Monday, June 2, 2014

MUNKIREEN E HADEES KO JAWAAB

MUNKIREEN E HADEES KO JAWAAB
 



Bismillahirrahmanirraheem
 


Munkireen E Hadees ki taraf se Aetraaz kiya jaat hai k baad mai chal kar bahut saari mouzu, manghadat aur zaeef hadeese sahih hadeeso mai mil gayi iska intezaam bhi Allah Tabarak o Ta'ala ne kar diya, Aese aese loogo ko tayyar kiya abhi ek misaal dunga aur aapko hairaan kar dunga Ek Ek raavi k halaat e zindagi ko chaan mara gaya aur Allah ta'ala ne ye farmaya tha k kisi khabar ko accept (amal) karne se pehle uski tehqeeq karlo khabar agar muhaqqaq ho jaye to maan lo muhaddiseen ne raavi-yaan E hadees ka pura kaccha chittha khool dala Mai misaal deta hu us se pehle hadees pad leta hu (yaani likh deta hu)
 

Hadees: AN ABI HURIRATA RAZI ALLAHU TA'ALA ANHU QALA QALA NABIYU SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM QALIMATAANI HABIBATAANI ILAL RAHMAAN KHAFI FATAANI ALAL LEESAAN SAKILATAANI FILMEEZAAN SUBHAN ALLAHI WA BIHAMDIHI SUBHAN ALLAHIL AZEEM 

(SHAHI BUKHARI KITABUT TAUHEED HADEES NO. 7563)
 


Imam Bukhari is Hadees ko bilkul aakhir mai laye hai aur ye Bukhari ki aakhiri hadees hai yaha par Bukhari khatam ho jati hai iske baad koi riwayat nahi hai raavi hazrat e Abu Huraira Razi Allahu Anhu hai Tarjuma: Hazrat E Abu Huraira Razi Allahu Anhu ne kaha k Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Do kalme aese hai jo Allah Tabarak o Ta'ala ko bahut hi pasand hai jo zuban par halke hai aur qayamat k din aamaal ki taraazu mai boojhal ba wazan honge, wo kalmaat e mubaraka ye hai 

"SUBHAN ALLAHI WABIHAMDIHI" "SUBHAN ALLAHIL AZEEM".
 


(Bukhari Kitabut Tauheed Hadees no. 7563)
 


Mene ye hadees Hazrat E Abu Huraira Razi Allahu Anhu se shuru ki, Ab koi Munkireen E Hadees ye kahe k aapne Abu Huraira Razi Allahu Anhu ko dekha hai, mai kahunga Abu Huraira Razi Allahu Anhu ko to dekha nahi lekin "Mujhse lekar Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak jitne loog hai sab mere saamne hai (yaani puri sanad mojood hai) isliye k ye hadees Bukhari Shareef mai hai"
 


Mene yani SHEIKH JALALUDDIN QASMI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MOLANA SAEED AHMAD PALANPURI SE MOLANA SAEED AHMAD PALANPURI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD BAKHRUDDIN MURADABAADI SE BAKHRUDDIN MURADABAADI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MEHMOOD UL HASAN DEOBANDI SE MEHMOOD UL HASAN DEOBANDI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MOLANA QASIM NANOTAVI SE MOLANA QASIM NANOTAVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHEIKH ABDUL GANI MUJADDADI SE SHEIKH ABDUL GANI MUJADDADI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHAH ABDUL AZEEZ MUHADDIS DEHALVI SE SHAH ABDUL AZEEZ MUHADDIS DEHALVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHAHI SAAB DEHALVI SE SHAHI SAAB DEHALVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHAH WALI ULLAH MUHAADIS DEHALVI SE SHAH WALI ULLAH MUHAADIS DEHALVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHEIKH ABU TAHIR QURDI SE SHEIKH ABU TAHIR QURDI NE BUKHARI PADHI APNE WALID IBRAHEEM QURDI SE IBRAHEEM QURDI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH AHMAD KASH'SHSHI SE SHIEKH AHMAD KASH'SHSHI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHEIKH AHMAD SHANNAAVI SE SHEIKH AHMAD SHANNAAVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MUHAMMAD IBNE YOUSUF RAMLI SE MUHAMMAD IBNE YOUSUF RAMLI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD ZAKARIYA ANSARI SE ZAKARIYA ANSARI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD HAZRAT E HAAZIF IBNE HAJAR ASKALAANI SE HAZRAT E HAAZIF IBNE HAJAR ASKALAANI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD IMAM IBRAHEEM TANOOKHI SE IMAM IBRAHEEM TANOOKHI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD AHMAD IBNE ABI TALIB SE AHMAD IBNE ABI TALIB NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SARRAAJ AL HUSSAIN IBNUL MUBARAK SE SARRAAJ AL HUSSAIN IBNUL MUBARAK NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH ABDULLAH HARVI SE SHIEKH ABDULLAH HARVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH ABDULLAH IBNE MUZAFFAR DAWOODI SE SHIEKH ABDULLAH IBNE MUZAFFAR DAWOODI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH ABDULLAH SARAKHTI SE SHIEKH ABDULLAH SARAKHTI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MASH'HOOR MUHADDIS MUHAMMAD IBNE YOUSUF THARAPHARI SE MASH'HOOR MUHADDIS MUHAMMAD IBNE YOUSUF THARAPHARI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD HAZRAT E IMAAM MUHAMMAD IBNE ISRAEEL AL BUKHARI SE HAZRAT E IMAAM MUHAMMAD IBNE ISRAEEL AL BUKHARI KEHTE HAI HADDASANA AHMAD IBNE ISKAAB, HADDASANA MUHAMMAD IBNE FUZAILIN, AN UMARATA IBNUL QAAQA'E, AN ABI ZUR'ATA, AN ABI HURAIRATA
 

Hazrat E Imaam Muhammad Ibne Israeel Al Bukhari Kehte hai hum se Ahmad Ibne Iskaab ne bayan kiya, kaha k hum se Muhammad Ibne Fuzailin ne, un se Umara Bin Qaaqa'e ne, unhone ne Abu Zur'ah se, unhone Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se "Hazrat E Abu Huraira Razi Allahu Anhu ne kaha k Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Do kalme aese hai jo Allah Tabarak o Ta'ala ko bahut hi pasand hai jo zuban par halke hai aur qayamat k din aamaal ki taraazu mai boojhal ba wazan honge, wo kalmaat e mubaraka ye hai 

"SUBHAN ALLAHI WABIHAMDIHI"
"SUBHAN ALLAHIL AZEEM". 


(Bukhari Kitabut Tauheed Hadees no. 7563)

" pata chala ye hai Hadees bicharo ne kahi se ulti palti chand kitaabe padhli idhar udhar se aur hadeeso par aetraaz karne lage Hadees ka ilm hasil karo Hadees kitna azeem ilm hai hairaan reh jaoge ek ek hadees ko parakhne k liye ek ek hadees ko 100, 100 meyaaraat se guzarna padta hai aur muhaddiseen ki pehli nigaahe kisi na kisi maiyaar par gadbad raavi ko padkad leti thi. ummat k zaheen tareen loog muhaddiseen hai, samajh mai aya ye hai hadees.
 


Ab dekhiye kitne waaste hai mujhse (Sheikh Jalaluddin Qasmi) se hazrat e Abu Hurairah Razi Allahu Anhu tak aur phir Hazrat e Abu Huraira Razi Allahu Anhu se lekar Janab E Muhammadur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak aur Muhammadur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se lekar Jibraeel Alaihis Salaam tak aur Jibraeel Alaihis Salaam se le kar
 

"ARRAHMAANU ALAL ARSHIS TAWA

" Allah Tabark o Ta'ala jo arsh par mujtavi hai us tak, ye sanad kaha tak pahunchi arsh tak pahunchi k nahi Muhammadur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam us waqt tak nahi bolte jab tak Jibraeel Alaihis Salaaam nhi bolte aur jab tak Jibraeel Alaihis Salaam nhi bolte jab tak Allah Tabarak o Ta'ala unse na keh de, ye mai nhi keh raha ye to Allah Tabarak o Ta'ala ne irshaad farmaya: 

"WAN NAJMI IZA HAWA, MA ZALLA SAHIBUKUM WAMA GAWA, WAMA YANTIKU ANIL HAWA IN HUA ILLA WAHYUN YUHA

" Mera Nabi jab bolta hai to uski kisi baat mai uski khawaish e nafs ki aamezish nhi hoti (yaani apni taraf se kuch nhi boolte) zuban uski hoti hai aur baat meri hoti hai. (ALLAHU AKBAR)
 


Allah Tabarak o Ta'ala Sheikh ki hifazat farmaaye aur unke ilm mai izafa ata famaye, Aur mere ilm mai bhi izafa ata farmaye. (AAMEEN YA RABBAL ALAMEEN)