Bismillahirrahmanirraheem
NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KI HADITH SHAREEF KA EHTERAAM (RESPECT)
Hz ma'an bin isa (rh ) kahte hain hz malik bin anas (rh) jab hadith e rasool bayaan karne ka iraada farmate toh pahle ghusl karte phir ood ki dhuni lete, khusbu lagaate aur agar koi hz malik bin anas (rh) ke paas us dauraan unchi aawaz se baat karta toh farmate:-" apni aawaaz dheemi kar !
Allah taala irshad farmate hain:-" aiy logon , jo iman laaye ho ! Apne aawaazein nabi ke aawaz se unchi na karo "
(surah hujrat 2)
toh jisne hadith e rasool sunte hue unchi aawaaz se koi baat ki usne maano nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki awaaz se apni aawaz unchi ki "
(ibne jawzi, seyar aalamun'nabla 9/154)
hz ibne abu uwais (rh) kahte hain ki imam malik (rh) raaste me khade khade ya jaldi me hadith bayaan karna bura samjhte they aur farmate they ki:-" main chahta hun ki Jo kuch nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se bayaan karun use acchi tarah samjha jaaye "
(ibn jawzi, seyar aalamun'nabla 9/201)
hz abdurrahman bin mahdi (rh) jab hadith e rasool padhte toh logon ko puri tarah khamosh rahne ka huqm dete, koi kisi se baat na karta, qalam taraashta na muskuraata aur na hi koi khada nazar aata,
log is tarah dhyan se hadith sunte jaise unke saron par parinde baithe hain ya we namaz padh rahe hain, aur agar kisi shakhs ko abdurrahman mahdi baat karte ya muskuraate dekh lete toh (naraaz hokar ) apna joota pahante aur wahan se chale jaate "
(ibn jawzi seyar aalamun'nabla 7/460)
hz abu salma khizaai (rh ) kahte hain ki:-" hz malik bin anas (rh) jab dars e hadith ke liye ghar se nikalte toh namaz ki tarah wuzu farmate, bahtareen kapde pahante, sar par amaama baandhte, apni daadhi me kanghi farmate"
is baat ke baare me jab unse poocha gaya toh farmaya:-"Isse matlab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hadithon ka adab wa ehteraam hai"
(sharah shifa, jame bayanul ilm wa fazla 2/350)
hz abu zinaad (rh) kahte hain hz sayeed bin musayyab (rh) bimaari ki haalat me hadith bayaan karna chahte toh farmate:-" mujhe uthaakar bith do, mujhe yah baat shakht naagwaar guzarti hai ki main leitkar hadith e rasool bayaan karun "
(jame ul bayan 2/350)
hz malik bin anas (rh) ka hz abu hazim (rh) par guzar hua wah dars de rahe they, lekin hz malik (rh) (hadith sun bina) aage nikal gaye aur farmaya:-" mujhe baithne ki jagah nahi mili aur main khade hokar hadith e rasool sunna pasand nahi karta "
( jame ul bayan 2/53 )
hz ishaq (rh) kahte hain:-" maine hz aamash (rh) ko dekha ki jab wah hadith bayan karna chahte aur wuzu na hota toh tayammum kar lete "
(sharah shifa 2/72, hawala kitab huququn nabi )
hz urwa bin zubair (ra) ne kisi masle par hz Abdullah bin abbas (ra) se kaha ki:-" hz abu bakr (ra) aur hz umar (ra) toh aisa karte they"
hz abdullah bin abbas (ra) ne ( urwa bin zubair se) kaha:-" khuda ki qasam ! Mujhe lagta hai tum us waqt tak baaz nahi aaoge jab tak tumhe allah azaab na de daale, ham tumhare saamne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hadith bayaan karte hain aur tum abu bakr (ra) aur umar (ra) ki baat karte ho "
( jaame ul bayanul ilm 2/1209-1210, hawala kitab huququn nabi page 129)
THE END...