Friday, August 1, 2014

TIJAARAT (BUSINESS) AUR IBAADAT: (TIJAARAT KA BAYAAN)-- PART-1









.Bismillahirrahmanirraheem

TIJAARAT (BUSINESS) AUR IBAADAT: (TIJAARAT KA BAYAAN)-- PART-1

Islam Me Dusre Mazhab Ke Muqaable Me Ibaadat Mahaz Ek Roohaani Mashaq Nahin Jaise Namaz, Roza Wagerah,

Balke Ibaadat Insaan Ki Poori Amali Zindagi Par Muheet Hai, Agar Hamari Tamam Zindagi
Ka Maqsad Raza E Ilaahi Ka Husool Ho Toh Hamare Tamaam Aamaal Ki Haisiyat "Khwaah Tijaarat, Karobaar, Dukaandaari Ki Kyun Na
Ho" Ibaadat Ki Ho Jaati Hai,

Isliye Hamen Karobaar Aur Len Den Ke Tamaam Maamlaat Bhi Sharai Tareeqe Ke Mutaabiq Anjaam Dene Ki Koshish Deni
Chahiye Taake Hamare Ye Umoor Bhi Allah Ke Yahan Ibaadat Ka Darja Pa Saken,

ZYADA AUR DUNIYA KI MUZAMMAT:

Aaj Insaan Jis Duniya Ko Kamaane Ke Liye Din Raat Maara Maara Firta Hai Islam Ka Iske Mutaalliq Nuqta Kya Hai ??

Zara Mulaaheza Farmaiyye,

Quran Kareem Me Dunyawi Maal Wa Daulat Ko Mahaz Khel Wa Tamasha Aur Dhoke Ka Samaan Qaraar Diya (Surah Hadid 20),

Aur Ye Naseehat Ki Hai Ke Kahin Dunyawi Zindagi Ke Dhoke Me Na Aa Jaana (Surah Fatir 5)

Nabi Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Hamesha Khaiff Rahe Ki Kahin Log Dunya Ki Raghbat Me Hi Maghan Na hi Jaayen (Bukhari
Hadith 3108),

Chunanche Aap Sallalaho Alaihi Wasallam ne Ye Naseehat Farmaayi Ke Duniya Se Bache
Rahna (Sahih Muslim)

Aur Aap Sallaho Alaihi Wasallam Farmaya Karte They Ke Asal Zindagi Toh Sirf Aakhirat Ki Hai
(Bukhari),

Ek Baar Duniya Ki Haqeeqat Ko Ek Misaal Se Samjhaaya Ke Jaise Samundar Me Ungali Daal
Kar Nikaal Li Jaye Toh Jitna Paani Ungali Ko Laga Rah Jaata Hai Duniya Mahaz Itni Hi Hai
(Muslim Hadith 2858)

Ek Dusre Maqaam Par Aapne Duniya Ko Murdaar Bakri Se Bhi Haqeer Qarar Diya (Muslim 2957)

Yahi Wajah Hai Ke Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Sahaba Ko Ye Naseehat Farmaya Karte They Ke Duniya Me Musaafir Ki Tarah
Zindagi Ghuzaaro (Jo Sirf Zaroorat Ka Samaan Ki Saath Rakhta Hai Raaste Me Mahallaat Taameer Nahin Karta Balke Hamesha Manzil Ki Fiqr ME rahta Hai (Bukhari 6416),

Aur Apne Liye Bhi Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Allah Taala Se Itna Rizq Maanga Karte They Jo Kaafi Ho Jaaye (Yani Ghuzar
Basar Ke Liye Kaafi Ho)...( Muslim Kitab Uz Zuhud),

In Tamaam Baaton Se Maqsood Ye Nahin Ke Mu'aasi Jeddo Jehad Ki Tarq Kar Di Jaaye Balke Halal Rizq Kamaana Bhi Ain Ibaadat hai,

Maqsood Sirf Ye Hai Ke Duniya Kamane Ki Fiqr Aakhirat Ki Fikr Par Ghaalib Na Ho,

Insaan Duniya Me Aisa Magan Na Ho Ke Har Lamha Dunyawi Maal O Mat'a Ikattha Karne Ki Hi Fikr Me Rahe Aur Ibaadaat Me Kotaahi
Shuru Kar De,

Karobar Aur Maal Wa Daulat Ko Namaaz, Zakaat Aur Hajj Jaise Faraiz Wa Waajibaat Par Tarjeeh Dene Lage.....

To Be Continued In Next Post.... In Sha Allah