Bismillahirrahmanirraheem
KYA AURATON KA
TAREEQA E NAMAZ MARDON SE ALAG HAI ?? PART 1
Auratein Namaz Kis
Tarah Padhen ?? Bilkul Mardon Ki Tarah Ya Inse Mukhtali Tareeqe Se ??
Ye Masla Har Musalman
Ke Liye Qaabil E Ghaur Hai, Hamare Mulk Ki Aksariyat Iqh Hanai Ki Pairokaar Hai
Aur Unki Auratein Mardon Se Mukhtali Namaz Padhti Hain, Iqh Hanafi Ke Hawaale
Se Toh Unka Tarz E Amal Ek Mantaqi Pahlu Apne Andar Rakhta Hai Ke Ahnaaf Apni
Iqh Ke Paaband Hain Ya Ba’qaul Unke Unhe Iqh Hanafi Hi Ki Pairwi Karni Chahiye,
Lekin Kya Auraton Ka,
Mardon Se Mukhtali Tareeqe Se Namaz Padhna Hadith Sahiha Se Bhi Saabit Hai ??
Aisa Harghiz Nahin , Ek Hadith Bhi Aisi Nahin Hai Jisse Ye Saabit Hota Ho Ke
Auraton Ke Haath Baandhne, Haath Uthaane, Aur Ruku Wa Sujood Ki Kaifiyat Mardon
Se Mukhtalif Hai, Lekin Ulema E Ahnaa Apne Awaam Ko Mutmain (Satisfy) Karne Ke Liye Yahi Daawa
Karte Hain Ke Farq Wa Akhtelaaf Hadith Se Saabit Hai,
Halaanke Ye Daawa
Be’buniyaad Bhi Hai Aur Amaanat Wa Diyaanat Ke Khilaa Bhi (Jaisa Kea Age Ke Posts
Me Bataaya Jaayega Inshaallah)
KYA AURATON KA
TAREEQA E NAMAZ MARDON SE MUKHTALI HAI ??
EK HANAFI MUFTI SAHAB
KE DALAIL KA JAAYEZA:
Is Post Aur Ainda
Post Me Karachi K Eek Hanafi Mufti Sheikh Ul Hadith Maulana Subhaan Mahmood
Sahab Ke Mazkoora Bala Unwaan Par Dalail
Ka Jaayeza Liya Gaya Hai, Jisme Mard Wa Aurat Ka Tareeqa E Namaz Alag Alag
Sabit Karne Ki Koshish Ki Gayi Thi, Halaanke Nabi E Akram Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai
“Tum Us Tarah Namaz
Padho Jis Tarah Mujhe Padhte Hue Dekhte Ho”
(Sahih Bukhaari Kitab
Ul Azaan)
Nabi E Akram Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Ye Huqm Aam Hai Jisme Har Musalman Mard Wa Aurat
Shaamil Hain, Is Lihaaz Se Jo Tareeqa E Namaz Mardon Ka Hai Wahi Aurat Ka Hai,
Siwaaye Un Cheezon Ke Jin Ki Saraahat Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi
Wasallam Ne Farmaa Di Hai,
Maslan
1- Auraton Ko Huqmdiya Gaya Hai Ke Wah Odhni
Ke Beghair Namaz Na Padhen
2- Masjid Me Jaakar Namaz Padhna Auraton Ke
Liye Farz Nahin Wagerah Wagerah
Baaqi Auratein Haath
Kahan Baandhen, Aur Kahan Tak Uthaayen, Qaayeda Wa Qayaam Unka Kis Tarah Ho,
Sajdah Kaisa Karen ??? Inke Bare Me Jo Huqm Mardon Ke Liye Sahih Hadith Se
Saabit Hai Wahi Huqm Auraton Ke Liye Hai, In Cheezon Me Us Waqt Tak Mard
Wa Aurat Ke Darmiyaan Farq Karne Ki Koi Maqool Wajah Wa Buniyaad Nahin Hai, Jab
Tak Sahih Hadith Se Saabit Na Kar Diya Jaaye..
Is Silsile Me Jo
Fatawa Mufti Sahab Ka Shaya (Publish) Hua Hai, Is Post Me Uska Jaayeza Pesh
Kiya Ja Raha Hai Jisse Waajeh Ho Jaayega Ke Biraadraan E Ahnaaf Ke Paas Apne
Maslak Ke Asbaat Me Koi Mazboot Daleel Nahin Hai,
MUFTI SAHAB KE FATAWE
KE SHURU’AAT ME HI KAMZORI KA AITRAAF:
Sabse Pahle Mufti Sahab Ne “Dalail” Zikr Karne Se Pahle
Ba’taur Tamheed Ye Irshaad Farmaaya Ke
“ Fuquha E Hazraat
Job Hi Masla Bayaan Karte Hain Uski Asal Quran E Kareem Aur Hadith Se Hoti Hai,
Albatta Ye Maalum Karna Ke Quran Wa Hadith Me Uski Asal Kahan Hai? Ye Hark Is
Wa Naakis Ka Kaam Nahin Hai Balke Iske Liye Mujtahidaana Salaahiyat Ki Zaroorat
Hai, Isliye Aam Logon Ke Liye Yahi Huqm Hai Ke Wah Apne Maslak Ke Fuquha Aur
Imam Ke Bayaan Kiye Hue Masail Par Amal Kare, Usi Me Unke Liye Aafiyat Hai
Kyonke Awaam Khud Quraan Wa Hadith Ko Sahih Tareeqe Se Samajh Kar Masail Malum
Nahin Kar Sakte, Albatta Mujtahideen Aur Fuquha Hazraat Uski Asal Ko Talaash
Karte Hain Aur Asal Ke Be’ghair Kuch Nahin ”
(Roznama Jasaarat ,
Karachi)
Pahle Iske Ke Mufti
Sahab Ki In Tamheedi Guzarishaat Par Kuch Arz Kiya Jaaye, Pahle Us Aurat Ka
Sawaal Bhi Padh Liya Jaaye Jiske Jawab Me Mufti Sahab Ne Ye Kuch Irshaad
Farmaya Hai,
Sawal Ye Tha
“Maulana Ashraf Ali
Thanwi Aur Baaz Deegar Ulema E Deen Ne Ye Farmaaya Hai Ke Mard Niyat Baandhte
Waqt Kaan Ki Lau Tak Anguthe Le Jaaye Aur Aurat Sir Andhe Tak, Mard Ze E Naaf
Haath Baandhe Aur Auratein Seene Par, Ruku Me Mard Ungaliyan Yun Rakhe Aur
Khwaateen Is Tarah, Mard Kamar Ko Uthaa Kar Sajda Kare Aur Auratein Bilkul Dab Kar Aur Zameen Se Chipakkar Sajda
Karen
Maine Yahi Masla
Malum Karne Ke Liye Hadith Bukhari Aur Mishkaat Shareef Me Bab Ul Salat Khaas
Taur Par Mutaala Kiya, Mujhe Toh Koi Hadith Unme Is Bare Me Nahin Mili, Suna
Hai Ke “Durre Mansoor” Me Ek Hadith Is
Bare Me Waarid Hai, Aaj Kal Yahan
Auraton Me Ye Bahes Chal Rahi Hai, Agar Waqi Me Mard Saahbaan Aur
Auraton Ki Namaz Ki Hiyyat Me Itna Bada Farq Hota Toh Hazrat Aisha (Ra) Jinhone 2000 Se Zyaada Hadithen Bayaan
Farmaayi Hain (Jinme Khwateen Ke Mutaalliq Hadithen Khaas Hain) , Toh Aap Is Farq Ke Bare Me Zaroor Waajeh Taur Par
Hadithen Bayan Farmaati, Mumkin Hai Aap Ne Bayaan Farmaayin Hon Jo Meri Nazar Se Na Ghuzri Ho”
(Begum Abdul Ghani,
Karachi)
To be continued
#IslamicLeaks
#UmairSalaiAlHindi