Tuesday, May 3, 2011

KYA AHLE HADITH ANGREZ KI PAIDAWAR HAI??? (TAREEKHI JAWAB)

Bismillahirrahmanirraheem


AHLE HADITH SHURU ISLAM SE HAIN:


Baaz muqallidon ye chillate hain ki ahle hadith angrez ke zamane me paida hue... Aur pahle ke daur me koi ahle hadith tha hi nahi........ye kaise mumkin hai, main is baat ke khilaaf hun,


haqiqat iske ulta hai ,imam abu hanifa rh ka daur 120H me qayem huwa (seeratun noman)

bataiye 120 hijri tak jo musalman they wah kis imam ke muqallid they??

Us imam ki imamat kisne radd ki??

Hz imam abu hanifa muqallid they ya gair muqallid??

Agar muqallid they to taqleed ki kaise??

Aur agar gair muqallid they to wo hamare aqeede ke hue na ki aapke,

imam abu hanifa farmate hain-" kisi insan par munasib nahi ki wah meri baat par fatawa de jabtak us ko meri daleel na malum ho jaaye "

(aqdul zayyad)

balki yahan tak farmate hain-" harama alay min lam yarif daleeli in yafti baqlami"


trans: yani wah apni taqleed se mana farmate hain balki be daleel Baat maanne ko haram kah rahe hain,

lijiye jo ham kahte hain wahi imam abu hanifa rh ne farmaya hai beshak jis cheez ko unhone haram kaha hai ham bhi us ko haram samjhte hain lekin muqallideen unke haram kiye ko jayez hi nahi, waajib tak kah dete hain



imam abu hanifa rh ke elawa bhi tamam aimma e deen taqleed se mana karte rahe , jaise imam ahmad bin hambal rh farmate hain:

"la taqleedani wa la taqleedan malik wa la shafai wa la ozzai wa la soori wa khaz min hais akhazwa"


trans: yani hargiz meri taqleed na karna ,na imam malik ki na imam shafai ki, na imam ozzai rh ki, na imam soori ki, balki jahan se unhone ahkam ko liya wahin se tum bhi lena


(aqdul zayyad)

haan to 120H tak poori tarah sab gair muqallid they balki shah waliullah sahab rh ke mutabik 4 sadi hijri ke pahle taqleed e khalis par log jama nahi hue they(hujjatul baligha) to mano 300 saal tak taqleed ka wajood nahi tha,

4 sadi hijri se taqleed ne zor pakadna rhuru kiya aur lagbhag ek hazaar saal tak iska zor raha, lekin yah zamana bhi ahle hadith se khali na tha, har zamana me ulama ki ek badi tadad ahle hadith thi,

Allama zahbi rh ki 'tajkiratul huffaz' padhiye, dekhiye har zamane me kitne ulama e ahle hadith they, allama zahbi bisiyon ulamo ke naam ginate chale jaate hain, unke haalat likhte hain aur yah we log hain jo bade bade hafiz they na malum unke elawa aur kitne honge jinke naam imam zahbi rh ko malum na hue hon aur phir kitne log honge jo unke halqa e asar me honge, gharaj yah ki an ginat log har zamana me ahle hadith they, kuch aise ulama bhi they jo mauka ki nazakat mahsus karte hue taqleed ka talluq apni taraf pasand karte they, jabki wah muqallid nahi hote they


kuch to ilaake aise they jahan muhaddiseen ki tadat bahut zyada hoti thi,


jaise ki arab ke bashar muqaddasi rh jo 275 hijri me hindustan aaya Tha, sindh ke haalat me likhta hai:" yahan ke zimmi moorti pujak(idol worshipper) hai aur ulama me zyada tar ahle hadith hain"

(tareekh sindh part 2)


"rome, shaam, zazira aur ajar baijaan etc mulk ke musalman 5wi sadi me sab ke sab ahle hadith they"


(usooluddin part 1 abu mansoor rh bagdadi)



TAQLEED KA SADION BAAD SHURU HONA:


6 sadi hijri me africa me ahle hadith ki hukumat thi (tareekh islam zahbi rh) is hukumat me kanoon tha ki koi kisi imam ki taqleed na kare (tareekh ibne khalkan)

yahan se bhaage hue logon ne taqleedi mazhab badi tezi se jaari kiya aur yah kanoon banaya ki charon mazahib ki taqleed wajib hai aur unse baghawat haram hai


(mukreji part 2)

7wi sadi me shah jaahir ne charon mazahib ke madarse aur kaazi alag alag kar diye

(mukreji)


7wi sadi hijri me shah naasir ne 4 musalle qayem kar diye

(al badrut ta le part 2)


AULIYA ALLAH AHLE HADITH HI HOTE HAIN:



Aakir me ek baat aur sun lijiye, muhaddiseen aur auliya allah sab ahle hadith they, koi muqallid nahi tha,

shah abdul aziz muhaddis dehlwi rh farmate hain-" ulama muhaddiseen mujtahideen ke mazahib me se kisi ek mazhab ke paband nahi hote"


(fatawa azizia part 2)

Imam shorani rh farmate hain:-" jis insan ka qadam wilayat e muhammadiya par saabit ho gaya, wah sharai ahkam ko wahin se leta hai jahan se mujtahid ne liya tha, wah tamam ulama ki taqleed se alag ho jata hai, aur siway rasool (sws) ke kisi ki pairwi nahi karta....

(meezan kubra)


allah tala un par apni rahmat ki baarish barsaaye