Bismillahirrahmanirraheem
AURATON KA TAREEQA E
NAMAZ- (PART 4)
PART-3 se AAGE:
HADITH WA ASAAR E
SAHABA WA TABAIN KI ASAL HAQEEQAT:
Mufti Sakhrawi Sahab
Ki PAANCHWI DALEEL:
“Nabi E Akram Muhammad
Salallaho Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai (Agar Namaz Ke Dauran Koi Aisa Amr
Pesh Aa Jaaye Jo Namaz Me Haarij Ho Toh) Mardon Ke Liye Ye Hai Ke Wah Tasbeeh
Kahen Aur Auratein Sirf Taali Bajaayen”
(Tirmizi Page 85,
Muslim 1/181)
JAWAB:
Ye Hadith Sahih Hai,
Isliye Isme Mard Aur Aurat Ke Liye Jo Farq Batlaaya Gaya Hai Is Par Amal Karna
Zaroori Hai, Lekin Ye Us Soorat Me Hai Ke
Jab Auratein Bhi Masjid Me Mardon Ke Saath Jamaat Ke Saath Namaz Padhen,
Jaisa Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Zamaane Me Auratein
Bhi Masjid E Nabawi Me Aakar Jamaat Ke Saath Namaz Padhtin Thi,,
Mardon Ki Safen Aage
Hoti Thi Aur Auraton Ki Safen Peeche, Is Hadith Me Nabi E Akram Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Ne Huqm Diya Hai Ke Imam Bhool Jaaye Toh Use Yaad Dilaane Ke
Liye Mard Subhaanallah Kahen, Aur Agar Mardon Mese Koi Na Bole Toh Auratein
Taali Bajaakar Imam Ko Mutanabbeh Karen,
Lekin Ham Maulana
Sakhrawi Sahab Se Poochte Hain Ke Kya
Who Is Hadith Ko Maante Hain ?? Hamara Daawa Hai Ki Wah Is Hadith Ko Nahin
Maante, Kyonki Is Hadith Ko Maanne Ka Matlab Ye Hai Ke Auraton Ko Bhi Masjid Me
Aakar Namaz Ba’jamaat Padhne Ki Ijaazat Ho,
Nabi E Akram Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Toh Ye Ijaazat Di Hai, Isi Liye Aapne Mazkoorah
Huqm Bhi Bayaan Farmaya, Lekin Fiqh Hanafi Me Ye Ijaazat Hi Nahin Hai Ke Aurat
Masjid Me Aakar Ba’jamaat Namaz Padhe, Jab Aisa Hai Toh Iska Waazeh Matlab Hai
Ke Ahnaaf Is Hadith Ko Nahin Maante, Lekin Ahle Hadith Alhamdulillah Ise Maante
Hain
DALEEL NO. 6
“Imam Bukhari Rh Ke
Ustaad Abu Bakr Bin Abu Shaibah Farmaate Hain Ke:-- Hazrat Ata Bin Rabah Se
Suna Ke Unse Aurat Ke Bare Me Poocha Gaya Ke Wah Namaz Me Hath Kaise Uthaayen
?? Toh Unhone Farmaaya Ke Apni Chhaation Tak, Aur Farmaya Namaz Me Apne Haathon
Ko Is Tarah Na Uthaaye Jis Tarah Mard Uthaate Hain Aur Unhone Is Baat Ko Jab
Ishaarah Se Batlaaya Toh Apne Haathon Ko Kaafi Pasht Kiya Aur Un Dono Ko Acchi
Tarah Milaaya Aur Farmaaya Ke Namaz Me Auraton Ka Tareeqa Mardon Ki Tarah Nahin
Hai ”
(Khwateen Ka Tareeqa
E Namaz Page 41-42)
JAWAB:
Ye 2 Asar Hain Yani
Tabai Ke 2 Qaul Hain, Lekin Maulana Sakhrawi Ne In Dono Ko Ek Banaakar Pesh
Kiya Hai, Halaanke In Dono Asaron Ki Sanadein Alag Alag Hain, Maulana Ne Iski
Sanadein Gol Kar Di Hain Take In Ki Asal Haqeeqat Waazeh Na Ho Sake, Isse Qabl
Un Riwaayaaton Me Bhi Unhone Talbeesi Se Kaam Liya Tha Jo Unhone Hadith E
Rasool Ke Naam Se Pesh Ki, Jinki
Haqeeqat Ham Pichle Posts Me Waazeh Kar Aayen Hain,
Is Silsile Me Bhi
Pahli Ghuzaarish Ye Hai Ke Jab Mard Wa Aurat Ke Darmiyaan Wah Farq Jo Mausoof
Bayaan Karte Hain Kisi Bhi Sahih Hadith Se
Wah Saabit Nahin Kar Sakte, Toh Kisi Sahabi Ya Tabai Ke Qol Se Wah Kis Tarah Saabit Ho Sakta Hai ?? Dusri
Baat Ye Hai Ke Sanad Ke Aitbaar Se Bhi Ye Dono Qaul Zaeef Hain, Pahle Qaul Ki
Poori Sanad Is Tarah Hai
Abu Bakr Bin Abu
Shayba Kahte Hain Ke Ahmen Hashim Ne Bayaan Kiya, Hasheem Ne Kaha, Hamare Ek
Sheikh (Ustad) Ne Khabar Di, Us Sheikh Ne Kaha, Maine Ata Bin Rabah Se
Suna………..
Is Silsile Sanad Se
Waazeh Hai Ke Abu Bakr Bin Abi Shaybah (Sahab E Kitab Al Musannaf) Ne Ye Baat
Hazrat Ata (Tabai) Se Nahin Suni, Jabke
Maulana Sakhrawi Sahab Ne Likha Hai
“Imam Bukhari Rh Ke
Ustaad Abu Bakr Bin Abi Shaybah Farmate Hain Ke Maine Hz Ata Se Sunaa…..”
Darmiyaan Ke Do Waste
Mufti Sahab Ne Chhod Diye, Hasheem Aur Uske Ek Sheikh Ka Ata Bin Rabah Se Sunne
Waale Wah Sheikh Hain Na Ke Abu Bakr Bin Abu Shaybah, Ab Wah Sheikh Kaun Hain
??? Aur Wah Kaise Hain ??? Siqah Hain Ya Zaeff ?? Jab Tak Us Sheikh Ki Baabat
Ye Tafseel Maalum Na Hogi, Ye Qaul Zaeef Aur Paaye Aitbaar Se Saaqit Hoga,
Dusre Asar Ki Sanad
Hai
“Haddasna Muhammad
Bin Bakr An Abi Jareej Qaal Ata”
Yani Sahab Kitab (Al
Musannaf) Imam Abu Bakr Bin Abi Shaybah Kahte Hain Ke Hamen Muhammad Bin Bakr
Ne Bayan Kiya Unhone Ibn Jareej Se, Ibn Jareej Ne Kaha, Maine Ata Se Kaha………
Aage Wah Qaul Hai Jo Sakhrawi Sahab Ne Naqal Kiya Hai
Isme Ibn Jareej
Agarche Siqah Raawi Hain, Lekin Muhaddiseen Ne Iske Baabat 2 Baatein Saraahat
Ki Hain, Ek Toh Ye Ke Ibn Jareej Agar Kahe “Maine Suna” Ya “Maine Sawaal Kiya”
Ya “Usne Mujhe Khabar Di” Toh Wah
Riwaayat Sahih Hai, Lekin Jab Wah Kahe Ke “Falan Ne Kaha” Ya “Mujhe Khabar Di
Gayi Hai” Toh Aisi Riwaayat Munkir Hai,
Dusre Imam Abu Bakr
Kahte Hain Ke:-“Maine Imam Ali Bin
Madeeni Ki Kitab Me Dekha, Maine Yahya Bin Saeed Se Ibnjareej Ki Is Hadith Ki
Babat Poocha Jo Wah Hazrat Ata Se “An” Se Riwaayat Kare ??
