Bismillahirrahmanirraheem
ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART 6
JINNO AUR SHAYATEEN
KO ILM E GHAIB NAHIN:
Shaitaan Bhi Halaanke
Jinn Hote Hain Magar Jaise Momin Aur Kaafir Alag Alag Hote Hain Isi Tarah Momin
Jinn Ko Jinnat Ya Jinn Kahte Hain Aur Allah Tala Ki Nafarmani Karne Wale Ko
Shayateen Kahte Hain Inmese Kisi Ke Paas Bhi Ilm E Ghaib Nahin Hota
Allah Quran Me
Fermata Hai
“ Aur Jinn Kahte Hain
Ki Ham Aasmaano Me Jaakar Farishton Ki Baatein Sun Liya Karte They Magar Ab Ham
Wahan Jaate Hain Toh Dahakta Hua Aag Apni Taak Me Paate Hain, Ham Nahin Jaante
Ke Zameen Walon Ke Saath Kisi Buraayi Ka Iraada Kiya Gaya Hai Ya Inke Rabb Ka
Iraada Inke Saath Bhalaayi Ka Hai”
(Surah Jinn Ayat
No.8.9.10)
Jinn Aasmano Me Jaakar Farishton Ki Baat Chori
Se Sunte They, Agar Unhe Ghaib Ki Hota Toh Chori Se Sunne Ki Kya Zaroorat Unhe
Waise Hi Khabar Ho Jaati Aur Fir Unhe Ye Tak Khabar Nahin Ke Un Par Pahra Kyon
Laga Hai, Jab Bhi Wo Aasmano Ki Taraf Jaane Ki Koshihsh Karte Dahakta Hua Aag
Apni Taak Me Paate, Who Yahi Sochte Ki Ham Par Pahra Kyon Laga Diya Gaya, Yahan
Tak Ke Unhe Ye Tak Pata Nahin Chalta Ki Isme Zameen Walon Ki Bhalaayi Ka Iraada Kiya Gaya Hai Ya Buraayi Ka, Unhe
Kuch Pata Hi Nahin Chalta Lihaaaza In Logon Ko Ghaib Ki Kuch Khabar Hi Nahin
“ Hamne Suleman Par
Maut Ka Huqm Bhej Diya Toh Iski Khabar Jinnaat Ko Kisi Ne Na Di Siwaaye Ghun
Ke Keede Ke Jo Unki Asaa Ko Kha Raha Tha
Pas Jab Sulemaan Gir Pade Is Waqt Jinno Ne Jaan Liya Ke Agar Wo Ghaib Jaante Toh
Is Zillat Ke Azaab Me Mubtela Na Rahte”
(Surah Saba Ayat No.
14)
Is Aayat Se Saabit
Hai Ki Jinno Ko Ye Tak Nahin Pata Ki Suleman (As) Ki Maut Waaqe Ho Chuki Hai,
Aur Wo Un Kaamon Ko Anjaam Dene Me Lage Rahe Jiska Huqm Unhe Suleman (As) Ne De
Rakha Tha, Fir Jis Chhadi Se Tek Lagaaye Sulemaan (As) They Usme Ghun Pad Jaata
Hai Aur Na Jaane Kitne Din, Kitne Maheene Ya Saal Ke Baad Chhadi Bilkul Khokhli
Hokar Toot Jaati Hai Aur Suleman (As) Gir Padte Hain Tab Jaakar Jinno Ko Pata
Chalta Hai Ki Suleman (As) Marr Chuke Hain, Tabhi Toh Who Kahte Hain Ke, Kaash
Ham Ghaib Jaante Toh Itne Din Zillat Ke Azaab Me Na Pade Rahte Yani Yun Hi Din
Raat Kaam Na Karte, Yahan Wo Khud Iqraar Kar Rahe Hain Ke Agar Wo Ghaib Jaante
Toh Is Azaab Me Na Pade Rahte.
NOTE:
Suleman (As) Ke
Zamaane Me Jinnaton Ke Bare Mashoor Ho
Gaya Tha Ke Ye Ghaib Ki Baatein Jaante Hain, Allah Tala Ne Suleman (As) Ki Maut
Ke Zariye Is Aqeede Ke Fasaad Ko Wajeh Kar Diya
(Hashiya Quran Saudi
Arabiya Surah Saba Ayat No 14)
To Be Continued
#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi