Tuesday, November 20, 2012

NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) NOOR HAIN YA BASHAR???





Bismillahirrahmanirraheem




 NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) NOOR HAIN YA BASHAR???





bohot se lougon ke nazdeek ALLAH ke RASOOL hazrat MOHAMMAD MUSTAFA saww bashar abad insaan nahin the balke ALLAH ke noor ke tukre the
 

lekin yeh baat yeh aqeeda insaani aqal ke to khilaf hai hi
saath me QURAN o TAWHEEDE ISLAM ke bhi khilaf hi hai aaiye batate hain kese Dalaiyl e aqal
 

1..Rasool saww ke walid ABDULLAH to wo khud NOORULLAH kese ?? 

2..Hazrat Moosa a.s ke waqt ALLAH ke noor ki zara si tajalli ko pahad bardasth na kar sakti na us waqt ke insaan
Rasool e kareem saww noor ke tukre hote to unhen kis tarah sub dekh lete ?? 
3..ALLAH ne apna hissa (NAUZBILLAH) zam­een me bhej kar khud se hi apni parastish karaiy ?? 
4..Rasool e kareem saww bashari taur ba darja umer bare hote gaye
 
kya ALLAH ka noor bhi chota thaaur bara hota gaya ??
 
5..Agar Aap saww me rooh nahin ALLAH ka noor tha to aap saww ne apne rooh e mubarak ka zikr kaiin ahadeeth me kese kiya ??
 
6..Agar aap saww NOORULLAH the to unhen insaanon ki tarah khaane peene ki haajat kyun hoti thi ??
 
yeh ho gayi aqal ki baat ab aapko batate hain TAWHEED ke khilaf kese hai aap ne bunyad e TAWHEED ka doosra kalima parha hai??
 
haan to aapko jawab pata hi hai
aur agar tarjuma nahin parha to hazir hai
(jiska tarjuma bhi subke paas yaksaan hai)
 
ASHHADO ANNA LA ILAHA ILLALLAH HU WAHDA HU
LA SHAREEKA LA HU WA ASHHADOANNA
MOHAMMADAN ABDO HU WA RASOOLOHU
 
tarjuma:mein gawahi deta hoon ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahin ALLAH yakta hai uska koi shareek nahin aur mein gawaahi deta hoon MOHAMMAD(saww) ALLAH ke bande aur Rasool hain
 
1..TAWHEED ke bunyad me ye gawahi hai ke ALLAH yakta hai
wahad hai yaani na usme sekoi hai na woh kisi me se hai
 
2..TAWHEED ke bunyad ka doosra hissa uska koi shareek nahin
kisi bhi muaamle me ALLAH ka koi shareek nahin agar
ALLAH ka eik se zyada hissa hota NAUZBILLAH to woh
ALLAH ka hi shareek hota naa
 
3..KALIMA me doosri gawahi yehihai ke MOHAMMAD saww ALLAH ke
bande aur Rasool hain MOHAMMAD saww ko ALLAH ka banda bashar
insaan e ILAHI maanna hissae tawheed hai ise nakarna
kesa hai kehna zaroori nahin

 
Ab aate QURANI ayaat ki  jaanib
 
"(Rasool saww)Kahiye mera RAB pak hai mein to
eik insan(aur)ALLAH ka bheija huwa(Rasool)hoon"

surat al Bani Israeel,ayat#93

 
is ayat ka ye tarjuma mene naqal kiya hai
Irfan Ul Quran se Darul uloom sameit tafseer e ibn e kaseer
tak iska yehi tarjuma hai
 
aage barhte hain
 
"Aur mein tum se nahin kehta ke mere paas ALLAH ke khazaane hain
aur na mein khud ghaib jaanta hoon aur na mein yeh kehta hoon ke
mein insaan nahin farishta hoon"

Surat al Hood,ayat#31

 
is ayat ka tarjuma bhi Irfan ul Quran(publication of minhaj e quran) se liya hai mene
QURAN SHAREEF me bhi ALLAH ke RASOOL a.s farmate hain ke:-" mein insaan hoon "
TAWHEED ka bhi hissa hai unhein ALLAH ka banda abad bashar o rasool tasleem karna aur baad iske mazeed Bukhari shareef ki eik hadeeth peish karna chahunga 
"Mujhe aise na bana dena jese eesaion ne Eesa(a.s)ko banaya tha mein to ALLAH ka banda hoon tum bhi mujhe ALLAH ka banda aur uska rasool kaho"
 Sahih Bukhaari
 
ALLAH ke HABEEB salat o assalam ne farmaya hai ke:-" me ALLAH ka banda hoon aur uska RASOOL hoon tum bhi mujhe ALLAH ka banda aur uska rasool kaho"
 sirf unhen INSAN na tasleem karna kufr hai aur unhen ALLAH PAK ke noor ka tukra maanna NAUZBILLAH shirk e aala aur kufr e aala
 
kyunke isse aapka kehna maanna aur aqeedah yeh hoga ke
 
ALLAH ke hisse ne shaadi ki ALLAH ke hisse se khoon baha ALLAH ke hisse aulaadein huween ALLAH ke hisse se noor baha ALLAH ke hisse ne apni ibaadat ki
 
dalaiyl to aur bhi bohot se hain peish karne ke liye
lekin eik baat yeh ke itne dalaiyl samajhne wale ke liye
kaafi hain aur waazeha hain doosri baat yeh ke Sahih Bukhari
ki yeh hadeeth tamam firqe walon ke paas yehi hai QURAN
ke yeh ayaat tamam ke paas yehi milengen aap ko insha'ALLAH
aur doosre kalima ka bhi yehi tarjuma milega aapko so dalaiyl bhi aapke aage mutafiqqa taur se peish kiye gaye taake aapki humaari bilkul tamaam wehem ogumaan door ho jaayen aur hum sach aur
haq ko pehchaan lein Ameen
 
aur NAUZBILLAH is kufriya aqeede se bachen aur apne doston ko in ayaat o kalimaat se waaqif karen taake aapke aur humaare zariye koi aur jihalat me jaane se bache ALLAH PAK humen jihalat gumraahi shirk o kufr se bachaaye
HAQ samajhne parhne jaanne maanne ki taufeeq de Ameen Thumma Ameen