Tuesday, November 17, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 9)







Bismillahirahmanirraheem




ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 9)



MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM  KO ILM E GHAIB NAHIN:



Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Bhi Halaanke Aur Rasoolon Ki Tarah Ek Rasool Hain Aur Allah  Ne Farmaya Ki Imaan Waale Toh Wo Log Hote Hain Jo Hamare Bheje Gaye Rasoolon Par Imaan Late Hain Aur Kisi Me Farq Nahin Samjhte Aur Sabhi Rasoolon Ko Allah Ka Banda Aur Rasool Kahte Hain


“Aur Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Sirf Ek Rasool Hain Au Rinse Pahle Bhi Bahut Se Rasool Ghuzar Chuke Hain”


(Surah Aal E Imran Ayat No.144)


Ek Jagah Irshad Rabbani Hai


“ Aiy Nabi Kah Do Main Anokha Paighambar Nahin Hoon”


(Surah Ahqaf Ayat No 9)


  Toh Jis Tarah Aur Nabi Aaye Aur Tauheed Ki Daawat Di Aur Malik E Haqeeqi Ki Taraf Kooch Kiya Isi Tarah Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Bhi Aaye Aur Tauheed Ki Daawat Di Aur Malik E Haqeeqi Ki Taraf Kooch Kiya


“Aur Aap Kah Dijiye Ken A Toh Mere Paas Allah Ke Khazaane Hain Aur Na Hi Main Ghaib Jaanta Hoon Aur Na Hi Main Tum Se Ye Kahta Hoon Ki Main Farishta Hoon, Main Roh Jo Kuch Mere Paas ‘Wahiy’ Aati Hai, Iski Ittela Karta Hoon”

(Surah Anaam Ayat No 50)

Yahan Par Ek Baat Ghaur Karne Ki Hai. Ek Taraf Ye Kaha Jar Aha Hai Ki Main Ghaib Nahin Jaanta Aur Dusri Taraf Kaha Jar Aha Hai Mi Main ‘Wahiy’ Ki Pairwi Karta Hoon, Goya Ghaib Ja Jaanna Alag Baat Hai, Aur Wahiy Ke Zariye Koi Baat Jaanna Alag Baat Hai, Agar Dono Ka Matlab Ek Hota Toh Isko Alag Alag Bayan Na Kiya Jaata, Lihaaza Iska Seedha Matlab Ye Hua Ke Main Ghaib Nahin Jaanta Hoon Aur Jo Kabhi Kabhi Kuch Baatein Bataata Hoon Toh Wo Allah Mujhe Wahiy Ke Zariye Bata Deta Hai Aur Wo Main Tum Logon Ko Bata Deta Hoon, Aur Jo Cheez Kisi Ke Bataane Se Malum Ho Jaaye Wo Ghaib Nahin Hota.

SHUBUHAAT:

Kuch Jhola’chhaap Molwi Yahan Shubuhaat Pesh Karte Hain Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Kahan Kaha Hain Ke Main Ghaib Nahin Jaanta Ye Toh Allah Kahalwa Raha Hai Ke Aap Kahen Ke Main Ghaib Nahin Jaanta, Dusra Ye Ke ‘Wahiy’ Ke Zatiye Khabar Paana Bhi Toh Ghaib Jaanna Hota Hai

JAWAB:

Pahli Baat Ye Ke Main Poochna Chaahta Hoon Un Logon Se Ke Qur’an Me Hi Allah Tala Ne Muhammad Sallalaho Alaihin Wasallam Se Kahalwaya Ke

“Aap Kah Dijiye Ke Allah Ek Hai. Allah Be’niyaaz Hai, Na Isse Koi Paida Hua Na Wo Kisi Se Paida Hua Aur Na Koi Uska Hamsar Hai”

(Surah Ikhlaas)

Mujhe  Batao Is Aayat Me Allah Ne Nabi Se Kaha Ke Aap Kah Dijiye Allah Ek Hai, Toh Kyat Um Is Bina Par Kahoge Ke Ye Toh Nabi Se Kahalwaya Ja Raha Hai Ke Allah Ek Hai Magar Allah Ek Nahin Hai (Nauzubillah), Zara Mujhe Batao Jo Baat Nabi Se Kahalwayi Jaati Hai, Kya Wo Baatein Jhooti Kahalwaayi Jaati Hain ?? Kya Allah Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Jhoot Bulwa Raha Hai Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Toh Ghaib Jaante Hain Magar Logon Se Jhoot Bol Dijiye Ki Main Ghaib Nahin Jaanta, Kya Allah Kisi Se Darta Hai (Nauzubillah)..

 Aise Anokhe Shubuhaat Pesh Karne Walon Ko Chahiye  Apne Imaan Ki Khair Manaayen Aur Tauba Karen, Dusri Baat Ittela Ke Zariye Khabar Paana Ghaib Nahin Hota, Aur Inshaallah Iski Wazahat Agle Posts Me Hogi

“Aap Kah Dijiye Ke Agar Main Ghaib Jaanta Toh Bahut Si Bhalaaiya Kama Leta Aur Mujhe Koi Taqleef Bhi Na Pahunchti Main Toh Sirf Daraane Wala Hoon”

(Surah Aaraaf Ayat No.188)

Lafz Bata Raha Hai Ki “Agar Main Ghaib Jaanta Toh” Yani Ghaib Ka Ilm Nahin Hai, Tabhi Toh Kaha Ja Raha Hai Ki Agar Main Ghaib Jaanta Toh Bahut Si Bhalaiya Kama Leta, Saabit Ho Gaya Ki Nabi Ghaib Nahin Jaante

“Aiy Nabi Kuch Munaafiq Jo Nifaq Me Pade Hain, Aap Unhe Nahin Jaante, Unhe Ham Jaante Hain, Inko Ham Duhri Saza Denge”

(Surah Tauba Ayat No 101)

“Paak Hai Wo Zaat Jisne Sair Karaayi Apne Bande Ko Raaton Raat Masjid E Haram Se Masjid E Aqsa Tak Take Ham Apni Qudrat Ke Baaz Namoone Dikhaayen”

(Surah  Bani Israel Ayat No.1)

Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Itna Sataya Ja Raha Tha, Pareshani Ki Wo Kaifiyat Likhi Nahin Ja Sakti Isse Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Mayoos Ho Gaye They Tab Allah Tala Ne Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Meraaj Kara Kar Dikhaaya Ki Aap Sabr Karen Aur Apne Sahaba Ko Jaakar Bataayen Ki Kya Kuch Hamne Taiyyar Kar Rakha Hai,  Is Tarah Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Meraaj Karke Dili Sukoon Mila Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Kuffaron Ke Zulm O Sitam Ko Bardaasht Karne Me Ek Nayi Taqat Mil Gayi Thi, Is Waqye Ka Asal Maqsad Ye Hai Ki Agar Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ilm E Ghaib Hi That Oh Fir Allah Ko Dikhaane Ki Kya Zaroorat Thi, Ghaib Nahin Hai Tabhi Toh Dikhaaya Jar Aha Hai.

Is Tarah Ke Be’shumaar Ayatein Qur’an Majeed Me Maujood Hain Jisse Saabit Hota Hai Ki Muhammad Salallaho Alaihi Wasallam Ko Ilm E Ghaib Nahin Tha, Maslan Surah Saad Ayat No. 69.70.71, Surah Al Fath Ayat No. 25, Surah Ahzaab Ayat No,63

To Be Continued

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Irfanali