Toh Unhone Kaha, Wah
Hadith Zaeef Hai, Maine Yahya Se Kaha Use (Akhbarni) Ke Lafz Se Riwaayat Karta
Hai, Unhone Kaha Fir Bhi Wah Kuch Nahin, Ata Se Bayaan Kardah Sab Riwaayat
Zaeef Hain”
(Tahzeeb Ul Kamaal,
Al Mughni 12/60-63 Taba Darul Fikr Berut)
Is Saraahat Ki Ru
Se Ye Dusra Asar (Qaul Tabai) Bhi Ghair
Sahih Hai Kyonke Ye Ek Toh Lafz “Qaal” Se Hai, Dusre Ye Ata Se Bayaan Karta
Hai, Aur Ibn Jareej Ki Wah Riwayat Jo Wah Ata Se Kare Chaahe (Akhbarni) Se Hi Kare Wah Kisi Kaam Ki Nahin
Iske Elaawa Isi Baat Aur Usi Page Par 2 Asar Aur Hain,
Unse Aurat Ke Liye Bhi Haathon Ko Kandhon Tak Uthaane Hi Ka Asbaat Hota Hai,
Mulaheza Farmaiyye !
Hazrat Abdarbah Bin
Zaitoon Kahte Hain
“Maine Hazrat Umme
Darda (Ra) Ko Dekha Ke Jab Ewah Namaz
Shuru Karti Toh Apni Hathelion, Apne Kandhe Tak Uthaatin Aur Jab Imam (Ruku Se
Uthte Hue) Samiallah Liman Hamida Kahta Toh Apne Haath (Kandhon Tak) Uthaati
(Yani Rafulyadain Karti) Aur Kahtin, Allahumma Rabbana Lakal Hamd”
Dekhiye Is Asar Me Ek
Sahabiyah Ka Wah Amal Bayaan Ho Raha Hai Jisme Ahle Hadith Ke Mauqaf Ki Waazeh
Taid Hai,
Dusra Asar Hai,Isme
Imam Ozzai, Imam Zuhri Se Riwaayat Karte Hain Ke Imam Zuhri Ne Kaha
“Aurat Apne Haath
Apne Kandhon Tak Uthaaye”
Isme Bhi Ahle Hadith
Hi Kit Aid Hai, Ye Dono Asar Muannif Ibn Abi Shaybah Ke Usi Safhe (Page)
Maujood Hai,
Iske Elaawa Sahih
Bukhaari Me Hazrat Umme Darda Ka Ye Amal
Bhi Maujood Hai Ke Wah Namaz Me Mardon Hi Ki Tarah Baithtin Thi
“Hz Umme Darda Apni
Namaaz Me Is Tarah Baithtin Thin Jaise Mard Baithte Hain (Aur Wah Faqeeha
Thin)”
(Sahih Bukhaari Kitab
Ul Azaan Bab Sunnatul Juloos Fi Al Tashahhud Hadith 826)
Isse Muraad Tashahhud
Me Baithne Ki Kaifiyat Hai, Yani
Tashhhud Wagerah Me Aurat Aur Mard Dono Me Koi Bhi 4 Zaanu Nahin Baithega Balke
Dono Hi Sunnat Ke Mutaabik Baithenge Aur Sunnat Ke Mutaabik Baithna Kis Tarah
Hai ?? Wah Imam Bukhaari Ne Is Baabke Tahat Hadith Se Bayaan Kiya Hai Aur Wah
Ye Hai Ke Pahle Tashhud Me Baith Kar Daayen Pair Ko Khada Rakhna Hai Aur Baayen
Pair Ko Andar Ki Taraf Modna Hai Aur Aakhiri Tashhahud Me Baayen Pair Ko Aage Nikaalna Hai Aur Daayen
Pair Ko Khada Rakhna Aur Chootadon Par Baithna Hai, Isko Hadith Me Torrak Se
Taabeer Kiya Gaya Hai,
Isko Imam Bukhari Rh
Ka Tarjumatul Bab Me Lane Se Ye Maqsad Ye Waazeh Karna Hai Ke Is Masle Me Mard
Aur Aurat Ke Darmiyaan Koi Farq Nahin Hai,…
To Be Continued
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks