Monday, October 15, 2012

BAIT-ULLAH AUR USKE HUDOOD-- IZZAT WA EHTERAAM:







Bismillahirrahmanirraheem



BAIT-ULLAH AUR USKE HUDOOD-- IZZAT WA EHTERAAM:



Allah taala ne farmaya

" jo log kaafir hain aur allah ke rashta aur masjid haraam se rokte hain, jise ham ne tamam logon ke liye banaya hai, ke usme sab baraabar hai, usme rahne wala bhi, jo bhi us (masjid ) me raaste se hat kar zulm ka tareeqa ahktiyar karega, ham use dardnaak azaab denge "

(surah hajj 25)


surah hajj ke shuru se is maqaam tak haq aur baatil ke jung aur operation ka zikr chala aa raha tha, aur har fareeq ka jo anjaam hone waala hai uska bayaan bhi ho chuka hai,

ab in aayat me kuffar makka ka zikr hai, aise log jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)  ki daawat ko maanne se inkaar kar chuke hain aur ab bhi usi rosh par qaayem hain,

yani khud bhi maazi wa haal me kufr hi ka raasta akhtiyaar kiye hue hai, aur allah ke raaste se dusron ko rok rahe hain aur maazi qareeb wa baeed me bhi unka amal yahi Raha, hai

zidd aur anaad qubool e haq ki raah me shakht rukaawat saabit hota hai, aur uski mukhtalif sooratein hain,

log itminaan se zindagi basar kar rahe hote hain ke ek ghalat aadmi is tarah zidd wa anaad akhtiyaar karta hai ke logon me tafreek kara dena aur zameen me fasaad barpa ho jaata hai, party baazi ho jaati hai,

aman pasand aadmion ki aksariyat hoti hai, lekin wah sharaarat pasandon ke khauff se khamosh ho jaate hain,

imam ahmad bin hambal (rh) se ek shakhs ne sawal kiya tha ke:-" aap jin logon ko bid'ati kahte hain unke saath bhi log hain aur aapke saath bhi hain, ab kis tarah bata chale ke qaun haq par hai ??"

imam ahmad bin hambal ne jawab diya tha ke:-" janazah ke din unka aur hamara farq zaahir ho jaayega,"

imam ahmad bin hambal (rh) ki wafaat ke baad unke janazah me laakhon musalman shareek hue aur janazah se mutaasir ho kar kai hazaar yahudi musalmaan ho gaye they,

imam ahmad bin Hambal (rh) ke mukhalif bhi faut hue lekin khabar bhi na hui,

kuffar e makka ek toh khud kaafir they, dusre allah e raaste (islam) se logon ko rokte aur bargalaane ke liye har tareeqe aur harbah un logon ne istemaal kiya,

abu jahal aur abu lahab ne jis tarah mukhaalifat ki, usi tarah ulema e yahud ne bhi elaaniya mukhalifat ki aur allah ki raah se logon ko rokte rahe aur musalmano ko imaan se barghuzitah karne ki koshish karte rahe, baitul haraam ko musalmano ke liye band kar diya, koi musalman wahan jaakar namaz nahin padh sakta tha, logon ko kisi tarah se rokte aur islam ke qareeb na jaane dete they,

iska andaaza karne ke liye aap hz abu zar gifaari (ra) ke us waaqeye par ghaur karen

hz abu zar gifari (ra) makka se door ek gaao (village) me rahte they aur bakriyan charaate they, islam ki dawat unke kaan me padhi, tahqeeq haal ke liye unhone apne bhai ko makka rawaana kiya usne sare raah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se mulaaqaat ki lekin ye mulaaqaat mukhtasar thi, ma'haul is qadr kharaab tha ke wah khulkar baat na kar sake, aur chand baatein sunkar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se ek taraf hogaye ke makke waale na dekhlen, unhone waapsi par hz abu zar gifari (ra) ko mulaaqaat ke waqt bataya lekin koi waazeh baat na bata sake, kaha wah aadmi (nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ) dekhne me na shayer hai na saahir, uske kalaam me asar hai, jaadugaron se ooper ke darja ka aadmi hai,

lekin isse hz abu zar gifari (ra) ki tasalli na hui, bakriyan bhai ke hawaale kar ke khud makka ka rukh kiya, makka me phirte rahe aur haram me kaafi dino qayaam kiya, lekin koi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka pata (adderess) tak na batata tha,

ek roz unhone dekha ki chand log nayi tarah se namaz padh rahe hain, magar khauff wa heraas is qadr taari tha ke Unse pooch na sake,

is dauran me hz ali (ra) ko bhi namaz padhte dekha toh unse daawa e nubuwwat karne waale ke mutaallik daryaaft kiya,

is tarah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki majlis me pahunche aur mulaaqaat ke baad musalman hue aur makka waalon se is qadr maar khaaye ke saari umar yaad rahi,

is tarah ye log allah ke raaste ki taraf logon ko aane se rokte rahe,


MASJID UL HARAM:


Aimma e tafseer ne iske matlab me ikhtelaaf kiya hai ke " masjid haram " se muraad baitullah ki chaar'diwaari muraad hai,

baaz ne kaha hai ke isse muraad makka shaher ki aabaadi ki hudood hai, baaz ne kaha hai ke isse muraad haram ki had hai,


masjid haraam se rokna ye hai ki zehan me is masjid ki izzat aur waqaar na ho, makka ke andar ladhna mana  hai, kisi ki be'izzati karna mana hai,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se sawaal kiya gaya ke masjid ki hadh kya hai ??
Jawab me farmaya:-" Ke masjid ki hadh jis qadr ziyadah ho wah masjid me hi shumar hogi, jitni bhi toseei(expansion) hoti rahe wah masjid hi shumar hogi "


saari duniya ke musalmano ke huqooq baitullah me masaawi hain, aisa nahin hai ke maqaami aabaadi ke huqooq zyada hon aur baahir se aane waalon ka darja kam ho,

din aur raat ke kisi hisse me har aadmi namaz wa tawaaf ke liye aazaad hai, koi pabandi aaid nahin ki ja sakti,

kiya makka shaher me bhi maqami aur baaher se aane walon ke huqooq yaqsha hain ??

Iske mutallik imam abu hanifa (rh) ka qaul hai ke:-" makka ke makaan kisi ki milkiyat nahi hain, "

hz umar (ra) ne bhi huqm de rakha tha ke hajj ke zamana me koi shakhs apne ghar ka darwaaza band na kare,


hz abdullah bin umar (ra) ka qaul hai ke:-" jo shakhs makkah ke makaanaat ka kiraaya wasool karta hai wah apna pet aag me bharta hai "

hz abdullah bin abbas (ra) ka qaul hai ke:-" makka me sabke huqooq baraabar   Hain, makka waalon ko baaher waalon se kiraaya lene ka haq nahin hai "


bahergaal aksar tabieen aur aimma mese imam malik, imam abu hanifa , imam ahmad bin hambal (rh) ne kaha hai ke:-" makkah ki zameen ki khareed farokht jayez nahin hai,"

albatta baaz ne imaarat ki haisiyat se in makaano ki khareed farokht ko jayez qaraar diya hai,

aur jo zameen ke ooper jo malba wagerah hai usko becha ja sakta hai, lekin makaanaat ke mutaallik ahle makka ko chahiye ke hajj ke mausam me ba'qadr e zarurat jagah ko rok len aur baaqi khaali kar den, taake haaji bila mu'aauza istemaal kar saken,

bura ho insaan ke zehan nafa khori ka ke aaj kal makka ke log haajiyon ko kaarobaari nazar se dekhte hain aur unse ziyadah se ziyadah nafa kamane ki fikr me rahte hain,

isi tarah bajaaye riyayat karne ke makaanaat ke kiraaye bhi ziyadah se ziyadah wasool karte hain,

masajid par koi pabandi nahin lagaani chahiye, masjid har Aadmi ke liye khuli rahni chahiye,

qur'an kahta hai ke

" us shakhs se ziyadah koi aur zaalim nahi ho sakta jo masajid ki aabaadi ki raah me hael ho aur logon ko masajid me aane se roke aur adayegi namaz ke raaste me rukaawat bane "


hz aqeel bin abi talib (ra) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hijrat ke baad makka me unke makaanaat ko farokht kar diya tha, fatah makka ke mauqe par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne unki baye ko toda nahin tha balke rihaaish ke mutaallik sawaal ke jawab me kaha tha ke:-" kiya aqeel koi makaan chhod gaya hai, ke main usme rihaaish karun ??"

isse saabit hota hai ke maye ka jawaaz hai isliye jayez aur munasib kiraaya par bhi makaan diya ja sakta hai,

imam bukhari bhi isi khyaal ki pairwi karte hain,

kahte hain:-" is se muraad koi khaas fael nahin hai, balke har wah kaam jo zulm ki taareef me aaya ho aur wah gunah ho, raaste se hata hua Ho, gunah har haal me bura hai lekin haram ke andar uska artakaab aur bhi shadeed gunaah hai, masjid e haram ki hurmat ke ahkaam khaas hain,

kisi aadmi ko haq nahi hai ke haram ke baher kiye hue qatal ka badla haram me le, jurm me panaah lene waalon se mut'arz nahi kiya ja sakta, isme jung wa jadal haraam hai,

be'deeni, kufr, shirk, masnui kahat ka paida karna, shikaar karn, giri padi cheez ka uthaana, parindon aur jaanwaron ko maarna, qudrati darakhton ko kaatna wagerah aise kaam hain jinke liye azaab e aleem ki waeed sunaayi gayi hai,


ALLAH HAM SABKO MAHFUZ RAKHE....


(hz allama muhammad ismael salafi, gujranwaala - pakistan )