Thursday, November 22, 2012

NAMAZ E NABAWI (PART-2)

Bismillahirrahmanirraheem




NAMAZ E NABAWI (PART-2)


Namaz e Nabwi saw ,

Rasool saw ne farmaya Namaz ussi tarah pado jistarah tum mujhe padte hue dekhte ho ,

{Bukharh , kitab ul Azan
Hadees no 231 , 6310}



Namaz ki Niyat

Allah ke Rasool saw ne farmaya amal ka daro madar niyat par hai ,

{Bukhari , Hadees no ,
1 , 54 , 2520 , 2529 ,
3898 , 5070 , 6689 , 6953}
{Muslim , kitab ul Imarat
Hadees no , 1909}



Isiliye zaruri hai ke hum apne sare jaeez kaamo mein sab se pahle Ikhlash ke saath niyat kar liya kare kyon ke jaisa niyat hoga waisa hi azr milega,


Abu Huraira raz riwayat karte hai ke Nabi saw ne farmaya , ek saheed Allah ke saamne Qiyamat ke din laya jayega , Allah usse puchega ke tu ne kya amal kiya ? woh kahega ke main tere Raah mein laad kar saheed hua , Allah farmayega tu jhuta hai balke tu is liye laada ke tujhe bhahadur kaha jaye , yani teri niyat dunya mein poori ho gayi ab mujh se kya chahata hai phir munh ke bal ghasit kar aag mein dal diya jayega , issi tarah ek Aalim jisne Ilm ke charcha ki nayat se pada or padaya tha , Allah ke saamne pesh ho kar jahannam mein jhok diya jayega , phir ek naam ke garz se shakhawat sadqa karne wala maaldar ka bhi yahi anjam hoga ,


{Muslim , kitab ul Imarat
Hadees no 1905}



Wazu karte waqt dil mein yeh niyat karo ke Allah ke saamne Namaz mein hazir hone ke liye paaki wazu karne laga hun or phir jab Namaz padne lago to dil mein yeh irada or Niyat karo ke sirf apne Allah hi ko khush rakhne ke liye Allah ka hukm baza
lata hun ,



Niyat chuke dil se taluk rakhti hai isi liye zuban se aada karne ki zarurat nahi or niyat ka zuban se aada karna Allah ke Rasool saw ki sunnat or sahaba raz ke amal se sabit nahi hai ,
Apne dil mein kisi kaam ki niyat karna or zarurat ke waqt kisi keo apni niyat se aagah karna jaeez baat hai , magar Namaz se pahle Niyat padhna , Aqal o Naql or lugat teeno ke khilaf hai ,
 


1- Aqal ke khilaf is liye hai ke bohat sari kaam aise hai jinhe suru karte waqt hum zuban se niyat nahi padhte , kyon ke hamare dil mein unhe karne ki niyat or iraada mauzud hota hai , jaise zaqat dene lagte hai to kabhi nahi padhte ke main zaqat dene laga hun , to kya Namaz hi ek aisa amal hai jiske suru mein uski niyat padhna zaruri ho gaya hai? Namaz ka niyat to usi waqt ho jata hai jab aadmi aazan sun kar masajid ki taraf chal padta hai or usi niyat ke waza se usse har kadam par nikiya milti hai , is liye Namaz suru karte waqt jo padha jata hai woh niyat nahi Bid'at hai ,
 


2- Naqal ke khilaf is liye hai ke Nabi saw , or Sahaaa raz pabaandi se Namaz padha karte the or agar woh apni Namaz se pahle niyat padhna chahate to aisa kar sakte the , unki liye koi rukawat nahi thi , lekin un mein se kabhi aisa na Namaz se pahle aaj kal ke tarike se Niyat nahi padhi , is ke khilaf woh hamesa apni Namazon ka suruwat takbeer tharima yani Allahu Akbar se karte rahe isse sabit hua ke Namaz se pahle niyat padhna
Bid'at hai ,
 


3- Lugat ke isliye khilaf hai ke Niyat arbi bhasha ka shabd hai , arbi mein iska mana irada hai , or irada Dil se kiya jaata hai zuban se nahi , bilkul ussi tarah jaise dekha aankh se jaata hai paao se nahi , doosre shabd mein niyat dil se ki jaati hai zuban se padhi nahi jaati ,
Imaam Ibn Tahmiya ra , farmate hai ke alfaz se niyat karna muslim ulama mein se kisi ke nazdik bhi sunnat nahi hai , Nabi saw Aap ke khulfa e Rasheed or digar sahaba raz or na hi ummat ke salaf or Imaammo mein se kisi ne alfaz se niyat nahi ki , ibaadat mein jaise wazu , gushal , Namaz , roza or zaqat wagairha mein jo niyat wazib hai,tamam Imaammo ke nazdik bina ikhtelaf us ka jagah dil hai
 

{al Fatawa al Kubra}


Imaam Ibn Hummaam or Ibn Qaayem bhi is ko Bid'at kah te hai


Note - kuch log Roza rakh ne ki Du'a , Hajj ke tallbea or Nikah mein izaab woh Qubol se Namaz wali raaez niyat karne ki koshish karte hai is baare mein kahna yeh hai ke roze rakhne ki Du'a wali hadees zaeef hai , isi liye huzat or daleel nahi hah , Hajj ke liye taalbea sahih hadees se sabit hai , is liye Nabi saw ki pairvi mein usse karna zaruri hai magar Namaz wali niyat kisi hadees mein nahi hai rah gaya Nikah mein izaabe or Qubol ka masla to chuke Nikah ka taluk bhande ke huquq se bhi hai or bhando ke huquq mein mahaz niyat se nahi balke iqraar , tahrir or gawahi se maamlat tay pate hai , jab ke Namaz mein to bhanda apne Rab ke saamne khada hota hai jo tamam niyat ko acchi tarah jaanne wala hai , phir waha niyat padhne ki kya zarurat hai is liye musalmaano se guyarish hai ke woh is Bid'at se Nazat paaye or Sunnat ke mutabi Namaz suru kar ke Nabi saw sdm Mohabbat ka sabut den ,

Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene
wala banaye,
 


Ameen Ya Rabbil Aalameen ,


Post by , Abdur Rahim Shah
f/b , aana.ahlehadees.9@facebook.com