Monday, August 25, 2014

HALAL WA HARAM KI PAHCHAAN:

Bismillahirrahmanirraheem

HALAL WA HARAM KI PAHCHAAN:


Halal Wa Haram Ki Pahchaan Bahut Zaroori Hai, Aur Ye Wah Buniyaadi Ilm Hai Jise Haasil Karna Nabi Akram Sallalaho Alaihi wasallam Ne Har Musalman Par Farz Qarar Diya Hai

(Mishqaat 217, Ibn Majah 224)

Nez Quran Ki Aayaat Me Halal Wa Paakeeza Rizq Khaane Ka Huqm Diya Gaya Hai Jaisa Ke Farmaya

" Logon ! Zameen Me Jo Halal Aur Paakeeza Cheezein Hain Unhe Khaao"

(Surah Baqarah 168)

Ek Dusre Maqam Par Farmaya

"Allah Tala Ne Jo Tumhe Halal Aur Pakeeza Rizq De Rakha Hai Use Khao Aur Allah Ki Nemat Ka Shukr Ada Karo"

(Surah Nahal Ayat 114)

Aur Farmaya Ke

" aiy Imaaan Waalon ! Paakeeza Rizq Mese Khao Jo Hamne Tumhe Diya Hai"

(Surah Baqarah 176)

Ek Aur Aayat Me Hai Ke Paighambaron Ko Bhi Pakeeza Aur Halal Ashya Khaane Ka Huqm Hai

"Aiy Rasoolon ! Paakeeza Ashya Se Khao Aur Nek Amal Karo, Yaqeenan Main Jaanta Hoon Jo Tum Amal Karte Ho"

(Surah Muminoon Ayat No 51)

Maalum Hua Ki Halal Khaana Aur Haram Se Bachna Zaroori Hai Aur Ye Tab Hi Mumkin Hai Ke Halal Wa Haram Ki Pahchaan Ho, Lihaaza Aage Ke Post Me Chand Nuqaat Ki Roshni Me Halal Wa Haram Ki Pahchaan Karaayi Jaayegi... InSha Allah...

Mulaheza Farmaayen

HALAL KA MAFHOOM AUR PAHCHAAN KA TAREEQA:

Halal Wah Hai JIS ke Mutaalliq Insaan Khud Mukhtaar Hai, Yani Is Par Uske Karne Ya Na Karne Ki Koi PabandI Nahin Balke Use Ijaazat Hai Ke Chaahe toh Wah Kaam Kar Sakta Hai,

Maslan Khaane Me Daal Khaaye Ya Na Khaaye, Sabzi Khaaye Ya Na Khaaye, Sair O Tafree Karne Ya Na Kare Etc Etc..

Ye Uski Khwaahish Par Mauqoof Hai,

Halal Ashya Ki Pahchaan Ke Mukhtalif Tareeqe Ahle Ilm Ne Zikr Farmayen Hain,

Mulaheza Farmayye

1- " Aur Ahle Kitab Ka Khaana Tumhare Liye Halal Hai"

(Surah Maida Ayat No 5)

2- Kitab Wa Sunnat Me Adam E Ism ( Koi Gunah Nahin), Adam E Janah (Koi Gunah Nahin), Aur Adam E Harj (Koi Harj Nahin) Ke Alfaaz Ke Saath Kisi Kaam Ki Ijaazat Di Gayi Ho,

Jaise Majboor Shakhs Ke Liye Haram Ke Halal Hone Ka Zikr In Alfaaz Me Farmaya

"Fala Isma Alaihi"

Trans: "Is Par Koi Gunah Nahin"

(Surah Baqara 173)

Iddat Waali Aurton Ko Ishaare Kanaaye Se Nikah Ke Mutaalliq Baat Karne ki Hillat Ka Zikr In Alfaaz Me Farmaya

" La Junaaha Alaikum"

Trans : "Tum Par Koi Gunaah Nahin"

(Surah Baqara 235)

Aur Is Baat Ka Zikr Karke Majoor Logon Ka Jihaad Par Gaye Hue Sahaba Ke Gharon Se Khana Halal Hai,

In Lihaaz Me Farmaya

"Laisa Alal Aa'maa Harajun"

Trans: " Andhe (Aur Majoor Hazraat Par) Koi Harj Nahin"

(Surah Noor 61)

3- Kitab Wa Sunnat Me Jis Cheez Ke Halal Ya Haram Hone Ka Zikr Na Ho Wah Bhi Halal Hai, Jaisa Ki Uski Daleel Aage Post Me Aayengi..

HARAM KA MAFHOOM AUR PAHCHAAN KA TAREEQA:

Haram Wah Hai Jisse Himmati Taur Par Quran Wa Sunnat Me Bachne Ki Taeed Ki Gayi Hai, Jiska Karne Waala Gunahgaar Aur Taarak Ajr Wa Sawaab Ka Mustahiq Thaherta Hai, Iske Pahchan Ke Bhi Mukhtalif Tareeqe Hain, Mulaheza Farmaiyye

1- Kitab Wa Sunnat Me Jis Cheez Ke Haram Hone Ki Sarahat Ho Jaise

"Tumpar Murdaar (Khana) Haram Qarar Diya Gaya Hai"

(Surah Maida Ayat 3)

2- Kitab Wa Sunnat Me Jis Cheez Ke Halal Na Hone Ka Zikr Ho Jaise

"Kisi Musalman Aadmi Ka Maal Uski Dili Khwaahish Ke Be'ghair Halal Nahin Hota"

(Arwa Ul Ghaleel 5/281, Baiheqi 6/97)

3- Quran Wa Sunnat Me Jis Cheez Se Himmati Taur Par Roka Gaya Ho Jaise

"Jhooti Baat Se Bacho"

(Surah Hajj Ayat 30)

4- Kitab Wa Sunnat Me Jis Fa'al Ke Artikaab Par Saza Ka Zikr Ho Jaise

" Jo Log Nahaq Zulm Se Yateemo Ka Maal Kha Jaate Hain, Wah Apne Pet Me Aag Hi Bhar Rahen Hain Aur Anqareeb Wah Dojakh Me Jaayenge"

(Surah Nisa Ayat 10)

Note: Yahan Ye Usool Bhi Yaad Rahe Ke Nabi Akram Sallalaho Alaihi Wasallam ne Koi Bhi Haram Kaam Nahin Bataya Ke Ye Haram Hai, Balke Zabaan Se Hi Uski Hurmat Ki Wazaahat Farma Di...

To Be Continued....