Bismillahirrahmanirraheem
Fiqah Hanfiyat Ka Uruj Ki Wajah Kiyon, Kab ,Aur Kaise ??
Ham Log Baraha Sunte Aaye Hain Ke Hanfi Fiqaha Quraan Aur Hadish Ka Nichor Hai , Balki Hanfi Ke Aalim Ne To Is Mouju Pe Ek Kitab Bhi Likhi Hai,
Kiya Ye Sahi Hai ? Ya Koi Baat Hai ? Kiyon Ke Aap Fiqah Ko Padhenge To Ja Baja Aisi Baaten Aayengi Jahan Fiqah Hadish Ko Thukrata Hua Nazar Aayega, Lekin Mera Bahas Ye Nahi Hai, Mai Ye Batana Chahta Hoon Ke Woh Koun Se Wajuhat The Jis Fiqahi Masayal Ko Lene Ki Zarurat Padi ? Kaise Koun Se Masayal Ne Janam Le Liya Jo Hadish E Rasul Me Moujud Nahi Tha , Aur Fiqhi Masayal Ki Zarurat Par Gai Jab Ke Us Waqt Sahaba Ki Jamaat Moujud Thi, Rawiye Hadish Bhi Duniya Me Zindah They Aur Hamare Nabi Muhammad Sallallaho alaihi Wasallam Ko Duniya Se Rahlat Farmaye Huye Zeyadah Arsa Nahi Guzra Tha.
Phir Kiya Wajah Hogai ?Kuchh To Hai Jis Ko Ye Hanfi Bhai Chhupa Rahen ,Musalmano Tak Woh Koun Si Baat Hain,Jise Ye Log Pahucha Nahi Chahte Woh Koun Si Baat Hai Jis Se Fiqah Hanfi Ko Uruj Mila? Aaiye Woh Baat Ko Janne Ki Koshish Karen Aur Jane Ke Woh Kiya Hai
Ibne Khalkan Matbua Iran.Jild No.2 Safa No 463
Me Likhte Hain Ke Harun Rashid Apne Mahal Me ""Zina ""Hote Khud Apni AankhoN Se Dekha.Aur Sakht Kufat Me Mubtila Hua .Ke Kiya Karen...
Haroon Rashid Ka Ek Razdar Khadim Tha .Us Se Haroon Ne Kaha Ke Tum Kisi Faqih Ko Jante Ho Toh Use Mere Pas Bula Ke Lao, Imam Yusuf Se Us Khadim Ka Pahle Se Pahchan Thi. Woh Unhi Ko Bula Laya .
Haroon Rashid Ne Un Se Puchha .
“Agar Imam E Waqt Khud Kisi Ko Zina Karte Dekhe To Us Waqt Woh Kiya Kare.”
Us Waqt Haroon Rashid Ke Chehre Se Ranj Ka Izhar Numaya Tha...
Imam Abu Yusuf Samajh Gaye Ke Ye Haroon Rashid Ke Ghar Ka Waqya Hai.. Unhone Fatwa Diya ..."
".Ke Is Surat Me Me Us Pe Hadd Nahi .."
Haroon Rashid Bahut Khush Hua Aur Imam Yusuf Ko Bahut Inaam Wo Ikram Se Nawaza .
Is Qisse Ko Zikr Karne Ke Baad Ibne Khalkan Likhte Hain Safa No.. 463 Pe Hi...
Imam Yusuf Ko Haroon Rashid Ke Darbar Me Rasukh Ki Ibteda Hui Phir Rafta Rafta Qazi Huye Aur Haroon Rashid Ki Sari Hakumat Me Inhi Ke Hukm Se Qazi Banaye Jate The..
Aur Unhi Se Imam Abu Hanifa R.H Ke Maslak Ko Shohrat Mili....
Usi Safa Pe Aage Likhte Hai N Ke Agar Imam Yusuf Na Hote To Imam Abu Hanifa R.H Ko Koi Nahi Janta.
Ye Tha Hanfi Fiqah Ke Uruj Ki Dastan.
Tawarikh E Kholefa Matbua Misr Safa No 114.
Ba’sanad Ibne Mobarak R.H Naqal Kiya Gaya Hai Ke
“Jab Haroon Rashid Khalifa Huye To Apne Baap Ki Ek Loundi Pe Un Ka Dil Agaya Aur Us Se Apni Khawahish Ka Izhar Kiya . Us Loundi Ne Inkar Kardiya Aur Kaha Ke Mai Tumhare Liye Halal Nahi Hosakti Kiyon Ke Tumhare Baap Ne Mujh Se Khilwat Kiya Hai “
.Lekin Haroon Rashid Ka Ishq Din Badin Badhta Gaya Us Loundi Pe..To Us Ne Imam Yusuf Ko Bulaya Aur Apne Dil Ki Halat Ka Izhar Kiya Aur Puchha Ke Tumhare Pas Koi Tajwij Hai Halal Hone Ki.
To Qazi Sahab Ne Kaha:-“ Kiya Loundi Jo Dawa Karegi Woh Man Liya Jayega..Aap Us Ki Baat Ko Na Maniye Kiyon Ke Woh Jhut Se Mehfuz Nahi Hai”
Ibne Mobarak R.H Kahte Hai Ke
“ Kis Se Taajjub Karoon, Us Badshah Se Jis Ne Apne Baap Ki Hurmat Ka Lihaz Nahi Nahi, Ya Us Qazi Se Jis Ne Izazat De Di “
Aaiye Aur Age Padh Ke Dekhte Hain.
Tawarikh E Kholefa Safa No 114 Me Likha Hai
Salfi Ne Abdullah Bin Yusuf Se Riwayat Ki Hai Ke Haroon Rashid Ne Qazi Abu Yusuf Se Kaha Ke:-“ Maine Ek Loundi Kharidi Hai Aur Mai Chahta Hoon Ke Us Se Abhi Sohbat Karoon.Bina Iddat Guzare. Is Ke Halal Hone Ki Tumhare Pas Koi Heela Hai.”
Qazi Sahab Ne Kaha-“ Haan! Woh Loundi Aap Apne Kisi Ladke Ko Hubba (Gift) Karden .Baad Us Ke Us Se Nikah Kar Len”
Is Fatwa Pe Haroon Rashid Bahut Khush Hua Aur Ek Lakh Darham Inaam Dene Ka Hukm Diya .Qazi Sahab Ne Kaha Ke:-“ Ye Inaam Ka Raqam Abhi Mil Jaye “
.Is Par Kisi Ne Kaha Ke Khachanchi(treasurer) Apne Ghar Chala Gaya Hai, Aur Darwaze Band Ho Gaye Hain.
To Qazi Sahab Farmate Hain
“Jab Ham Bulaye Gaye The Tab Bhi Darwaze Band The Aakhir Khole Gaye "
Yani Subah Tak Intezar Bhi Gawara Nahi Tha.
#RizwanShaikh
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi