Sunday, November 13, 2011

NAMAZI KA LIBAAS:

Bismillahirrahmanirraheem




NAMAZI KA LIBAAS:


Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya:-" koi shakhs kapde me is tarah namaz na padhe ki uske kandhe nange ho"


(bukhari 359,muslim 516)


isse malum huwa ki mard k liye namaz ke dauran sar dhakna waajib nahi warna Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam kandhon ke saath sar ka bhi zikr farmate, sar dhakna zyada se zyada mushtahab hai logon ko iski targheeb to di ja sakti hai magar na dhakne par malamat nahi karne chahiye


"hz umar bin umme salma ra bayan karte hain ki maine Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ko hz umme salma ra ke ghar me ek hi kapde me namaz padhte dekha ki aapne uski dono siden(sides) apne kandhon par rakhi hui thi"

(bukhari 354-355,356, muslim 517)


sahaba kiram ra, nabi kareem Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ke saath namaz padhte they aur wah apne tah'bandon ko chhote hone ke sabab apni gardano par baandhe Hue hote they aur aurton se kah diya jaata tha ki jab tak mard seedhe hokar baith na jaayen us waqt tak tum apne sar sajde se na uthaana"


( bukhari 362)

yah huqm isliye diya gaya taaki agli saf walon ke satar par picchle saf walon ki nazar na pade, yaad rahe ki nabwi daur me aurten pichli safon me namaz ada kiya karti thi.


"Hz muhammad bin munkadir ra bayan karte hain ki main hz jaabir bin abdullah ra ke paas aaya to wah ek kapde me lete hue namaz padh rahe they aur unki chadar (ek taraf) rakhi hui thi, jab wah namaz se faarig hue to hamne unse kaha:" aiy abu abdullah ! aapki chadar padi rahti hai aur aap namaz padh lete hain ? To unhone farmaya: haan, maine Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ko isi tarah namaz padhte dekha hai aur maine yah chaaha ki (aisa hi karun taaki) tumhare jaise jaahil mujhe (is tarah namaz padhte hue) dekh len"

(bukhari 370)




"Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ne namaz me muh dhaapne aur sadal karne se mana farmaya hai"


(abu dawood 643, ise haakim aur haafiz zahbi ne sahih kaha hai)

sadal yah hai ki (sar ya) kandhon par is tarah kapda daala jaaye ki wah dono taraf latka rahe


"Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ke saath aurten namaz fazr adaa karti to wah apni chaadaron me lipti huwa karti thin "

(bukhari 372, muslim 645)


Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya-" baaligha aurat ki namaz odhni ke bina nahi hoti"

(abu dawood 641, ise ibne khuzaima aur ibne habban ne sahih kaha hai)


hz umme salma ra farmati hain:-" aurat odhni aur aise lambe kurte me namaz padhe jisme uske qadam bhi chhup jaayen"

(baihaqi 2/232, balaghul maraam 207)


Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya:-" na apne raan kholo na kisi zinda ya murda ki raan dekho"


(abu dawood 4015, ibne maja 1460, ise ibne Khuzaima aur ibne habban ne sahih kaha hai)


"Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam kabhi namaz me nange pair(feet) khade hote aur kabhi aapne joota(shoes) pahan rakha hota tha"


(abu dawood 653, ibne majah 1038, tahawi ne ise mutawatir kaha hai)


tab masjidon ke farsh kacche hote they aur jooton ke talwe bhi hamwaar hote they jo zameen par ragadne se paak ho jaate they, aaj masjidon me safen, dariyan ya kaaleen bich gaye hai aur jooton ke talwon me bhi gandagi phans jaati hai jo zameen par ragadne se bhi nahi nikalti, isliye aaj agar koi shakhs joote pahan kar namaz ada karna chahe to use paaki ka poora ehtemam karna chahiye warna joote utaar kar namaz padhe


Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam:-" jab tum namaz adaa karo to apna joota pahan lo ya use utaar kar apne qadmon ke beech rakho" ek riwayat me hai ki aapne farmaya:-" yahudion ka ulta karo we joote aur moze pahan kar namaz ada nahi Karte"

(abu dawood 652)


Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya:-" jab tum masjid aao to jooton ko acchi tarah ragdo phir unse namaz ada karo"

(abu dawood 650)


Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam farmate hain:-" jab tum namaz ada karo to jooton ko daayen ya baayen na rakho balki qadmon ke darmiyaan rakho, kyonki tumhara baayan dusre namazi ka daayan hoga, haan agar baayin taraf koi namazi na ho to baayin taraf rakh sakte ho"

(abu dawood 654, 655)


hz abdullah bin abbas ra ne hz abdullah bin haris ra ko dekha ki wah peeche se baalon ka jooda baandh kar namaz padh rahe they,abdullah bin abbas uthe aur unke joode ko khol diya, jab ibne haris namaz padh chuke , ibne abbas ki taraf mutawajjah hue aur kahne lage: mere sar se tumhe kiya sarokaar tha? Ibne abbas ne kaha: maine Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ko yah farte hue suna hai:-" beshak us tarah ke aadmi ki misaal us shakhs Ki si hai ki jo mashaken baandhi hui haalat me namaz ada kare"

(muslim 492)


hz aisha ra se riwayat hai ki Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ne ek dhaaridaar chaadar me namaz padhi, phir farmaya:-" meri is chadar ko abu jaheem ke paas le jaao aur uski chaadar mere paas le aao, us(chaadar ki dhaarion) ne mujhe namaz ki shiddat se ghaafil kar diya"

(bukhari 373,muslim 556)


hz aisha ra ne ghar me ek parda latka rakha tha Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya:- yah parda hata do, iski tasweeren namaz me mere saane aati hain"

(bukhari 374,5959)

malum huwa ki naks wa nigaar waale musalle par namaz padhna sahih nahi hai


"sahaba kiram Rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ke peeche namaz padhte hue garmi ki shakti se sajda ki jagah kapde ka kinaara bichha lete they"

(bukhari, 385,542)