Saturday, May 7, 2011

KYA BARELWI HAZRAAT KAAFIR HAIN?? (FIQH HANAEI KI ROSHNI ME)

Bismillahirrahmanirraheem


Sawal: kya barelwi ahle sunnat ahle qibla musalman hain ya gulu ki inteha ,qabr parasti, aur shirk ki wajah se islam ke daayre se waqai bahar ho gaye hai??


Jawab: is bahes ko be zaroorat samjhte hue ki aap ahle sunnat ke misdaak bhi hain ya nahi? Ham filhaal aapke sawaal tak hi jawab ko seemit rakhte hain, haan to suniye mohtaram, aap logon ke jo aqeede hain uski ru se aap kya hain? Iska jawab ham apni taraf se dene ke bajaaye khud aapke fiqh hanafi ki daleelon se dete hain, khuda gawah hai hamen aapko islam ke daayre se bahar nikaalne se bilkul dil chaspi nahi lekin muskil to yah hai ki jis hanafi fiqh par aap iman rakhte hain uske akaabir aap jaisa aqeeda rakhne walon par kufr ka fatawa laga rahe hai, dekh lijiye...

Mulla ali qaari hanafi imam abu hanifa ki kitab fiqh akbar ki sharah me likhte hain-

" hanafi fiqh ne kholkar kaha hai ki jo insan yah aqeeda rakhe ki nabi (sws) ghaib ka ilm rakhte they wah kaafir hai, kyonki yah aqeeda allah ke is farman ke khilaaf hai ki-' allah ke siwa aasman aur zameen me koi bhi ghaib ka ilm nahi rakhta'

(sharah akbar p185)


ab aap khud soch lijiye ki aapne nabi sws ko nahi, har chhote bade wali balki nang dhadang malango ko bhi ghaib ke ilm ka jaanne wala samjh rakha hai..


Fiqh hanafi ki kitab "fatawa qadhi khan" ki daleel bhi sun lijiye-

" jis insan ne bina gawahon ke nikaah kiya aur mard wa aurat ne kaha ki ham allah aur rasool ko gawah banatd hai, hanafi fiqh kahti hai aisa kahna kufr hai kyonki usne yah aqeeda rakha ki nabi sws allah ki tarah aalimul ghaib hain, jabki nabi sws apne zindagi me gaib na jaante they to maut ke baad kaise jaante honge


isi tarah "bahrurraiq sharah kunzul daqaiq " me bhi hai


ek aqeeda aap logon ka yah bhi hai ki gairullah ke naam ki nazaren dena aap maante hain unke naam ke niyazen dete hain Unki qabron par chadhawe chadhate hain aur unke naam k jaanwar zibaah karte hain, magar hanafi fiqh me is kaam ko bhi najayez balki kufr kaha hai

raddul mukhtar sharah durre mukhtar part 2 page 131 me hai

" nazr makhlook ke liye maanna jayez nahi isliye ki yah ibadat hai aur ibadat makhlooq ke liye jayez nahi"


aage najr lil makhlooq ki hurmat ki daleel dete hue allama shami likhte hain-

" allah ke siwa auron ke liye nazr wa niyaaz ke haraam aur jhoote hone ki ek wajah yah bhi hai ki jiske liye najr maani gayi hai agar use kaaynaat me sab kuch karne ki kuwwat samjh kar aisa kiya gaya to yah aqeeda kufr hai"


Ab aap khuch soch len ki aap lop jo bujurgon ke naam ki nazr wa niyaazen dete hain, 11wi shareef karte hain aur unke naam ke jaanwar zibaah karte hai to yah sab kuch unhe apne maslon me sab kuch karne wala samjhkar karte hain ya nahi??

Beshak hi aap aqeede ke taur par unhe kaaynaat me Tasarruf karne wale samjh kar ki aisa karte hain jabki khud fiqh hanafi is aqeede ko kufr ka naam de raha hai, isi silsile me ek aur hawala apni fiqh ka dekh len.


" jo jaahil log mashaikh aur shaheedon ki qabron par (chadawe ke) jaanwar zibah karte hain wah jaanwar haraam ho jaata hai jabki allah ka naam lekar hi zabah kiya jaaye, aur aisa karne wale ko kaafir kaha hai"

( fatawa gharaib fi tahqikul mazaahib)


buzurgon ki qabron ke saath barelwi hazraat wah sab kuch karta hai jisse shariat ne badi shakhti se roka hai yahan tak ki unki qabron par sazde tak kiye jaate hain jabki hanfi fiqh ne ise bhi kufr ka naam diya hai... Hanafi kh moatbar kitab kifaaya me hai


" hamari shariat islamia me yah kabhi jayez nahi hai ki koi kisi ko (allah ke siwa) kisi tarah ka bhi sazda kare aur jo aisa kare wah kaafir hai"



Ham barelwi hazraat par koi fatawa nahi lagate albatta hamne yah zaroor kiya hai ki aapka Aina yani hanafi fiqh ke irshaadat aapke saamne rakh diye hain taaki isme apna chehra dekhkar apne baare me khud hi faisla kar len, dekhiye......... Ghusse me aakar mere uper koi kufr ka fatawa na lagaiyega,

yah wahabi ka fatawa nahi balki jis fiqh hanafi par aap ke fatwa ka daromadar hai uski daleelen hain......