Friday, May 6, 2011

MASLA KHALF UL IMAM AUR MUQALLIDEEN KE SAWALAT AUR UNKE JAWAB

Bismillahirrahmanirraheem


Sawal 1: Suboot fatiha ki 7 hadith hain jo ek dusre se alag hain?


Jawab: bilkul ghalat hai, koi takrav nahi.


Sawal 2: tum ek hadith par amal karte ho aur 6 ko chhodte ho?


Jawab: Saaton me koi takraav nahi, isliye hamara amal sab par hai, hamare yahan yah usool hai hi nahi ki ayat wa ahadith ko takra kar in ayat wa ahadith ko khatm kar den, koi bhi amal ke qaabil na rahe..... Yah hanfiyon ka usool hai.


Sawal 3- bukhari ko chhod kar baihaiqi ka sahara lete ho??


Jawab: bukhari ko chhodne ka ilzam ghalat hai, haan hamen kisi imam se nafrat nahi, agar imam baihaqi bhi koi sahih hadith riwayat karte hain to ham use kubool karte hai, ham yah nahi kahte ki hamare khasam ki hadith hai, ham usko radd karne ki koshish nahi karte, agar zaahir me takraav bhi hota hai to tatbeek de kar dono sahih hadith par amal karte hai, khatm kisi ko nahi karte....


Sawal 4: Amr bin suaib ki Hadith ke sirf faatiha ka huqm aur elawa ki manahi hai?


Jawab: Amr bin shuaib ki hadith yah hai -" har wah namaz jis me fatiha na padhi jaaye wah nakis hai (kitabul qir'at page 4) is me to elawa ki manahi kahin nahi hai, haan hukm sirf faatiha ka hai, is liye ki wah namaz ka compulsury part hai, use chhoda nahi jaa sakta...


Sawal 5: ek hadith me fatiha aur is se zyada ka huqm hai??


Jawab: hamen zyada ka hukm bhi tasleem hai, fark sirf itna hai ki fatiha har haal me har ek ke liye zaroori hai, is ke bina namaz nahi hoti, zyada padhna har haal me har ek ke liye zaroori nahi hai, muqtadi ke liye sirf surah fatiha laazimi hai zyada padhna lazmi nahi, balki imam ki unchi aawaz ki qir'at ke dauran padhne ki manahi hai.


Sawal 6: iske elawa ek hadith me hz abu huraira ra ki dil me padhne ka huqm hai?


Jawab: hz abu hurairah ra ki hadith me muqtadi ka zikr maujood hai, isliye muqtadi ko dil me padhna Chahiye, buland awaz se padhne ke liye kaun kahta hai aur kis hadith me buland awaz se padhne ka huqm hai, jisse yah hadith takraati ho, balki hadith me muqtadi ko buland aawaz se padhne ki manahi hai, isliye sab ahadith ek dusre me khaas hain, takraav to taqleed ki karishma shazi hai...


Sawal 7: ek hadith me saktah me padhne ka huqm hai?


Jawab: bilkul theek hai, muktadi ko imam ke sakton me padhna chahiye aur jab imam padhe to usko sunna chahiye, hamara isi par amal hai...


Sawal 8: hz ali ki hadith me imam ke peeche khamosh namaz me do suratein padhne ka zikr hai??


Jawab: bilkul theek hai, muqtadi khamosh rakat me fatiha ke elawa koi aur surat bhi padh sakta hai. Hz ali bayan karte hain-" jab imam buland aawaz se qir'at na kare to pahli do rakaton me fatiha bhi padho aur surah bhi aur aakhri rakaton me sirf surah fatiha padho....



Sawal: ab yah 7 hadithen hain jo alag alag hukm deti hain aap ka amal kis hadith par hai??


Jawab: hamara amal saaton par hai, har ek hadith ka alag mauka hai,

surah fatiha har insan ke liye laazimi hai( hadith ubada bin saamit etc)

imam wa munfarid ko surah fatiha ke elawa bhi padhna chahiye( hadith abu saeed ra wa abu hurairah ra etc)

muktadi ko buland aawaz ki rakat me surah faatiha se zyada nahi padhna chahiye (hadith ubada ra)

muktadi ko buland awaaz se nahi balki dil me padhna chahiye(hadith abu hurairah ra)


muqtadi ko khamosh wali rakat me fatiha padhni chahiye aur dusri surah bhi (hadith ali ra)

muktadi ko buland aawaz waali raqat me surah fatiha padhni chahiye(hadith ubada ra)


lekin imam ke saath saath nahi balki saktah me (hadith saktah)

tamam ahadith apne apne maukon par hain, kisi me koi takraav nahi, sab par amal karna shan e iman hai


sawal 10-: hadith ubada ra ke muqtadi ka Zikr nahi?


Jawab: hadith ubada ra me khitaab hi aap sws ne muqtadion se farmaya tha rasoollullah (sws) farmate hain-" jab buland aawaz se qirat karo to quran me se kuch na padho siwaay surah fatiha ke isliye ki uske bina namaz nahi hoti

(abu dawood)


Ye sawal maulwi nawab muhiyuddin sb. Ke they jo pahle hanafi they lekin baad me inki islaah hui aur ye alhamdullih ahle hadith hue....

In sawalon ke jawab jo khalf ul imam se related hai wo maulana masood ahmad ne bade hi khoobsoorat andaz me diye hain.......

Allah unko jaza e khair de......

Is silsile me inki kitab 'talaash e haq' maujood hai........ Jisme tamam sawalat ke jawab diye hain