Bismillahirahmanirraheem
ILM E GHAIB KI
HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 8)
NOOH (AS) KO ILM E
GHAIB NAHIN
“Main Tumse Nahin
Kahta Ke Mere Paas Allah Ke Khajaane Hain, Suno Main Ghaib Bhi Nahin Jaanta, Na
Hi Main Ye Kahta Hoon Ki Main Farishta Hoon, Na Hi Main Ye Kahta Hoon Ki Jin
Par Tumhari Nigaahein Zillat Se Padi Hain Unhe Allah Tala Koi Nemat De Ga Hi
Nahin, Inke Dil Me Jo Kuch Hai Allah Khoob Jaanta Hai, Agar Main Aisa Kahun Toh
Yaqeenan Mera Shumaar Zaalimon Me Hoga”
(Surah Hood Ayat No
31)
Ye Ayatein Khuli
Daleel Hain Ke Saare Nabi Aur Rasool Ki Yahi Sunnat Rahi Hai Ke Wp Ghaib Sirf
Allah Hi Ki Taraf Mansoob Karte They Aur Koi Nabi Ya Rasool Ye Kahne Ki Zurrat
Mahsoos Nahin Karta Ke Main Ghaib Jaanta Hoon Ya Mujhe Ata Ho Gaya Hai Balke
Yahi Kahte Nazar Aayenge Ke Main Kuch Nahin Jaanta, Saara Ghaib Allah Hi Ke
Liye Hai Aur Agar Main Apne Ko Ghaib’daan Kahunga Toh Main Zaalimon Me (Jahannamion Me) Se Ho Jaunga,
Hamara Aqeeda Wahi
Hai Jo In Sab Nabion Ka Aqeeda Hai Ke Ghaib Sirf Allah Hi Jaanta Hai Aur Ham Un Sabhi Nabion Ki Sunnat Par Amal Karte
Hain,
Allah Tala Fermata
Hai Qayamat Me Wo Shakhs Usi Ke Saath Uthaaya Jaayega Jo Jis Kisi Ke Taur
Tareeqe Par Chalta Hoga Lihaaza Hamara Aqeeda Nabion Le Aqeede Par Hai,
Inshaallah Ham Nabion Aur Sacche Allah Walon Ke Saath Hi Uthaaye Jaayenge
Aur Jo In Nabion Ke Khilaaf Aqeeda
Rakhte Hain Who Apne Apne Maboodon Ke Saath Uthaaye Jaayenge
IBRAHEEM (AS) KO ILM
E GHAIB NAHIN:
“Ibraheem Ke Paas
Khush’kahbri Lekar Pahunche Aur Salaam Kaha Inhone Bhi Salaam Kaha, Beghair
Takheer Gaaye (Cow) Ka Bhuna Ghost Le Aaye. Ab Jo Dekha Ke Inke Haath Bhi Iski
Taraf Nahin Badhte Toh Inko Ajnabiyat Samajh Kar Dil Hi Dil Me Khauff Karne
Lage Inhone Kaha Daro Mat Ham Qaume Loot Ki Tarah Bheje Hue Aaye Hain ”
(Surah Hood Ayat No, 69-70)
Malum Hua Itne
Jaleelul Qadr Paighambar Bhi Ye Na Jaan
Sake Ke Ye Inaan Nahin Balke Farishtey Hain Aur Ghost Le Aaye, Khana Na Khaane
Par Darr Gaye Ke Kahin Ye Log Ghalat Iraade Se Toh Nahin Aaye Ke Hamara Khaana Nahin Kha Rahe,
Jab Farishton Ne
Bataya Ke Ham, Farishte Hain Tab Ibraheem (As) Ko Raahat Mili Aur Tab Hi Wo
Jaan Paaye Ke Ye Insaan Ki Shakal Me Farishtey Hain Aur Unka Darr Khatam Ho
Jaata Hai, Lihaza Itne Jaleelul Qadr Paighambar Ke Saamne Farishtey Baithey
Hain Aur Unko Khabar Tak Nahin Ke Ye Insaan Nahin Balke Farishtey Hain
NOTE: Farishtey Noor
Ke Bane Hain Aur Noori Makhlooq Agar
Inaani Shakal Me Me Duniya Me Aayega Tab Bhi Wo Khana Peena Nahin Khaayega,
Kyonki Noori Makhlooq Ko Khaane Peene Ki Zaroorat Nahin Hoti, Toh Saabit Hua
Koi Noori Makhlooq Insaani Shakal Me Nabi Banker Nahin Aaya Agar Aata Toh Wo
Khaata Peeta Nahin
LOOT (AS) KO ILM E
GHAIB NAHIN :
“Aur Jab Hamare
Farishtey Loot Ke Paas Pahunche Toh Wah Unki Wajah Se Bahut Ghamgheen Hue Aur
Dil Hi Dil Me Kudhne Lage Aaj Ka Din Bahut Hi Museebat Ka Hai Aur Inki Qaum
Inke Paas Aa Pahunchi, Wah Toh Pahle Hi Se Badkaarion Me Mubtela Thi, Loot Ne
Kaha Aiy Meri Qaum Ke Logon Ye Meri
Betiyan Jo Tumhare Liye Bahut Hi Pakeeza Hain, Allah Se Daro Aur Mujhe Mere Mehmano
Ke Bare Me Ruswa Na Karo, Kya Tumme Ek Bhi Bhala Aadmi Nahin ?”
(Surah Hood Ayat No.
77-78)
Loot (As) Un Aane
Wale Mehmano Ko Pahchaan Na Sake Aur Unko Apni Qaum Se Bachaane Ke Liye Apni
Betiyan Tak Dene Ko Taiyyar Ho Gaye Ki Tum Meri Beti Se Nikaah Kar Lo Aur Apni
Khwahish Poori Karo Magar Wo Badkaar Qaum Un Mehmaan Ladkon Ke Peeche Hi Padi
Rahi, Isse Loot (As) Bahut Gham’gheen Hue Fir Jab Farishton Ne Bataya Ke Aap
Daren Nahin Ham Allah Ki Taraf Se Bheje Gaye Farishtey Hain, Tumhari Qaum Ko
Azaab Dene Bheje Gaye Hain, Tab Loot (As) Ko Malum Hota Hai, Isse Saabit Hua Ke
Jab Nabion Ko Itna Bhi Ilm E Ghaib Nahin Diya Gaya Ke Wo Ye Jaan Saken Ke
Saamne Aane Waala Shaks Kaun Hai Aur Kyon Aaya Hai Toh Bhala Iske Aage Sochna
Hi Fuzool Hai ..
To Be Continued
#Umairsalafialhindi
#Irfanali
#Islamicleaks