Monday, October 15, 2012

FALSAFA-E-HAJJ












Bismillahirrahmanirraheem



FALSAFA-E-HAJJ



hajj islam ka 5wi ruqn hai,


irshad rabbani hai,

" aur logon me hajj ka elaan kar do, log tumhare paas paidal bhi aayenge aur dubli oontniyon par bhi door daraaz raaston se pahunchi hongi "

(surah hajj 27)


hajj apne saare arkaan wa aamaal aur manasik wa ibaadat ke saath itaa'at mahaz, be'chun chana huqm baja laane aur har mutaalbah ke aage sar jhukaane ka naam hai,

haji kabhi makkah me nazar aata hai, kabhi mina me, kabhi arafat me, kabhi muzdalifa me, kabhi thaharta hai, kabhi safar karta hai, kabhi gaadhta hai, kabhi ukhaadta hai,

wah huqm ka paband aur chasm wa aabru ka paband hai, uska khud na koi iraada hota hai, na faisla, na intekhab ki aazadi,

wah mina me saans bhi nahi lene paata ke usko araafaa jaane ka huqm milta hai, lekin muzdalifa me rukne ki ijaarat nahi hoti,

arafaat pahunch kar wah din bhar dua wa ibadat me mashgool rahta hai, ghuroob e  Aaftab ke baad usko taqaaza hota hai ke  zara susta le aur raat ko yahin rah jaaye, lekin uske bajaaye usko muzdalifah jaane ka huqm milta hai, wah zindagi bhar namaz ka paband raha tha, lekin arfah me usko huqm hota hai ke maghrib ki namaz tark kar de, isliye ke wah allah ka bandah hai, namaz ya apni aadat ka paband nahi,

wah ye namaz muzdalfah pahunchne ke baad isha ke saath milaakar padhta hai, muzdalfa me uska khoob ji lagta hai, aur sochta hai ke yahan jee bhar kar thahre, magar is baat ki ijaazat bhi usko nahi milti aur usko mina ki taraf rukh karne ka huqm hota hai,


HAJJ KA MAQSAD:


Hajj ke maqsad kya hain ??

Iske mutaalik hakeem ul ummat hz shah wali ullah dehlawi (rh) likhte hain ke
" hajj ki haqeeqat ye hai ke saaliheen ki ek badi jamaat ek khaas zamaana me jama ho aur unlogon ka haal yaad kare ,jinpar allah taala ka inaam huwa, maslan ambiya, sadiqeen, shohada, saaliheen aur us jagah Jama hon, jahan allah taala ki nishaaniyan maujood hain aur jahan aimma e deen aur saaliheen ,ummat allah ki taazeem me gidgidaate hue, rote hue, khair wa bakhsish ke taalib aur kaffara ke ummeedwaar ban kar aate hain, isliye ke jab ummatein is kaifiyat ke saath jama hoti hain toh rahmat wa maghfirat ke nazool me takhalluf nahi hota, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshad hai ke:- shaitaan is qadr ranjeeda, zaleel wa khwaar aur ghussa se jala hua kisi din nahin hota jitna arfa ke din "

(hujjatul baligha jild 1 page 59)

hajj ka ek bada buniyadi maqsad ye hai ke hz ibraheem (as) se tajdeed mu'allaq kiya jaaye, unki meeraas ki hifazat ki jaaye, unki zindagi apne saamne rakhkar apni zindagi ka mu'aina kiya jaaye, musalmano ki haalat ka jayeza liya jaaye, aur unki zindagi me jo ghaltiyan fasaad aur tahreef nazar aaye us ko door kiya jaaye, aur uske asal shar'chasma ki taraf ruju kiya jaaye,,

isliye ke hajj ek qism ka saalaana ijtema hai, jiske zariye musalman apne aamal aur apni zindagi ka hisaab wa tajurbah kar sakte hain, aur un qaumo aur societies ke asraat se chhutkaara pa sakte hain jinke beech me wah rahte hain,

hakeem ul ummat shah waliullah dehlawi likhte hain ke:-" hajj ke maqasid me us meeraas ki hifazat bhi hai jo sayyedena hz ibraheem (as) aur hz ismael (as) ne hamare liye chhodi hai, isliye ke ye dono millat e haneefi ke imam aur arab me uske hamnawa aur baani kahe ja sakte hain, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki baisat bhi isliye hui thi ke millat e haneefi aap ke zariye duniya me ghaalib aaye aur uska parcham buland ho "

allah taala ka irshad hai

" millat hai tumhare baap ibraaheem ki "

(surah hajj 78)

isliye ye zaruri hai ke is millat ke imam se jo cheezein hamko darpe me mili hain, maslan  khasail fitrat aur manasik uski ham hifazat karen, aur
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshaad hai:-" apne masha'er ( maqamat e hajj) par thahro, isliye ke tum apne baap ki ek aur waraasat ke waaris ho "

hajj millat ka ek saalana ijtema ya dusre alfaz me  period hai, jiska millat e islami ki sachhai wa pakizgi aur uski asli aur haqeeqi buniyadon ki hifaazat me bada aham hissa hai


is par shah wali ullah farmate hai ke

" ( hajj ke ) maqasid me wah baat bhi hai jiske liye hukumatein numaish ya sarkari jashn kiya karti hain, jisko dekhne ke liye qareeb wa door har jagah ke aadmi jama hote hain, ek dusre se milte hain, apni hukumat aur apni millat ki taalimaat se aashna hote hain, aur uski muqaddas maqaamaat ki taazeem baja laate hain, isi tarah hajj musalmano ki numaish ya sarkaari  jashn hai jinme unki shauqat zaahir hoti hai, unki qaumein jama hoti hai, unki millat ka naam roshan hota hai "


Allah taala ka irshad hai

"(yaad karo) jab Hamne khaana kaaba ko logon ke liyn ek maqam e ruju aur maqaam e aman muqarrar kiya "

(surah baqarah 125)


HAJJ ISLAMI QAUMIYAT KA MUZAHERA HAI:


hajj, un watni, nasli, insaani, aur ilaaqaai qaumiyaton ke khilaf islami qaumiyat ki jeet hai, jinke bahut se islami mumalik mukhtalif awaamil aur dabaao ke maat'hat shikaar hain, wah islami qaumiyat ka muzahera aur elaan hai,

yahan pahunch kar tamam islami qaumein apne qaumi wa mulki libaason se aazaad hokar jo unki pahchaan ban gaye they, aur jinse bahut si qaumein taassub ki hadd tak wa'basta hain,

islam ka ek qaumi libas akhtiyaar kar leti hain, jinko deen wa fiqah aur hajj wa umrah ki istalaah me AHRAAM kaha jaata hai,

sab aajizi, wa ahtiyaazi wa lachaari ke saath ek zabaan me ek taraana aur ek hi naara lagaate hain


" labbaik allahumma labbaik, la shareeka laka labbaik, innal hamida wan niyamata wala mulk la shareeka laka "

trans: aiy mere allah  Main haazir hon, tera koi shareek nahi, main haazir hoon, saari taareefein aur nematein tere hi liye zeba hain aur hukumat wa imaarat me bhi, tera koi shareek nahin "


unme hakim wa muhkam, aaqa wa naukar, ameer wa faqeer, chhote bade ki koi taareef nahin hoti,

unke libaas aur sada donon me islami qaumiyat jalwa'ghar nazar aati hai, yahi haal hajj ke dusre aamaal, ibadaat, manasik,  aur maqamaat ka hai, jahan har qaum wa mulk ke log dosh ba'dosh nazar aate hain , aur arab wa azam ke saare farq mit jaate hain,


HAJJ KI HIKMATEIN:


Hajj un logon par farz kiya gaya hai jo wahan pahunchne ki iste'taat rakhta ho aur hajj ke baare me allah taala ka irshad hai,

" hajj ke chand mutayyin maheene hain, jo shakhs un muqarrar mahino me hajj ki niyat kare use khabar daar rahna chahiye ke hajj ke dauraan unse koh shahwaani fael, koi bad'amli, koi ladaayi jhagde ki baat sar'zad na ho "

(surah baqarah 197)

Hajj ek bain al islami conference hai jisme musalman ek dusre se muta'aarif hote hain, aur ek dusre ke dukh dard se waaqif hote hain, aur " kul momin akhwah " ka sahih namuna pesh karte hain, aur sabse badh kar hajj islami ittehaad ka mazhar hai, aur aalim e islam ke liye mujtahida program ki tashkeel ka bahtareen mauqa hai,


ARKAAN E ARBA KA KHULAASA:


Islam ke arkaan arba yani namaz, zakaat, roza aur hajj ka mushtarka maqsad ye hai ke hamaqe akhlaaq durust hon nasoos pak wa saaf hon, aur ek aisa sahih mua'shera wajood me aaye jisme har taraf bhalaai hi bhalaai ho, buraai bilkul na ho,

aapsi muhabbat, akhwat, hamdardi, bahami ta'aawun, aur adab wa ehteraam ki fiza qayem ho, agar ye ibaadatein hamare andar ye akhlaaq aur khoobiyan na paida kar saken toh phir samjh lijiye ke usme khaami hai, aur qayamat ke din ye sab ibaadatein hamare kaam na aayengi, aur hamare liye wabaal e jaan saabit hongi

Jaisa ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshad hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" tum log jaante ho ke muflis kaun hai ?, aapke sahaba ne jawab diya ke ham mese muflis wah shakhs hai jiske maal aur mata'a na ho,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" meri ummat me muflis wah shakhs hai jo qayamat ke din, namaz, roza, aur zakaat lekar aayega, lekin uski haalat ye hogi ke usne duniya me kisi ko gaali di hogi, kisi par tohmat lagaayi hogi, kisi ka maal hadap kiya hoga, kisi ka khoon kiya hoga, ya kisi ko maara peeta hoga, toh kisi ko uski kuch neki di jaayegi, agar us par waajib haqooq ki adayegi se pahle uski nekiyan khatm ho gayin toh un logon ke gunaah us shakhs par daal diye jaayenge , phir use jahannum me phenk diya jaayega "

(muslim jild 3 pg 220)

is hadith se islami ibaadaat ki hiqmat aur falsafa saamne aa gaya hai, aur isHadith e mubarak ko madde'nazar rakhte hue, har insaan ye dekh sakta hai ke ,

kiya hamen in ibaadaton se faayede haasil ho rahd hain ??


Allah taala ham sabko haq baat kahne aur sunne ki taufeeq de....... Ameen

(maulana obaidurrasheed iraaqi shaheed- pakistan )