Wednesday, November 13, 2013

TABLEEGHI JAMAAT KE BANI MAULANA ZIKRIYA SAHAB PAR AITRAZAAT






.Bismillahirrahmanirraheem





TABLEEGHI JAMAAT KE BANI MAULANA ZIKRIYA SAHAB PAR AITRAZAAT:



Maroof Hanafi Deobandi Aalim Maulana Zakariya (Rh) Ji Fazail Amaal Ya Tableeghi Nisaab ke Writer Wa Bani Hain, Unhone Tableeghi Jamaat Par Baaz Aitraazaat Ke Jawaabaat Tahreer Farmaaye hain Ye Jawabaat Ek Kitab Ki Shakal Me "Idaara Isha'at Deeniyaat" Se Shaaye Hai Is Kitab Ka Naam

"Jamaat Tableegh Par Aitraazaat Ke Jawaabaat " Hai,

Yahan Is Article Me Ham Maulana Zakariya (Rh) Ke Hi Jawabaat Ka Tajzijah Aur Kuch Haiqaiq Ki Nishaan'dehi AapkI Khidmat Me pesh Kar rahe hai,

Maulana zakariya (Rh) Apni Kitab Ke Muqaddame me Tahreer Farmate Hain

"Main Khud Ahle Madarsa Aur Ahle Khaanqaah Hone Ke Ba'wajood Ba'baang Dahal Is Baat Ka Elaan Karta Hoon Ke Ye Umoomi Aur Zaroori Kaam (Tableegh) Baaz Wajah Se Madarsa Aur Khaan'qaah Se Ziyaadah Mufeed Aur Afzal Hai"

(Jamaat e Tableegh Par Aitraazaat Ke Jawab Pg 2)

Yahan Zakariyah Sahab (Rh) Ne Apne Aapko 2 Jamaaton Ke Saath Mansalak Kiya Hai,

1- Ahle Madarsa

2- Ahle Khan'qah,

se

Ahle Madarsa Hona Toh Waazeh Hai Aur Aasaani Se Samjh Me Aa Jaata hai Kyonke Isse Deeni Aur Sharai Uloom Ki Dars'gaahein Muraad Hain Jahan Students Quraan Wa sunnat Aur Uloom Deeni Wa Sharai Haasil Karte Hain,

Lekin Zakariya Sahab (Rh) Ka Ahle Khan'qah Hona Zara Wazaahat Talab Hai,

Iski Wazaahat Ke Liye Ham Urdu Lughat (Dictionary) Ki Kitab "Firoz Ul lughat" Se Lafz Khan'qah Ka Maana Naqal Karte Hain

Firoz Ul Lughat Page 583 Par Likha Hai ke

" Khan'qah Darweshon Aur Masaikh Ke Rahne ki Jagah, Somah, Kisi Darwesh Ya Peer Ka Maqbarah"

Isse Malum Hua Ke Khan'qah Us Jagah Ko Kahte Hain Jahan Par Baith Kar Soofiyah Muraaqbe Karte Hain Aur Chille Kaatte Hain,

Aur Is Lafz Se Musalmano Ki Ibaadat'gaah Muraad Nahin Balke Yahoodion, Isaaiyyon Aur Majoosiyon Ki Ibaadat Ki Abaad'gaah Muraad Hai Jahan Par Wah Apne Aqeede Ke Mutaabik Ibaadat Sar'anjaam Dete Hain,

Isliye Ye Khaan'qah ka Lafz Musalmano Ki Ibaadat'gah Par Nahin Bola Gaya;

Nez Poori Islami Taareekh Me Musalmano Ki Ibaadat Gaah Ko Masjid Ke Naam Se Hi Zikr Kiya Jaata Raha Hai Isliye Ye Lafz Ajmi (Non Arabic) Hai , Aur Ghair Muslimon Ki Ibaadat'gaahon Ke Liye Istemal Hua Hai,

Yahi Sabab Hai Ki Feroz Ul lughat Waale Ne Is Lafz Ke Maane Me Masjid Ka Zikr Nahin kiya Balke Iske Maane Me "Somah" Ka Lafz Likha Hai,

Aur Hz Ibn abbas (Ra) Ke Qaul Ke Mutaabik "Somah" Ka Lafz Yahoodion Ki Ibaadat'goh Ke Liye Bola Jaata Hai,

Isi Tarah Mujaahid, Abu Yayla, Akrama aur ishaq (Rh) Ka Bhi Yahi Qaul Hai,

Jabke Mashoor Mufassir e Quraan Qatadah Ka Qaul Ye Hai Ke "Soumah" Ek Ghair Muslim Firqah "Saaybeen" Ki Ibaadat 'gaah Ko Saumah Kaha Jaata Hai,

"Agar Allah Ek Giroh Ke Zariye Dusre Ko Hataata Na Rahta Toh Soumah, Baiyy , Aur Salawaat, Aur Masaajid Bhi Jahan Allah Ka Zikr Kasrat Se Hota Hai, Sab Ko Tabaah Kar Diya Jaata Hai"

(Surah Hajj )

Quran Kareem Ki Is Aayat Me Soumah Ka Lafz Masjid Ke Bil'muqaabil Zikr Kiya Gaya Hai Isse Saabit Hua Ke Khan'qah Musalamano Ki Ibaadat'gah Nahin Balke Ghair Muslimon Ki Ibaadat'gah Par Bola Jaata Hai,

Nez Khan'qah Ke Maane Me Firoz Ul Lighat Waale Ne Darweshon Aur Peeron Ki Qabron Ka Bhi Zikr Kiya Hai,

Yani Ye Lafz Qabron Par Banayi Gayi Imaaraton Par Bhi Bola Jaata Hai, Jinko Urf Aam Me Mazaar Bhi Bola Jaata Hai, Aur Ye Mazaraat Har Zamaane Me Ahle Shirk Wa Bidat Ki Ibaadat Ka Marqaz Rahe Hain,

Pas Malum Hua Ke Tableeghi Jamaat Ke Akaabireen Ahle Tauheed Nahin Balke Yaqeeni Taur Par Ye Jamaat Ahle Sunnat Wa Jamat Ke Tareeqe par Qayem Nahin Balke Ye Jamat Ahle Kufr wa shirk Ki Ibaadat'gahon Ki Taraz Par Khan'qahein Tameer Kiye Hue Hain,

Aur Unhi Ke Tarz ibaadat Yani Chilla'kashi Ko Akhtiyar Kiye Hue Hai,

Aur Isi Tareeqe e Ibadat Ko Raza E Ilahi Ka Zariya Samjhti Hai,

aur Is Jamat Ke Akaabireen Aur Rufaaqa Kaar Yahoodion Aur Qabr'paraston Ki Tarah Ahle Quboor Se Faiz Haasil Hone Par Yaqeen Aur Imaan Rakhte Hain, Aur Isi Imaan Wa Yaqeen Ka Farogh Yani Soofiyat Is Jamat Ka Mission Hai,

Aur Malum Hona Chahiye Ke Deen Tasawwuf Ka Asal Usool Qabr'parasti Aur Wahdatul Adyaan Hai....

To be Continued....