Sunday, February 21, 2016

AURATON KA TAREEQA E NAMAZ- (PART 2)










Bismillahirrahmanirraheem



AURATON KA TAREEQA E NAMAZ- (PART 2)



PART-1 SE AAGE…..



Jaise Aurat Ke Liye Istashna Hai Ke Haiz Wa Nifaas Ke Ayyaam Me Uske Liye Namaz Maaf Hai, Namaz Me Sar Ka Dhaanpna Uske Liye Zaroori Hai, Imam Bhool Jaaye Toh Imam Ko Mutanabbeh Karne Ke Liye Mard Subhaanallah Kahe  Aur Aurat Tasfeeq Kare (Yani Hatheli Par Hatheli Mare, Subhaanallah Na Kahe) Ya Aur Job Hi Istashna Saabit Hai, Usme Farq Hoga, Uske Elaawa Koi Farq Na Hoga,


“Aiy Imaan Waalon Tum Par Roza Rakhna Farz Kiya Gaya Hai’

“Aa’manu Aur Alaikum” Dono Jama Muzkar Ke Seghe Hain, Iske Ba’wajood Iske Mukhaatib Sirf Momin Mard Hi Nahin Balke Momin Auratein Bhi Hain,

Dono Ke Liye Ramzaan Ul Mubaarak Ke Roze Farz Hain, Illa Ke Ye Kisi Par Istashna Saabit Ho, Is Huqm Siyaam Me Aurat Ke Liye Ye Istashna Saabit Hai Ke Wah Haiz Wa Nifaas Ke Ayyaam Me  Roze Nahin Rakh Sakti, Iske Elaawa Wa Roze Ke Deegar Ahkaam Me Mard Ke Saath Shaamil Hogi

“Aiy Imaan Waalon ! Un Kaafiron Se Ladon Jo Tumhaare Aas Paas Hain”

(Surah Tauba Ayat No 123)

Is Me Ahle Imaan Khitaab Karke Unko Jihad Karne Ka Huqm Diya Jaa Raha Hai, Lekin Ye Amal Chunke Mard Ke Daayera Amal Se  Talluq Rakhta Hai, Isliye Is Huqm Ki Mukhaatib Momin Auratein Nahin Hain,

Is Buniyaadi Nukte Ki Roshni Me Ham Arz Karenge Ke Namaz Ek Ibaadat Hai, Iska Huqm Mard Aur Aurat Dono Ko Hai, Dono Isko Ada Karne Ke Paaband Hain, Ye Dono Namaz Kis Tarah Adaa Karenge ?? Bilkul Us Tarah Jis Tarah Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Usko Ada Kiya Hai Ya Ada Karne Ka Huqm Diya Hai, Uski Adaayegi Ke Tareeqe Me Dono Ke Darmiyaan Koi Farq Karna Jayez Nahin Hoga, Siwaaye Us Farq Ke Jiski Wazaahat Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Hadith Me Milegi, Aur Hadith E Rasool Me Hamen Siwaaye In Farq Ke Aur Koi Farq Nahin Milta

1-       Aurat Sar Dhaanp Kar Namaz Padhe
2-      Aurat Subhaanallah Kahne Ke Bajaaye Tasfeeq Kare
3-      Aurat Ke Liye Masjid Me Aakar Ba’jamaat Namaz Padhna Zaroori Nahin Hai
4-      Aurat Mardon Ki Imamat Nahin Kar Sakti
Isliye Maulana Sakhrawi Sahab Ka Ye Kahna Ke “Auraton Ki Namaz Ka Tareeqa Bilkul Mardon Ki Tarah Hona Kisi Bhi Hadith Se Sarhatan Saabit Nahin Hai” Bada Ajeeb Hai,

Kyonke Iski Saraahat Ki Zaroorat Hi Nahin Hai, Jab Shariat Ne Dono Ke Darmiyaan Farq Kiya Hi Nahin Hai To Sahab E Shariat Ye Kis Tarah Farma Sakte They Ke Auraton Ka Tareeqa E Namaz  Bilkul Mardon Ki Tarah Hai,

Iski Misaal Is Tarah Samjhi Ja Sakti Hai , Shariat Ne Mard Aur Aurat Dono Ko Ramzaan Ul Mubaarak Ke Roze Rakhne Ka Huqm Diya Hai, Lekin Un Dono Ke Ahkaam Ke Darmiyaan Koi Farq Bayaan Nahin Kiya Hai, Iska Saaf Matlab Ye Hai Ke Jis Tarah Ek Momin Mard Roza Rakhega Usi Tarah Ek Momin Aurat Bhi Roza Rakhegi, Lekin Agar Kuch Log Aurat Ke Liye Mard Se Mukhtalif Ahkaam Gadh Lein, Uski Daleel Un Logon Se Poochi Jaaye Toh Wah Kahen Ke

“Auraton Ke Roze Rakhne Ka Tareeqa Bilkul Mardon Ki Tarah Hona Kisi Bhi Hadith Se Sarahatan Saabit Nahin Hota ”

Imaan’daari Se Farmaiyye ! Ye Koi Daleel Hai ???  Ya Is “Daleel “Se  Mard Wa Aurat Ke Darmiyaan Khud’saakhta Farq Saabit Ho Jaayega ?? Farq Toh Tab Saabit Hoga Jab Aap  Nusoos E Shariat (Quran Wa Hadith) Se Us Farq Ko Saabit Karenge..

Baherhaal Agar Maulana Sakhrawi Sahab Ka Ye Daawa Sahih Hota Ke “Khwateen Ka Tareeqa E Namaz  Mardon Ke Tareeqe Se  Juda Hona Bahut Se Sahaba Wa Tabain Se Saabit Hai” Toh Fir Unko Alfaaz Ke Ye Tota Maina Udaane Ki Zaroorat Pesh Na Aati, Lekin Chunke Unko Apni Pesh Kardah Hadithon Ka Ilm Hai, Goh Waah Apne Awaam Ko Andhere Me Rakhe Hue Hain, Isliye Wah Mukhtalif Qism Ke Heelon Par Majboor Hain ,

Teesra Daawa Unka Hai Ke “Chaaron Aimma Is Baat Par Mutaffiq Hain”

Is Daawe Ko Bhi Saabit Karne Ke Liye Mausoof Ne Jo Kartab Dikhaaye Hain Aur Jis Baazigiri Ka Muzaahirah Kiya Hai, Isko Ham  Uske Maqaam Par Jab Us Daawe Par  Agle Posts Me Guftughu Hogi Waazeh Karenge…. Inshallah

TO BE CONTINUED

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks