Wednesday, October 10, 2012

ZARURAT-E-TAQLEED SHAKHSI AUR AAL-E-DEOBAND: (PART 1)





Bismillahirrahmanirraheem



ZARURAT-E-TAQLEED AUR AAL-E-DEOBAND: (PART 1)



Taqleed ki lughwi taareef:

lughat me taqleed gale (neck) me kisi cheez ko latkaana hai, jaise ke ek hanafi alim ne likha hai

(asaas ul balaagha page 375)


lekin jab iska istemal deen ke mafhoom me aayega toh us waqt iska maana :-"kisi ki baat ko be'ghair daleel aur ghaur o fikr ke qubool kar lena hai "

(lisaanul arab jild 3 page 367)


maulana sarfaraz khan safdar farmate hain ke:-" lughat ki jadeed aur maaruf kitaab ( masaabah al lugh'at page 764) me hai 

' qaladah fi qaza '
usne uski falan baat me begair qaur wo fikr ke pairwi ki "

(qalaam ul mufeed page 30)


IS'TELAAHI TAREEF:


Ulema e usool ne taqleed ki taareef yun ki hai

" taqleed aise amal ka naam hai jo kisi ki baat par beghair daleel ke kiya jaaye "

(muslim al saboot jild 2 page 350)

yahi taareef allama aamdi (613 hijri) ne

(ahkaam jild 3 pg 167,168 )


Bahrul uloom abdul yayla ne ( fawahul rahmat jild 2 pg 400)

allama nawawi ne ( tahzeeb asma ul lugh'aat jild 4 pg 101 me)

ibn haajib ne (mukhtasar pg 231 me)

hajrami ne (usool fiqh pg 457)

mufti ahmad yaar gujrati ne (jaal haq jild 1 pg 15 me)

aur mufti ghulam rasool sayidi hanafi barelwi ne (sharah sahih muslim jild 3 page 329) me ki hai,


molvi sarfaraz khan safdar hanafi deobandi farmate hain ke:-" iste'laahi taur par taqleed ka ye matlab hai ke jiska qaul hujjat nahi, uske qaul par amal karna "

(qalaam ul mufeed page 35)


is taareef se saabit hua ke taqleed bila daleel itaa'at wa iqteda ka naam hai, jisme ilm wa istadlal, nazar o fikr ki jagah hasan zan ko di gayi hai,

ye baat khuli hui haqiqat hai ke insaan me ilm wa tahqeeq aur justuzu ko wadiyat kiya gaya hai, bila soche samjhe kisi ke peeche mahaz hasan zan se lagna koi bhi pasand nahi karta,

theek isi tarah ghair maalum masail me Ulema ki taraf ruju karna koi bhi mayoob nahi samjhta

zaahir hai ke ummat se kisi insaan ko waajib ul itteba aur kaamil tareen namoona qaraar dena aur uski baat ko harf aakhir kahna, amalan uski baat ko bila jhijhak qubool karna , usse inharaaf ko gumraahi wa la'deeni wagerah jaise kalimaat se taabeer karna, balke usse ilmi ikhtelaaf karne waale ko la'mazhab se mukhaatib karna SHIRQ hai,

kyonki waajib ul itteba sirf aur sirf ALLAH ki zaat hai aur AMBIYA ki itteba wa pairwi dar'haqeeqat allah hi ki itaat wa farma bardaari hai,

jaisa ki allah taala ne farmaya

" jisne allah ke rasool ki itaat ki usne goya allah ki itaat ki "

(surah nisa 80)

hamari is tamheedi baat se hamare ek deobandi bhai ki ghalat fahmi ka bhi azaala ho gaya ke 

"taqleed shirk nahi "

(tohfa ahle hadith page 32)


KYA TAQLEED SHIRK NAHI ??


iski tafseel toh ham aakhir me darj karenge, sabse pahle ham ' tohfa ahle hadith ' ke  Likhne waale ke ustaad mohtaram ka hawala darj kiye dete hain

farmate hain ke:-" koi bad'bakht aur ziddi muqallid dil me ye thaan le ke mere imam ke qaul ke khilaaf agar quraan wa hadith se bhi koi daleel qayem ho jaaye toh main apne mazhab ko nahin chhodunga toh wah MUSHRIK hai, ham bhi kahte hain, isme shak ki koi gunjaish nahi "

(kalaam ul mufeed page 310 ,298)


EK GUFTUGHU:


DEOBANDI:

Is haqiqat se enheraaf ke liye abu bilal deobandi ne ek chor darwaza bhi khola hai, 

kahta hai:-" ye taareef aapne kis hadith shareef se akhaz ki hai "

(tohfa ahle hadith page 31)


MUHAMMADI:


kitne afsos ki baat hai ke jurm toh aap karen aur daleel ham se talab karen,

azeez bhai ye taareef aapke muqallid ulema e usool ne ki hai

agar taqleed ko huqm sharai hota aur ham us par amal bhi karte , tab toh aapka sawaal durust tha, lekin ham toh ise deen me bid'at kahte hain jo shirk fil itaat hai,

magar aap bholePan se is taareef par hamse hadith ka sawaal kar rahen hai,

ye baat yaad rakhiye ke hamare nazdeek ahkaam shariah me quraan wa hadith hi kaafi hai,

ham ye nahi kahte ke har fael me quran wa hadith hi kaafi hai,

maslan agar koi jaat ye kah de ke qur'an wa hadith se ye dikhaayen ke dhaan ki fasal kab kaatni chahiye ??

Ya aapse koi yah kah de ke ganna (sugarcane) kab kaatna chahiye ??

Iski daleel qaul e imam se inaayat kijiye toh yaqinan aap bhi aise sawaal karne waale ko jawab ki bajaaye dimaaghi operation ka mashwarah denge,

haan ! Agar ham aapse ye sawal karen ke aapke nazdeek taqleed huqm sharai hai aur aap imam abu hanifa ke muqallid bhi hain toh jo taqleed ke taareef aapne bayan ki hai wah imam sahab ke qaul se dikhaayen ??

Magar aap koshish ke ba'wajood iska jawab qayamat tak nahin de sakte,


TAQLEED AUR ITTEBA ME FARQ:


Mazkoorah sutoor me aapne padh liya hai ke:-" kisi ke daleel ke beghair Pairwi karne ko taqleed kahte hain "

jabke itteba ba'daleel hoti hai, jiski wajah se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki pairwi ko taqleed nahin kah sakte kyonke ye daleel ki pairwi hai,


imam ibn qayyim ne alaam ul moqeen me is par bada accha tabsirah kiya hai

farmate hain:-" taqleed beghair daleel ke hoti hai aur itteba ba'daleel"

(alaam ul moqeen jild 2 page 137)


maulana ghulam rasool sayyidi hanafi barelwi farmate hain ke:-" taqleed ke maane hain dalail se qata'a nazar karke kisi imam ke qaul par amal karna aur itteba se ye muraad hai ke kisi imam ke qaul ko kitab wa sunnat ke mawafiq paakar aur dalail shariah se saabit jaankar us qaul ko akhtiyaar karna"

(sharah sahih muslim jild 5 pg 63)

abu bilal deobandi ke ustad molwi sarfaraz khan farmate hain ke:-" ye taiy shuda baat hai ke  iqteda wa itteba aur cheez hai aur taqleed aur hai "

(raah e sunnat page 35)


is se waazeh ho Gaya ke aami(jaahil) ka aalim ki taraf bauqat zarurat ruju karna taqleed nahi kyonki aalim apne fatawe me quraan wa hadith darj karega, jisko maanna us par pahle se hi farz tha, pas aalim ne use quraan wa hadith ye masla samjha diya,


faazil kandhari ne aur mullah hasan sar'neblali ne aqdul fareed me yahi kaha hai ke

" aami ka mufti ki taraf ruju karna taqleed nahin "

(ba'hawala meyaar ul haq page 66)


RADD E TAQLEED


QUR'AN KAREEM SE:

Quran kareem me bahut se aayat se taqleed ki nafi hoti hai, ham chand aayat se unki nishaan dehi karaate hain

" jo kalaam teri taraf ba'zariye wahiy bheja gaya hai usko mazbooti se pakde rah usme shaq nahin ke tu seedhi rah par hai "

(surah zukhruf 43 , sanai tarjuma)


" pas tu unme khuda ke utaare hue huqmon se faisla kijiye, aur jo tere paas sacchi taleem aayi hai use chhodkar khawaahisaat ke peeche na chalen "

(surah maida 49)

in aayat me is baat ka huqm Diya gaya hai ke pairwi sirf aur sire wahiy ki kijiye aur wahiy ki maujoodgi me khawahishaat ki pairwi na karna,


" aur apni zabaano ke jhoote bayan se  na kaha karo ke ye halaal hai aur ye haraam hai ( jis ka nateeja tumhare haq me yah ho ) ki tum allah par jhoota ilzam lagaane lago ( jo cheez allah ne haram nahi ki use haraam kyon kaho ? Suno !) jo log allah par jhoot baandhte hain hargiz kaamyab na honge (balke hamesha nakaam rahenge ) unke liye (duniya me ) thoda sa guzara hai aur (aakhirat) me unke liye taqleef deh saza hai "

(surah nahal 116 ..117 tarjuma sanaai)


ye ayat apne maqsad me bilkul waazeh hai ke kisi cheez ko halaal wa haraam qaraar dena allah taala ke liye khaas hai aur ye ke apni taraf se kisi cheez ko halaal wa haraam kahna maalik haqeeqi par bohtaan baandhna hai is baat ka rabb ul izzat ne " surah yunus ayat 59" me bhi bayan kiya hai,

al'gharz kisi cheez ki hillat wa hurmat ka Taalluq allah ki zaat se khaas hai, ab jo shakhs imam abu hanifa ki taqleel ko HALAAL qaraar dekar use farz wa waajib kahta hai,

zaahir hai ke wah allah ki taraf jhoot mansoob karta hai kyonki allah ne kisi jagah bhi imam abu hanifa ki taqleed karne ka huqm wa irshad nahi farmaya,

ek ayat se ek aur baat bhi malum hui wah ye ke jab koi shakhs kisi cheez ko halaal wa haraam kahta hai toh uski hillat wa hurmat ki koi daleel quraan wa sunnat se dena us par laazim  hai, warna wah allah par bohtaan baandhne waala hoga, aur usse bhi badh kar wah shakhs naadan wa jaahil aur allah ki siffat me shareek thahraane waala hoga jo insaan is hillat wa hurmat ke fatawe ko bila chun chara qubool kar leta hai, aur use tamaam waajibaat se zyadah ahmiyat deta hai, balke uski taraf dawat deta hai aur usse inheraaf islaam se baghaawat ke misdaq karaar deta hai, aur is be'daleel fatawe ke munkareen ko " GUMRAH " me shumaar Karta hai,


hamare deobandi bhai ne tohfa ahle hadith me fiqh ki kitab durre mukhtaar ki badi dhoom dhaam se taareef ki hai aur use madeena ki tasneef qaraar diya hai

(tohfa ahle hadith page 79)



TO BE CONTINUED.....