Bismillahirrahmanirraheem
MASTER AMEEN SAFDAR
OKARWI (DB) KA TAQ’QUB: (PART-1)
ALLAMA ZUBAIR ALI ZAI
(RH) KI KALAM SE….
Master Muhammad Amen Safdar (Okarwi) Hayati
Deobandion Ke Munaazir Aur “Majmua Rasail” Ke Musannif Ki Haisiyat Se Shohrat
Rakhte Hain, Mere Ek Dost Sheikh Taliburrahman Ka Unse Kohaat (Soobah Sarhad)
Me Munaazirah Hua Tha, Jiske Nateeje Me Munaazirah Karaane Waala Deobandi
Sultaan Naami Shakhs Ahle Hadith Ho Gaya Tha, Alhamdulillah,
Sindh Waale Munaazire
Ki Tafseel Aage Aa Rahi Hai (Inshaallah), Maine Waqt Nikaal Kar Okarwi Sahab Ki
Ke” Majmua Rasail” Aur “Tajalliyat E Safdar” Naami Kitaab Ka Mutaala Kiya,
GUSTAAKH E RASOOL:
Ek Sahih Hadith Me
Aaya Hai Ke
“Agar (Kaala) Kutta
Saamne Se Ghuzar Jaaye Toh Namaz Toot Jaati Hai”
(Sahih Muslim 1/197,
Hadith No. 510)
Is Hadith Ka Mazaaq
Udaate Hue Okarwi Likhta Hai:
“Lekin Aap Namaz
Padhaate Rahen Aur Kutiya Saamne Khelti Rahi, Aur Saath Gadhi Bhi Thi, Dono Ki
Sharm’gaahon Par Nazar Bhi Padti Rahi”
(Ghair Muqallideen Ki
Ghair Mustanad Namaz Pg 43, Majmua Rasail 3/350, Hawala No. 198)
Rasoollullah Sallalaho
Alaihi Wasallam Ka Namaz Ki Kisi Haalat Me , Kutiya Aur Gadhi Ki Sharm’gaahon
Par Nazar Daalna Kisi Hadith Se Saabit Nahin Hai, Balke Ye Aap Sallalaho Alaihi
Wasallam Ki Zaat E Aqdas Par (Okarwi Ka) Bahut Bada Afta’a Hai,
Jab Ek Aam Aadmi Ka Khyaal Us Taraf Nahin Jaata Toh Yeh
Kis Tarah Zurraat Ki Ja Sakti Hai Ke, Maaz’allah Khair Ul Basher, Khtaim Ul
Nabiyyeen Rahmat Ul Aalameen Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam In Jaanwaron Ki
Sharm’gaahon Par Nazar Daalte They Ya Aapki Nazar Pad Jaati Thi….. Maaz’allah
Astaghfirullah
OKARWI HAYATI KA
KAZZAB AUR AFTA’A:
Okarwi Sahab Likhte
Hain
Rasoollullah Sallalaho
Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Khutba Ke Be’ghair
Juma Nahin Hota”
(Salaturrasool Par Ek
Nazar Page 17, Majmua Rasail 2/169)
Halaanke In Alfaaz Ke
Saath Se Hadith Marfoo Kisi Kitaab Me
Bhi Nahin Hai
Is Hadith Ko Gadhne
Me Okarwi Muthim Hai,
Hafiz Abdullah Ropdi
(Rh) Ne Sunan Dar E Qutni, Mustarak Al Hakim Aur Sunan Kubra Lil Bayhaeqi Se
Janab Hz Abu Hurairah (Ra) Ki Ek Hadith
“Aameen Bil Jahar ” Ke Bare Me Naqal Ki
Hai,
Dekhiye “ Ahle Hadith
Ke Imteyaazi Masail Page No 73” … Rafulyadain Aur Aameen (Page 21),
Hafiz Sahab Farmaate
Hain Ke Daar E Kutni Ne Kaha Hai:-“Iski Sanad Acchi Hai, Ise Hakim Ne Bukhari
Wa Muslim Ki Shart Par Sahih Kaha Hai, Aur Bayheqi Ne Hasan Kaha Hai”
Munaazir E Deobandi
Is Par Tabsirah Karte Hue Likhta Hai:
“Halaanke In Teen
Kitaabon Me Ye Hadith Hai, Na Hi Un Teen Logon Ne Isko Ahih Kaha Hai”
(Ghair Muqallideen Ki
Ghair Mustanad Namaz Page 27, Majmua Rasail 3/335, Zel No. 100)
Is Par Okarwi Sahab
Ne “Ghair Muqallideen Ka Ajeeb Fraud” Ka Unwaan Baandha Hai, Halaanke Hadith In
Teeno Kitaabon Me Maujood Hai
1- Sunan Dar E Qutni Mai Al Taleeq Al Mughni
(1/335 Hadith No.7, Matbua Dar Ul Nashar Al Kutub Islamiya, Lahore Pakistan)
Sunan Dare Kutni
1/329 Hadith No. 1259, Matbua Abbas Ahmad Al Baaz, Makkah Tul Mukarrama,
Imam Dar E Kutni Ne
Is Hadith Ko Hasan Kaha Hai,
2- Mustadrak Al Hakim 1/223 Matbua Daar Ul
Kutub Al Arabi Berut Lebanon
3- Sunan Kubra Lil Bayheqi 2/58 Matbua Dar Ul
Muarfatul Berut Lebanon,
Imam Bayheqi Ne Isko
Hasan Kaha Hai,
Ye Hadith Sahih Ibn
Habban Me Bhi Maujood Hai ( Mawarid Ul Zaman 2/176-177, Hadith No 462)
Is Kitab Ke Arab Muhaqqiqqeen
Ne Is Hadith Ke Haashiya Par Likha Hai
“Isnaad Hasan”
Ye Riwayat Sahih Ibn
Khazaima Me Bhi Maujood Hai
Ise Imam Ibn Qayyim
Ne Bhi Sahih Kaha (Alaam Ul Moqeen 2/397)
Bhaiyyon !
Okarwi Sahab Se
Poochen Ke Kya Unke Paas Surma Nahin Hai ?? Unhe Chahiye Ke Aankhon Me Surma
Bhi Daalen Aur Maahir Aankhon Ke Doctor
Ke Bhi Paas Jaayen Take Unhe Ye Hadith Nazar Aa Sake, Chori Bhi Kar Rahen Hain
Aur Is Par Sina’jori Bhi Kar Rahen Hain,
OKARWI HAYATI KE
TANAQI’ZAAT:
EK Ja’ali Mauzu
Manaazire Ka Tazkirah Karte Hue Okarwi Sahab Ne Likha:
“Maine Kaha Sirre Se
Ye Hi Saabit Nahin Ke Hz Ata Bin Rabah Ki Mulaqaat 200 Sahaba Se Hui Ho, Aur Ye
Toh Bilkul Hi Ghalat Hai Ke Ibn Zubair (Ra) Ke Waqt Tak Kisi Ek Shaher Me 200
Sahaba Maujood Hon”
(Tahqeeq Masla Aameen
Pg 44, Majmua Rasail 1/156)
Yahan Masla Aameen
Bil Jahar Ka Tha Lihaaza Hz Ata Bin Rabah (Rh) Ki Ziyaarat E Sahaba Par Jirrah
Kar Di, Jab Is Kitab Me Faatiha Fil Janaaza Ka Masla Aaya Toh Okarwi Sahab Ka
Qalam Likhne Laga Ke
“Makkah Muqarrama Bhi
Islam Aur Musalmano Ka Markaz Hai, Hazrat Ata Bin Rabah Yahan Ke Mufti Hain,
200 Sahaba Se Mulaaqaat Ka Sharf Haasil Hai”
(Namaz E Janaza Me
Surah Fatiha Ki Sharai Haisiyat Page 9, Majmua Rasail 1/265)
Ek Jagah Mulaaqaat Ka
Inkaar Kar Rahen Hain, Dusri Jagah Mulaaqaat Kara Rahen Hain….. Subhaan’allah
Waadi E Taanaqiz Me
Manaazir E Deobandiyat Ka Kitna Bada Maqaam Hai… !
2- Ek Riwayat Par
Okarwi Sahab Jirrah Karte Hue Likhte Hain
“Aur Umm Yahya
Majhool Hain”
(Namaz Me Haath Naaf
Ke Neeche Baandhna Page 10,Majmua Rasail 1/346)
Jabki Isi Umme Yahya
Ki Riwaayat Se Dusri Jagah Par Istadlal Karte Hain
(Mard Aur Aurat Ki
Namaz Me Farq Page 35, Majmua Rasail 1/322, Ba’hawala Kanzul Ummal 7/307),
Hamare Nuskhe Me Ye
Riwayat Kanzul Ummal 7/431 Hadith No 19640, Par Ba’hawala Tibraani Maujood
Hai,,
Al Muazzam Ul Kabeer
Lil Tibrani Me (22/19) Aur Majmua Ul Zawaid (2/103) Me Ye Riwayat Maujood Hai,
In Kitaabon Me “Taj’al ” Ka Lafz Hai Jise Okarwi Taksaal Me “Tar’faa” Bana Diya
Gaya Hai, Aur Iska Tarjuma Bhi “Uthaaye” Likha Hai,
4- Okarwi
Sahab Ne Apni Marzi Ke Khilaaf Ek Hadith Ki Sanad Ke Raawi Muhammad Abi Layla
Ko “Zaeef” Likha Hai,
(Salaturrasool Par Ek
Nazar Page 12, Majmua Rasail 2/164, Zel No. 39)
NOTE:
Yaad Rahe Kaatib Ki
Ghalti Se “Muhammad Bin Abi Layla” Chhap Gaya Hai Halaanke (Sunan) Ibn Majah Me
Ibn Abi Layla Hi Hai
Iske Bar’khilaaf
(Dusre Maqaam Par) Apni Marzi Ki (Ek) Hadith Pesh Ki Hai Jisme Yahi Ibn Layla
Hai,
(Tahqeeq Mahla
Rafulyadain Page6-7, Majmua Rasail
1/182-183)
Asal Maqsad Apne Firqe
Deobandiyat Ki Himaayat Hai Aur Bas!
To Be Continued..
#ShaikhZubairAliZai
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi