Tuesday, November 10, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 7)







Bismillahirahmanirraheem



ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 7)



NABION KO ILM E GHAIB NAHIN :



Ab Aiyye Un Ayaton Ko Dekha Jaaye Jinse Saaf Ho Jayega Ki Kisi Bhi Nabi Ko Ilm E Ghaib Nahin Tha Na Ata Kiya Gaya Tha Isse Aqal Walon Ki Islaah Karne Me Kaafi Madad Milega.. Inshaallah


ADAM (AS) KO ILM E GHAIB NAHIN:


“Fir Shautaan Ne In Dono Ko Bahkaaya Ke Inki Sharmgaahein Be’pardah Kar Den Aur Kahne Laga Tumahare Rabb Ne Tum Dono Ko Is Darakht Se Aur Kisi Sabab Mana Nahin Kiya Magar Mahaz Is Wajah Se Ke Tum Kahin Farishta Na Ho Jao Ya Kahin Hamesha Zindah Rahne Walon Mese Na Ho Jao Aur Kasmein Kha Li Ke Yaqeen Jaano Main Tum Dono Ka Khair’khwaah Hoon”

(Surah Aaraaf Ayat No. 20-21)

Is Ayat Se Malum Hua Kea Dam (As) Ko Malum Nahin Tha Ke Is Fal Ko Khaane Se Ham Farishta Ban Jaayenge Ya Hamesha Zinda Rahenge, Isi Wajah Se Unhone Fal Khaya Yani Fal Ki Taaseer Tak Ka Ilm Nahin Ke Ye Kis Kaam Aayega Aur Ye Bhi Nahin Malum Ki Ye Hamesha Ki Zindagi Dilwaayega Ya Hamesha Ke Liye Jannat Se Nikalwaayega Aur Shaitaan Unka Doat Hai Ya Dushman, Ye Bhi Nahin Jaan Paaye Ke Jo Shaitaan Ne Qasam Khaayi Wo Sacchi Hai Ya Jhooti,

Lihaaza Saabit Hua Adam (As) Ko Ilm E Ghaib Na Toh Tha, Aur Na Hi Ata Kiya Gaya Tha, Tabhi Toh In Sab Baton Ka Pata Nahin Chal Saka Aur Aadam (As) Dhoka Kha Gaye.

SULEMAN (AS) KO ILM E GHAIB NAHIN:

“Main Hud Hud Ko Nahin Dekhta Kya Wo Ghair Haazir Hai, Yaqeenan Main Use Shakht Saza Dunga Ya Use Zibaah Kar Dunga  Ya Fir Mere Saamne Koi Sareeh Daleel Pesh Kare , Kuch Zyada Der Na Ghuzri Thi Ke Aakar Isne Kaha Ki Main Aisi Khabar Laaya Hoon Jo Tujhe Iski Khabar Hi Nahin, Main Saba Ki Ek Sacchi Khabar Tere Paas Laaya Hoon”

(Surah Saba Ayat No. 20,21,22)

Is Ayat Me Saaf Saaf Bayan Hai Ki Suleman (As) Ko Ye Tak Khabar Na Thi Ke Hud Hud Kahan Par Hai Aur Kyon Ghair Hazir Hai, Dusri Tarah Hud Hud Ne Aisi Sacchi Khabar Laakar Di Jiska Ilm Waqai Suleman (As) Ko Nahin Tha, Teesri Aura Ham Baat Ye Hai Ki Allah Tala Ki Ek Adna Makhlooq Tak Ko Itni Salaahiyat Thi Ki Suleman (As) Ko Ilm E Ghaib Nahin Tabhi Toh Usne Itni Bebaaqi Se Kah Diya Ki Wo Khabar Laaya Hoon Jiska Ilm Tujhe Nahin, Aur Ye Insaan Us Adna Makhlooq Se Bhi Gaye Guzra Hai Jo Nabiyon Aur Walion Me Ilm Ghaib Dhoodhta Firta Hai,

ISA (AS) KO ILM E GHAIB NAHIN :

“Jab Isa Se Allah Poochhega Ki Kya Tone Kaha Tha Ki Mujhe Aur Eri Maa Ko Mabood Qarar Do Toh Isa Kahenge Ki Main Aisi Baat Kyon Kahunga Jiska Mujhe Haq Nahin, Agar Maine Aisi Baat Kahi Hai Toh Tujhe Malum Hoga Tu Mere Dil Ki Baat Bhi Jaanta Hai Aur Main Tere Nafs Me Kya Hai Nahin Jaanta Tamam Ghaibon Ko Jaanne Wala Tu Hi Hai”

(Surah Maaida Ayat No. 116)

Fir  Isa Yun Farmaayenge

“Aiy Allah Jab Tak Main Inke Beech Raha Tab Tak In Par Nazar Rakhe Tha Magar Jab Tune Mujhe Utha Liya Tab Main Inke Bare Me Kuch Nahin Jaanta Fir Toh Tu Hi In Par Nigraan Tha ”

(Surah Maida Ayat No 117)

 Malum Hua Is A (As) Ko Pata Nahin Ki Unke Uthaaye Jaane Ke Baad Unke Maanne Wale Yani Unke Ummati Unki Aur Unki Maa Ki Pooja Kar Rahen Hain, Jab Tak Wo Duniya Me Logon Ke Beech Rahe Toh Dawat Ke Zariye Logon Ki Nigraani Karte Rahe Aur Unki Islaah Karte Rahe Aur Jab Allah Tala Ne Unhe Utha Liya Toh Unhe Kuch Bhi Pata Nahin Kea B Unki Ummat Kya Kya Khurafaat Me Mubtela Hai Aur Unhone Saaf Kah Diya Ke Aiy Allah Main Ghaib’daan Nahin Ke In Ke Aamaal  Par Nazar Rakhta Saare Ghaibon Ka Jaanne Wala Sirf Tu Hi Hai

MOOSA  (AS) KO ILM E GHAIB NAHIN:

“ Moosa Ne Kaha Aiy Allah Mujhe Apna Deedaar Kara De Ke Main Tujhe Ek Nazar Dekh Lun, Irshad Hua, Tum Mujhe Harghiz Nahin Dekh Sakte”

(Surah Aaraaf Ayat No. 143)

Sabse Bada Ghaib Is Aalam Me Toh Khud Allah Hai, Use Koi Nahin Dekh Sakta, Aur Moosa Us Waqt Kaanp Uthte Hain Sajde Me Gir Kar Maafi Maangte Hain Jab Toor Pahad Jal Kar Khaak Ho Jaata Hai, Moosa (As) Ko Allah Apni Kudrat Se Bacha Leta Hai, Aur Wah Gidgida Uthte Hain, Aiy Allah Mujhe Maaf Kar De  Jo Maine Itne Bade Ghaib Ko Jaanne Ki Khwaahish Ki, Isi Tarah Moosa (As) Ke Kai Waaqyaat Hai Jisse Saabit Hai Ke Unko Ghaib Ka Ilm Nahin Tha, Maslan Machhli Ka Zinda Hokar Paani Me Bhaag Jaana Aur Moosa (As) Ko Iski Khabar Na Hona, Khijr Ka Kashti Me Chhed Karna, Ladke Ko Qatal Karna Wagerah (Padhe Surah Kahf) Aur Moosa (As) Ko Iska Ilm Nahin Hona, Saabit Hua Moosa (As) Ko Ilm E Ghaib Nahin Tha.

To Be Continued

#Islamicleaks
#Irfanali
#Umairsalafialahindi