Wednesday, May 4, 2011

ISLAM KA PAIGHAM PART 1

ISLAM KA PAIGHAM


Hazrat-Muhammed{sall’ Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ka mission kya tha.?

Us mission ka asal kam (highest virtue) kya tha?

Hazrat- Mohammed{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke mission ke bare mein baat karne se pehle hum is duniya ko allah ne kyon banaya isse janna bahut zaruri hai.

duniya ke bare mein soch kar ek samjhdar insaan ye sochne par majboor hota hai ke

''yeh kaynat(universe) kyon paida ki gai hai ?

Kisne ne paida ki hai?

Kya Ye apne aap chal rahi?

Yah iska koi chalane wala bhi hai?

Iska anjam kya hone wala hai?

is mein jo allah ne cheeze paida ki hai,kyon paida ki hai?

Fir insan sochta hai meri zindgi ka maqsad kya hai?

Mujhe kyon paida kiya gaya hai?

mera role kiya hai?

meri hasiyat kiya hai?

mera anjam kya hone wala hai?

Ye sawal paida hote hai?

Ab jab hum inka jawab quraan mein dhundte hai tab hum pate hai..allah quran mein farmata hai ,


"aur yaad karo jab tere 'rab'(palnewale) ne 'farishto' se kaha ki mein zameen par ek 'khalifa'(vicegerent) bana ne wala hu"


( surah-al-baqrah,aayat-no: 30)

{yeh hazrat adam ki paidaish ke pehle ka mamla hai,allah ne hazrat adam(yani hum insano) ko is kaynat ka khalifa banaya hai.khalifa kuan hota hai ?

Khalifa= wo jo malik(owner) ki milkiyat(estate, property) mein us(malik) ke diye gaye ikhtiyar(power, rights,privileges) malik ke numayendey(representative) ki hasiyat se istemal kare.

khalifa malik nahi hota balki asal mein malik ka nayib(representative)hota hai.khalifa ke ikhtiyar personal nahi hote balki malik ke diya gaye hote hai,woh apni marzi ke mutabik kam karne ka haq nahi rakhta, balki us ka kaam malik ki marzi ko pura karna hota Hai,

agar khalifa apne aap ko khud malik samjhne lage aur apne ikhteyar ko manmane tareke se istemal karne lage ,ya asal malik ke siwa kise aur ko apna malik samjhne lage toh yeh sab ghaddari aur bagawat hai.

aur dosri baat jab allah ne insano ko zameen ka khalefa banaya to is ka seedha sa matlab ye tha ke,allah insan ko ikhteyar de kar aazmayega ke kuan allah ki marzi ke mutabik un ikhteyar ko istemal karte hai aur kuan nahi.

Aur allah yeh bhi kehta hai ke "hum ne jinno aur insano ko sirf isliye paida kiya hai ke woh meri ibadat(bandegi) karein".

(surah-al-zaryaat, aayat-no: 56)

{ibadat ka matlab sirf namaaz ,roza nahi hota balki puri zindagi allah ki marzi ke mutabik guzari gai hai.( complete obedience not partial obedience)}.


yah to tha insaano ki paydaish ka maqsad.jisko yaad karwane ke liye allah ne waqt-waqt mein apne messengers bheje,aur in sab messengers mein akheri hazrat muhammmed{sall’ allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} hain.

(in sari baton ka ek natija(result) nikalta hai ke ek din aisa hona chahiye jab allah apne farmabardaro ko reward de aur na-farmano ko punishment.) Aaye ab hum dekhte hai hazrat muhammed{ sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ko allah ne kyon rasool bana kar bheja hai,

muslims se allah kiya chata hai ?

Hum muslims ki kya responsiblity hai?

Sabse pehle hum hazrat muhammed{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ke responsiblity ko dekhte hai . Allah aage hume batlata hai, huzur{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ko allah ne jab rasool banaya toh kaha

"utho aur kahbardar karo" (arise and warn)

{surah-al-mudassir, aayat-no: 2)


hamesha ki jannat aur dozak ka fasla hojaega.fhir dusri jagah allah farmata hai

"wah(rasool) unhe(logo ko) neki ka hukum deta hai,burai se rokta hai,unke liye pak chize halal aur napak chize haraam karta hai,aur unpar se wah boj( loads) utarta hai joh unpar lade hue the aur wah bandhan khoalta hai jin mein wey jakdey hue the.

{surah-al-aaraaf, aayat-no: 157).


Hazrat muhammed{saw} ke asal maqsad(highest virtue) joh aap ko tamam nabi aur rasoolo ki jamaat mein ek alag position ata karti hai.

allah kehta hai ''wah allah hai jisne apney rasool{saw} ko hidayat[ guidance(quran)] aur deen-e-haq(complete way of living) de kar bheja hai,taki usko galib(superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi(system of life) par aur is haqeqat ki gawahi ke liye allah kafi hai".


(surah-al-fatah, aayat-no: 28)

ye aayat-e-kareem 3 bar quraan mein aai 2 bar similar aur 1 bar sirf thode se farq ke saath

{surah-al_fatah, aayat-no: 28 , surah-al-saff, aayat-no: 9 & surah-al-anfaal, aayat-no: 33 }


allah ne is ayat 3-3 bar nazil kyon ki zara sochiye?

Yani is aayat se hume pata chala ke allah ne hazrat muhammed{ saw} ko 2 chiz di hai nos

1. Hidayat(quran) aur

2. deen(yaani allah ka bheja hua zindgi jeene ka tareqa jise hum 'shariat' bhi kehte hai)


aayat se ek baat aur pata chali ke allah ne farmaya''taki usko galib(superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi( system of life)

to be continued