Wednesday, October 31, 2012

EIDI CARDS AUR BHOOK KI AWAAM













Bismillahirrahmanirraheem



EIDI CARDS AUR BHOOK KI AWAAM: ( DR. Abu hayaat Ashraf)



Jab main paida hua toh Usmani sultanate (ottoman empire) khatm ho chuki thi,

dusri jung azeem ( 2nd world war) jaari thi, yahudi saazish kaamyaab hogayi thi, pelestine haath se ja raha tha, aur Israel ka qayam na'ghazeer tha,

jaise taise bachpan guzra ke watan me akaal (drought) pada tha,

Americans aur Australians log hamdardi dikhaate aur khushk dhoodh ( dry milk ) wa gehun bhejte they, wah Charity me bheek dete aur Insaaniyat ka naam lete they,

kuch Arabon ko bhi Raham aaya aur hamari masoomiyat par rona aaya, Iraq ne Khajoor bheja aur Saudi shah ne Chawal (rice) bheja, ye silsila maheeno chala,

Ration se khajoor takseem hoti thi aur boriyon par likha hota tha,

" Iraaqi awaam ki taraf se Hindustani awaam ke liye--- Muhabbat wa Khulus ke saath "

ham log line lagaate aur ration ka khajoor paate, yani



" Iraaqi awaam ki taraf se Hindustani awaam ke liye--- Muhabbat wa Khulus ke saath "


line todne par Daant padti aur naazuk badan par dande khaate, kyonke ham line me faryadi hote, aur khajoor paakar raahat mahsus karte they, un khajooron ka maza aaj bhi yaad hai, kyonke wah muft milte they, bhookh ke waqt bat'te they, aur nek niyati se diye jaate they,

Toh janab ! Main america ka dhoodh pee kar pala badha, Australia Ka gehun kha kar jawab hua aur Iraaqi Khajoor kha kar samjhdar hua,

main rasmi baaton se katraata hun aur Eidi cards se bhaagta hun,

Naye saal ki mubarakbaad se parhez karta hun, aur Birth'day party se alag rahta hun,

lekin aalam peeri ka mijaaz alag hota hai, taaqat jawab de jaati hai, Sabr ka maadah kam ho jaata hai, Yaadein chutkiyan leti hain aur neki ka jazbah badh jaata hai,

Is baar mujhe dhoom dhaam se eid manaane ka shauq hua, eidi cards bhejne aur khushiyan manaane ka Khayaal aaya, mujhe sirf do eidi card khareedne they, ek Iraaqi Awaam ke liye aur Dusra Khadim ul haramain ke liye.......

Iske liye mahino se pai pai joda........


YAHUDI SAAJISH AUR IRAQI AWAAM:


Yahudi ek saajishi qaum hai, ayyari aur jhoot ke liye mashoor hai, yahudi mufaad ke liye daulat baat'ti hai aur zaati gharz ke liye Husn Lutaati hai, apni nasl ko aata bataati hai, aur Yahudi zihaanat ka sikka chalaati hai, hazaaron baras duniya me bhatki ab pelestine par jabar'dasti qaabiz hai,

1874 CE me pelestine ke baaz ilaaqe khareedne ki dar'khwaast ki, Usmani hukumat ne mana kar diya,

1882 CE me pelestine hijrat karne ki ijaazat maangi , jo shakhti se radd kar diya gaya,

1888 CE me usmani hukumat ne qawaneen jaari kiye  taake yahudion ka daakhila na'mumkin rahe,

Sultan abdul hameed, yahudion ke shakht mukhaalif they, unhen pelestine se door rakhna chahte they, apni diary me likhte hain


" ham qudus ko kyon chhoden, ye har daur aur har zamana me hamara mulk raha hai, mustaqbal me bhi hamara rahega, ye hamare muqaddas shahron mese ek hai, aur aalam e islam me waaqe hai, lihaaza zaroori hai ke qudus par hamesha hamara qabza ho"

(pelestine Sazishon ke narge me page 183 )


Yahudi saazishon ne 1909 CE me sultan abdul hameed ko raaste se hata diya, baad ke usmani hukmaran, yahudion ke haathon khilona ban gaye,

2nd world war, yahudi saazish ka nateeja thi, taake pelestine par unka qabza ho aur yahudi mulk ka qayam mumkin ho,

15 may 1948 me Pelestini saahilon par unka qabza hogaya, muslim duniya ikhtelaafaat ka shikaar rahi aur britain ki husn niyat par eitemaat karti rahi,

pelestini jung e azaadi ke liye kood pade, 1948 CE ki sarkari jung, 1967 ki 6 rozah jung aur 1973 ki arab- israel jung, isi ka hissa thi,

baad ke waqeyaat wa haadsaat yahudi saajish ka nateeja ban gaye, jaise Kemp dude Treaty 1979 , iran - iraq ki jung 1980, lebanon ki tabaahi 1982,

