Bismillahirrahmanirraheem
KYA AURATON KA
TAREEQA E NAMAZ MARDON SE ALAG HAI ??
PART - 4
PART- 3 Se Aage……
1- Allama Aini Hanafi Umdatul Qari Sharah
Sahih Bukhari Me Likhte Hain
“Sahab Hidayah Ne
Hamare Ahnaaf Ke Maslak Par Hazrat Ali (Ra) Ke Us Qaul Se Istadlal Kiya Hai
Jisme Zer E Naaf Haath Baandhne Ko Sunnat Kaha Gaya Hai, Lekin Main Kahta Hoon
Ke Hz Ali (Ra) Ke Is Qaul Ki Isnaad Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi
Wasallam Tak Sahih Saabit Nahin Hai Is Riwayat Me Maqaal Hai Is Liye Ke Is
Sanad Me Abdurrahman Bin Ishaaq Koofi
Hai Jiske Mutaallik Imam Ahmad (Rh) Ka Qaul Hai Ke Wah Kuch Nahin Aur Wah
Munkir Ul Hadith Hai”
(Umdatul Qari 5/249)
2- Sheikh
Ibraheem Halbi , Gunyatul Musalli Fi Sharah Maniyatul Musalli (Maroof Sharah
Kabeeri) Me Hazrat Ali (Ra) Ki Zer E
Bahes Riwaayat Ke Bare Me Likhte Hain
“Ba’qaul Imam Nawawi
(Rh) Is Riwaayat Ke Zaif Hone Par Sab Ka Itefaaq Hai Kyonki Isme Abdurrahman Bin
Ishaaq Koofi Raawi Hai Jo Bila Ittefaaq Zaif Hai”
(Kabeeri Page No. 29,
Taba Mujtabai)
3- Maulana Muhammad Hayat Sindhi Hanafi (Rh)
Likhte Hain
“Bayan Mutazkirah
Baala Se Ba’khoobi Waazeh Ho Gaya Ke Namaz Me Seene Par Haath Baandhne Ki
Buniyaad (Riwayat) Mazboot Aur Daleel Waazeh Hai Aur Har Ahle Imaan Ke Liye
Harghiz Munaasib Nahin Hai Ke Isse Ru’ghardaani Kare Aur Musalman Aisi Cheez Se
Kyun’kar Ru’ghardaani Kar Sakta Hai Jo Ke Khud Nabi E Akram Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Ka Irshaad Bhi Hai Ke
“Tum Mese Koi Shakhs
Us Waqt Tak Imaan’daar Nahin Ho Sakta Jab Tak Ke Uski Khwahish Meri Laayi Hui
Shari’at Ke Mutaabik Na Ho Jaaye”
Pas Har Musalman Ko
Aap Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Laayi Hui Shar’at Par Amal Karna
Chahiye”
(Fath Ul Ghafoor Page
8, Taba Multan)
4- Shah Naeem Ullah, Mirza Mazhar Khan Janaan
(Rh) Hanafi Ke Maamlaat Me Likhte Hain
“Mirza Mazhar Namaz
Me Seene Par Haath Baandha Karte They Aur Farmaya Karte They Ke Seene Par Haath
Baandhne Ki Riwaayat Zer E Naaf Baandhne Ki Riwaayat Se Zyaada Raajeh Hai”
(Page No 85)
Khud Hanafi Ulema Ke Tashreehaat Se Jab Ye Saabit
Hota Hai Ke Tahatus Sara (Naaf Ke Neeche) Waali Riwaayat Zaif Hai Aur Seene Par
Haath Baandhne Waali Riwaayat Sahih Aur Raajeh Hai Toh Iske Baad Mufti Sahab Ki
Mazkoorah Tatbeeq Ki Kya Haisiyat Rah Jaati Hai ??
Baher’haal Is Tafseer
Se Ye Baat Waazeh Ho Gayi Ke Mard Wa Aurat Ke Darmiyaan Namaz Me Haath Baandhne
Ke Huqm Me Koi Farq Nahin Hai, Sahih Riwaayat Ki Ru Se Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Ne Namaz Me Haath Seene Par Baandhe Hain Aur Iski Baabat
Auraton Ke Liye Koi Alag Huqm Bhi Saabit
Nahin Hai, Is Liye Mard Wa Aurat Dono Ke Liye Masnoon Tareeqa Yahi Hai Ke Wah
Seene Par Haath Baandhen,
NAMAZ ME AURATON KE
SAJDE KI HIYYAT:
Namaz Me Auraton Ke
Sajde Ki Hiyyat Ke Bare Me Mufti Sahab Likhte Hain:
“Isi Tarah Jab
Auratein Sajdah Karen Toh Satar Ko Baaqi Rakhte Hue Khoob Acchi Tarah Sukad Kar
Karen”
Iski Daleel Me Mufti
Sahab Ne 2 Daleelein Pesh Ki Hain, Unme Ek Maraseel Abu Dawood Me Hai Aur Dusri Sunan Bayheqi Me,
“Huzoor Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Ne 2 Auraton Ko Namaz Padhte Hue Dekha Toh Aapne Unse Farmaaya
Ke Jab Tum Sajda Karo Toh Jism Ko Zameen
Se Milaao”
JAWAB:
Lekin Ham Arz Karenge
Ke Pahli Hadith Mursal Hai Jo Muhaddiseen Aur Raajeh Mazhab Ke Mutaabik Qaabil
E Hujjat Nahin, Iske Elaawa Iski Sanad Me Ek Raawi “Saalim ” Bhi Matrook Hai,
Dusri Riwaayat Sunan
Bayheqi Me Hai Jiska Tarjuma Mufti Sahab Ne Naqal Nahin Kiya Hai Sirf Arabic Ibaarat
Naqal Ki Hai Taaham Iska Mafhoom Bhi Wahi Hai Jo Pahli Hadith Ka Hai, Ye
Riwayat Bila’shubah Sunan Bayheqi (2/223) Me Maujood Hai, Lekin Mufti Sahab Ki
Is Himmat Aur Diyaanat Ilmi Par Sar Patak Lene Ko Jee Chaahta Hai Ke Imam Bayheqi (Rh) Ne Toh
Ye Riwaayat Mutanabbeh Karne Ke Liye Darj Ki Hai Ke Ye Riwaayat Aisi Zaif Hai
Ke In Jaisi Riwaayaton Se Istadlal Nahin Kiya Jaa Sakta, Lekin Mufti Sahab Ne
Isse Ba’taur Istadlal Pesh Kiya Hai…
To bwe continued…
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi