Monday, August 25, 2014

RIZQ AUR QISMAT:

Bismillahirrahmanirraheem

RIZQ AUR QISMAT:


Rizq Sirf Allah Ke Haath Me Hai, Wah Jise Chaahta Hai Kam Deta Hai Jise Chaahta Hai Zyada,

Rizq Me Kami'beshi Me Allah Ki Taraf Se Insaan Ki Aazmaish Hoti Hai,

Lihaaza Jise Rizq Me Faraakhi Naseeb Ho Wah Allah Ka Ba'kasrat Shukr Ada Kare Aur Jise Tangi Ho Wah Sabr Kare Aur Sirf Allah Tala Hi Se Rizq Ka Sawaal Kare, Har Haal Insaan Ki Umar Ke Saath Saath Uska Rizq Bhi Muqarrar Hai.

Chunanche Ek Riwaayat Ke Mutaaabik Jab Insaan Abhi Apni Maa Ke Pet Me Hota Hai Uski Umar, Rizq Aur Nek Hoga Ya Bad Likh Diya Jaata Hai

(Sahih Jame Sagheer 1543 , Abu Dawood hadith No 4708)

Aur Jo Rizq Qismat Me Likh Diya Gaya Hai Fir Wah Muqammal Milkar Hi Rahta Hai, Usme Kuch Bhi Kami Nahin Hoti

Chunanche Farmaan E Nabawi Hai

"Koi Nafs Bhi Us Waqt Tak Nahin Marr Sakta Jabtak Uska Rizq Poora Na Ho Jaaye"

(Sahih Jame Targheeb 1702, Silsilatus Sahiha 2866)

Lihaaza Jab Ye Baat Taiy Hai Ke Har Ek Ka Rizq Muqarrar Hai Toh Fir Rizq Ki Justazu Me Deeni Wajibaat (Namaz, Roja, Hajj Etc) Me Kisi Qism Ki Kotaahi Nahin Karni Chahiye Aur Na Hi Bachhon Ko Deeni Taaleem Se Door Rakhna Chahiye Us Niyyat Se Ke Bacche Deen Padhenge toh Maali Mushkilaaat Ka Saamna Karenge Aur Docter ;Engineer Etc Banenge Toh Unka Mu'aashi Mustaqbal Roshan Hoga Etc Etc

RIZQ ME FARAAKHI KE NUSKHE:

Allah Taala Ka Irshad Hai

"(Hz Nooh (As) Ne Apni Qaum Ki Shikaayat Karte Hue Allah Tala Se Arz Kiya Ke) Maine Kaha Ke Apne Rabb Se Istaghfaar Karo Wah Yaqeenan Bada Bakhsne Waala Hai, Wah Aasmaan Ko Khoob Barasta Hua Chhod Dega, Aur Tumhe Khoob Pe'darpe Maal Aur Beton Me Taraqqi Dega Aur Tumhe Baghaat Dega Aur Tumhare Liye Nahren Nikaal Dega"

(Surah Nooh Ayat 10-11)

Hz Hasan Basri (Rh) Ke Mutaalliq Marwi Hai Ke KisI Ne Unse Aakar Qahat'saali (Drought) Ki Shikaayat Ki Toh Unhone Use Astaghfaar Ki Talqeen Ki, Kisi Dusre Ne Fakr O Faaqa Ki Shikaayat Ki Unhone Use Bhi Yahi Nuskha Bataya, Ek Aur Ne Apne Baagh Ke Khusak Hone Ka Shikwa Kiya Unhone Use Bhi Farmaya, Ashtaghfaar Kar,

Ek Ne Kaha - Mere Ghar Aulaad Nahin Hoti, Use Bhi Kaha Apne Rabb Se Astaghfar Kar, Kisi Ne Jab Unse Kaha Ke Aapne Astaghfaar Hi Ki TalqeeN Kyon Ki ?

Toh Aapne Yahi Ayaat Tilaawat Karke Farmaya Ke Maine Apne Paas Se Ye Baat Nahin Ki, Ye Wah Nuskha Hai Jo In Sab Baaton Ke Liye Allah Tala Ne Batlaaya Hai

(Tafseer Ahsanul Bayan)

2- SULAH'RAHMI KARNA:

farman E Nabawi Hai

" Jo Shakhs Pasand Karta Hai Ke Uske Rizq Me Faraakhi Ki Jaaye Ya Uske Asraat Der Tak Rahen Wah Sulaah Rahmi Kare"

(Bukhari hadith No 2067, Kitabul Buyu)

Ye Riwayat Ba'zaahir Us Sharai Haqeeqat Ke Khilaaf Malum Hoti Hai Ke Allah Tala Ne Har Insaan Ka Rizq Aur Umar Pahle Se Muqarrar Kar Rakhi Hai,

Lekin USKA Jawab Ye Diya Hai Ke Allah Tala Ne Ye Bhi Likha Hai Ke Jo Rizq Me Faraakhi Aur Umar Me Izaafe Ke Asbaab Apnaayega Uske Liye In Dono Me Izaafa Bhi Kar Diya Jaayega,

Yani Agar Koi Sulaah'rahmi Karega Toh Yaqeenan Isse Use Maamlaat Me Barqat Aur Qalbi Itminaan Naseeb Hoga Aur Qalbi Itminaan Use Be'shumaar Pareshaanion Se Nijaat Dilaaye Rakhega...

To Be Continued...