Monday, May 9, 2011

ISLAM KYA HAI???

Bismillahirrahmanirraheem


islam word arabic ke S L M alfaz se nikalta hai ,jiska matlab hai ' salamati', aman aur peace, islam allah ki raza paane ka dusra naam hai, is tarah islam ka base hai ' aman aur peace' aur ' allah ki raza pane ka zariya', iska ek matlab hawalagi , supurdagi aur apne apko allah ke supurd kar dena bhi hai, jab koi insan apne aapko allah ke supurd kar deta hai to mano wah salamati aur aman(peace) me aa jaata hai,


agar koi musalman iske khilaf kaam karta hai to uska jimmedar wah khud hai na ki islam

musalman ek dusre se milne par 'assalam o alaikum' kahte hain aur jawab me ' wa laikum as salam' kaha jaata hai, in dono alfaz ka matlab hai ' tum par aman aur salamati ho'


Nabi sallallaho alaihi wasallam aman pasand insan they........ Jiska saboot in waqeyom se milta hai..


1- hudaibiya ki policy ke mauke par dushman quraishiyon ne badi kadi sharten pesh ki, musalman unko qubool Karne ko taiyyar na they, lekin nabi (sws) ne kisi baat ki parwah na karte hue jhade ko khatm karne ke liye samjhauta kar liya..


2- jab nabi(sws) ne apni fauj ke saath ek jeet ke roop me makka me daakhil hue to aapne hukm diya ki jitna ho sake kam se kam khoon kharaaba ho....bilkul aisa hi huwa, aap (sws) ki fauj kisi tarah ke khoon kharaba ke bina makka me daakhil ho gayi, yah wahi shaher tha, jahan aapko shakt takleef ka saamna karna pada aur isliye aap wahan se chale gaye they, phir bhi aap (sws) ko aman ka itna khyal tha ki khud aap(sws) ek haaji ka libaas pahan kar us paak jagah me daakhil hue...


Nabi(sws) ki aman pasandagi ka saboot aap(sws) ke un huqmon se milta hai jo jung ke waqt aap (sws) apni fauj ko diya karte they, jo neeche darj hai


" allah se daro, apni nafsi zarooriyat ka daman karo, allah ka naam lekar jiyo, allah ke farman ke mutabik jiyo, usi se madad maango aur uski fauj bankar Jung karo, kisi ko kisi tarah ka dhoka na do, dushmano ke maal ki chori na karo, budho(aged), baccho aur aurton par haath na uthaao, na unpar jo jung me shaamil na hon, pedon(trees) ko na kaato, ibadat ki jagah ko na giraao, tumhara sardar jis jagah par tumhe laga den wahin par jame raho, jo madad maange(opponent, yani jo bait karna chahe) use madad do, hamla karte hue allah ko yaad rakho, aag na lagaao, khajoor aur dusre faldaar pedon(trees) ko na kaato, fasalon ko nuksaan na pahunchaao, na unhe jalaao, bina zaroorat maweshion(pet animals) ko na maro , na unhe zakhmi karo"


yah tha nabi(sws) ka jungi hukm

isse samjha ja sakta hai ki jab islam jung ke rules itne peaceful hain ,to uske basic rules bhi kitne peaceful honge


allah hamen islam ko sahi mayne me samajhne ki taufeeq de.