nashr, jannat wa dozakh ke afsaane sunaata hai, ye sab kuch jaadu ka asar ya pagalpan ki baatein hain, goya nubuwwat aur shariat ki tamam tar imaarat ki buniyaad jaadu ka asar ya pagalpan ki baatein jadu qaraar dete they,


lekin yahan maamla is ke bilkul bar'ashk hai, ye waqeya Aapki nubuwwat ke 20 saal baad pesh aata hai, jabke aadha Arab aapki nubuwwat aur ahkaam shariat par imaan rakhta tha,

phir ye waqeya ahkaam shariat par bhi chand asar'andaz nahi hua, albatta is waqeye se uske bar'ashk ye nateeja zaroor nikalta hai ke aag hargiz jaadugar na they, kyonki jaadugar par jaadu ka asar nahi hota


9- AZWAAJ E MUTAHHARAAT:



Hz anas bin malik (ra) kahte hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) apni (tamam) biwiyon ke paas ek hi saa'at ke andar raat aur din me daurah kar lete they,aur wah 11 thin,

hz qatadah (ra) kahte hain maine hz anas se kaha:-" kya aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) un sab ki taaqat rakhte they ??

Wah bole ke:-" ham kaha karte they ke aapko 30 mardon ki taaqat di gayi thi,"

aur sayeed ne qatadah se naqal kiya hai ke anas ne 9 biwiyan bayaan ki "

(maqaam hadith pg 320)



JAWAB:


Is hadith me dar'asal 3 mukhtalif mauqon ki Baatein ek saath bayaan kar di gayi hain, jo is tarah hai,

1- hz anas bin malik kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) apni tamam biwiyon ke paas ek saat raat aur din me daurah kar lete they aur wah 11 thin,

2- qatadah kahte hain maine anas se kaha ke kiya aap itni taaqat rakhte they ?? Wah bole ham aapas me kaha karte they ke aapko 30 mardon ki taaqat mili hai,

3- sayeed ne qatadah se naqal kiya ke anas ne 9 biwiyan bayaan ki ( ye hadith kitabun nikah me bilkul alag sanadon ke saath alag taur par bhi bukhari me mazkoor hai )



In teeno mukhtalif waaqeyaat ki baaton ko ekja bayaan karne se kayi ghalat fahmiyan ya aitraaz paida ho gaye, maslan

1- Aapki azwaaj e mutahharaat 11 thin ya 9 ?

2- aap rozana sab biwiyon se mujaammat karte they aur kar sakte they, kyonki aapme 30 mardon ki taaqat thi...

Ab ye toh zaahir hai ke hz anas (ra) ek hi waqt me nabi e akram sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ki 11 biwiyan aur 9 biwiyan nahi kah sakte, aur quwwat ke mutaallik khud unka apna bayaan hai ke " ham aapas me ye baat kiya karte they "

lihaaza isi hadith se ye malum ho raha hai ke 3 mukhtalif mauqa ki baatein hain,



AITRAAZAAT KA JAYEZA:


Ab pahli baat ye hai ke daurah karne se muraad mujaammat harghiz nahin hai, kyonke aapko ye daurah din ke kisi waqt bhi ( ye daurah amuman asr ki namaz ke baad aur shaam se pahle hota tha,.... Bukhari ) ya raat ko shhab basri se pahle kiya karte they, aur is daurah ka maqsad sirf tamam gharaano ki khair khairiyat malum karna aur jungi zaruriyat ko poora karna hota tha,

yani aap nihaayat mukhatasar waqt ya ek saa'at me sab gharwaalon se chakkar lagaate they,

aur daurah se mujaammat muraad na hone ki sabse badi daleel ye hai ke aapne tamam biwiyon ke yahan shab basri ke liye baari muqarrar kar rakhi thi,

Lihaaza ek hi raat me sab biwiyon ke   Paas is gharz se jaane ka sawaal hi paida nahi hota, elaawah is riwaayat me din ka bhi zikr hai aur mujaammat amuman raat ko ki jaati hai,


Daurah se mujaammat muraad lene ki ghalti dar'asl is wajah se hui ke saath hi aapki quwwat ka zikr karaaya gaya,

toH is quwwat se muraad ya Jama ki quwwat samjh liya gaya,

Halaanke jab aapki ek hi biwi ke paas shab basri ki baari ahadith sahiha se saabit hai toh yahan quwwat mardmi ka Sawaal hi paida nahi hota,

Ek saa'at me 11 gharon me khair wa khairiyat ka maalum kar aana bhi chusti aur quwwat ke be'ghair na'mumkin hai, !!

Phir aapki quwwat aur shajaat ke aur bhi bahut se waaqeyaat hain, jinke mutaallik sahaba Aapas me aisa tabsirah kiya karte they, maslan  rakaana pahelwaan ko pachhaadhna ya jung e khandaq me patthar ko paas paas karna,


Ab raha masla Azwaaj e mutahharaat ki tadaad ka toh ye tadad aapki wafaat ke waqt 9 thi

(bukhari, kitabun nikah bab Kasratun nisa )

me do hadith se waazeh hota hai, ke ye tadad 9 hi durust hai, aur un azwaaj ke naam ye hain

hz sauda, hz aisha, hz hafsha, hz umme salma, hz zainab,  hz juwairiyah, hz umme habeeba, hz juwairiyah aur hz maimuna,

aur jis riwayat me tadad 11 mazkoor hai usme aapki do kaneezein hz mariya qibtiyah aur Hz rehana bhi shamil hain,

hz mariya ke mutaallik baaz logon ka khyaal hai ke aapne use azaad karke nikah kiya tha, magar ye baat durust nahi,

ye shah e misr ne hidya aapko bheji thi aur jab ye aayin toh us waqt nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par mazeed nikah karne par Pabandi Lag chuki thi.....



TO BE CONTINUED....