Saturday, October 1, 2011

AMEEN KA MASLA (UPDATED)








Bismillahirrahmanirraheem



AAMEEN KA MASLA:



Jab aap namaz akele padh rahen hon to ameen ahista kahen, jab juhar aur asr imam ke peeche padhe to phir bhi aahista kahen, lekin jab aap jahri namaz me imam ke peeche hon to jis waqt imam "walazzalleen " kahe to aapko unchi awaz se aameen kahni chahiye, balki imam bhi sunnat ki pairwi me aameen pukar kar kahe, aur muqtadion ko imam ke aameen shuru karne ke baad aameen kahni chahiye



hz wail bin hajar ra riwayat karte hain ki maine suna aap(sws) ne padha, " gairil maghzoobi alaihim walazzalleen " phir aapne buland awaz se aameen kahi


( tirmizi 248, abu dawood 932, tirmizi ne hasan jabki ibne hajar aur imam dare kutni ne sahih kaha hai)



hz abu hurairah ra kahte hain ki jab rusullullah(sws) " " gairil maghzoobi alaihim walazzalleen " padhte to aap kahte AAMEEN (itni unchi awaz se) ki pahli saf me aapke aas paas ke log sun lete "


( baihaqi 2/58, ibne Ibne khuzaima 571, ibne hibban 462, ise imam hakim aur imam zahbi ne sahih kaha hai)


hz abu hurairah ra farmate hain aap(sws) ne farmaya:-" jab imam aameen kahe to tum bhi aameen kaho, jis shakhs ki aameen farishton ki aameen ke barabar ho gayi to uske pahle sab gunaah maaf kar diye jaate hain"


(bukhari 780, muslim 410)


imam ibne khuzaima is hadith ki tashrih me farmate hain:- is hadith se saabit huwa ki imam unchi aawaz se aameen kahe kyonki nabi(sws) muqtadi ko imam ki aameen ke saath aameen kahne ka huqm isi soorat me de sakte hain jab muqtadi ko malum ho ki imam aameen kah raha hai, koi alim yah soch nahi rakh sakta ki aap(sws) muqtadi ko imam ki aameen ke saath aameen kahne ka huqm den jabki wah apne imam ki aameen ko sun na sake"


(sahih ibne khuzaima, 1/286)


naem munzir ra farmate hain ki hz abu hurairah ra ne hamen aap(sws) ke tareeqe ke mutabik namaz padhai phir naem us tareeqe ko bayan Karte hue kahte hai ki unhone aameen kahi aur jo log aapke imamat me namaz ada kar rahe they unhone bhi ameen kahi"


(nisai 2/134, ibne khuzaima 1/251, ise haakim, zahbi aur baihaqi ne sahi kaha hai)



hz abdullah bin zubair ra aur unke muqtadi itni buland aawaz se aameen kaha karte they ki masjid goonj uthti thi"


(bukhari 2/262, abdurrazzaq 2/96, imam bukhari rh ne ise imam hazam ke qalimeh ke saath zikr kiya hai, jo iske sahih hone ki daleel hai)



hz ikrama rh farmate hain:- maine dekha ki imam jab "walazzalleen" kahta to logon ke aameen kahne ki wajah se masjid goonj uthati thi"


(ibne abi shaiba 2/187)


hz ataa bin abi ribah rh farmate hain:- maine 200 sahaba kiram ko dekha ki baitullah me jab imam "walazzalleen" kahta to sab buland awaz se aameen kahte"


(baihaqi 2/59, kitabussalat, ibne hibban, iski sanad imam ibne hibban ki shart par sahih hai)




Aap(sws) ne farmaya:- jitne yahudi, salaam aur ameen se chidte hain utna kisi aur cheez se nahi chidte, to tum zyadati se aameen kaha karo"


(ibne majah 856, ise imam ibne khuzaima aur imam buseeri ne sahih kaha hai)


hafiz ibne barr rh ne zikr kiya ki imam ahmad bin hambal rh us shakhs par shakht naraaz hote jo buland aawaz se aameen kahne ko makhrooh samjhta, kyonki yahudi ameen se chidte hain


dua, ta-awwuz(auzubillah), tasmiya(bismillah) aur surah fatiha padhkar aameen kahne ke baad qur'an majeed me se jo kuch yaad ho usme se kuch padhe"



(bukhari 793)