Iraq ki Kuwait par chadhaayi 1990CE, Oslo treaty, Iraq ke khilaaf ameriki jung wa naake'bandi 1991, madrid conference 1993, etc...... Ye saare muwahede wa haadsaat taareekhi almiye hain aur yahudi saajishon ka nateeja thin, aur hain jinhe maghribi mumalik ne hawa di aur aalam e islam ne mahsoos nahin kiya..,


EIDI CARDS AUR BHOOK KI AWAAM:


Is saal eid wa naye saal ke mauqe par mujhe Iraaqi bachon ki yaad aayi jinke hont dhoodh ke liye taras gaye hain, majboor aurton ka khyaal aaya jo bhook se nidhaal ho chuki hain, pareshaan maayen yaad aayin jin ke dhoodh khusk ho chuke hain,
wah ladkiyan yaad aayin jinki jawaaniyan dhatoore ka phool ban gayi hain, dajla ke machhu'are yaad aaye jo dariyai Khuraak par zinda hain, Furaat ke mallah yaad aaye jo bheekh maangne par majboor hain,

woh bache yaad aaye jo Israeli aur  ameriki jahazon ke Giraaye hue bamo se maare gaye, aur wah bache bhi yaad aaye jo Ameriki jahaazon par gulel chalaate hain,

Mujhe yaad aaya ki  Iraqi Awaam be'kasoor hain, wahan ki aurtein Mazloom Hain, wah masoom bache yahudi saajish ka shikaar hain,

Maine ahad kar liya ke is baar Iraqi Awaam ko mubarak'baad bhejunga, bachpan me unka khajoor khaaya hai, Ehsaan ka badla eidi cards Se chukaaunga,

Eid ka mauqa tha, mujhe khadim ul haramain bhi yaad aaye, unki sakhaawat aur khidmaat ka dhyaan aaya,

Qur'an kareem ki muft taqseem qaabil e tareef hai, mujhe unki azeem neki ka aitraaf hai,

Iraada kiya ke unhen bhi Eidi Card Bhejunga aur Shahi register me naam darj karaaun, shah faisal Award Ke liye ummeed'war banu, kya pata ke inaam ka qur'a mere naam hi nikal aaye, aur eidi card iska zariya ban jaaye,


Chunanche main Urdu bazaar pahuncha, Eidi Cards ki dukaanein saji dhaji thin, har rang, size, aur design ke cards acche  Lag rahe they, wahan hare (green) aur laal (red) huruf waale eid mubarak ke cards they,

sunehri taba'at waale eid mubarak ke cards they,

doston ke liye cards alag they, muhabbat karne walon ke liye alag they,

pardes rahne walon ke liye alag they, waalidain ke liye alag aur bhai bahno ke cards alag they,

baaz cards par urdu ash'har they, baaz par Angrezi ash'haar they, baaz par Chand taare bane hue they, aur baaz par khajoor ka darakht chhapa hua tha,

baaz cards par Qur'an shareef ki tasweer thi, baaz cards par Surah likhi hui thi, kuch cards par Dil bana hua tha, baaz cards par khaana e kaaba ki tasweer bani hui thi,

kuch cards par masjid e nabwi ki tasweer thi, kuch cards par masjid e aqsa bani hui thi, aur baaz par tajmahal chhapa hua tha,

cards ki keematein bhi alag alag thi 5 rupaiy se lekar 125 tak,

Dukaandaar Cards Dikhaata Raha Aur Main Apni Zeb Tatolta raha....


Achaanak Zameer ne awaazDi,


1- Kiya tumhara Eidi card Iraqi awaam ki bhookh mita dega ?? Unhen Eidi card ki nahin, Ration aur Dhoodh ki zarurat hai,

2- Kya tumhara Eidi card Khadim ul haramain ki azmat me 4 chand laga dega ?? Aur na bhejne ki soorat me unki sakhaawat me kami aayegi ??

Unhe Eidi cards ki nahin , tumhari duaon ki Zarurat hai,


Meri aankhon me aansu aagaye, main musalmano ki azmat ki tamanna karta, yahudi saajish se bachne ki dua karta, aur Eidi card ka ek Ash'haar Gungunaata hua aage badh gaya,


" Sar'bulandi kar ata Islam ko,

Bas yahi maula hamari Eid hai "



( Dr. Abul Hayat Ashraf )