Bismillahirrahnirraheem
FITNA-E-NAJDIYAT
AUR ULEMA E HIND : (PART-1)
Hindustan
par us waqt Angrezon ki amal daari aur unki poori huqmaraani thi,
balke ye
unka urooj tha jis waqt hejaz me qabron ko inhedaam ki saari kaarwayi ho rahi
thi,
hussain
Shareef, makka jo angrezon ka us waqt agent tha, aur unhin ki madad se
wahan hukumat kar raha tha,
Angrezon
ko uski hukumat se kai tarah ke faayede they, hajj ki jo aamdani hujjaj kiram
se TAX ki soorat me wasool hoti thi, usme bhi uska hissa tha, aur bil'wasta
hukumat hone ki wajah se wahan ke deegar wasail aamdani bhi uske qabzah me thi,
sabse
badi baat ye hai ke hajj ki kunji (key) ya darwaza (gate ) " JEDDAH "
ki bandar'gaah (seaport) angrezon ke paas hussain shareef makka ne rahen
(girwi, mortagage) rakh chhodi thi,
is tarah
" JEDDAH " angrezon ke zer e nigraani ho gaya tha, aur hajj band kar
dena angrezon ke baayen haath ka khel ban gaya tha,
magar jab
Shareef makka ke haathon se hejaz nikal gaya toh angrezon se sab kuch chhin
gaya,
angrez
apni is shikhast aur nuqsaan se tilmilaya hua tha hi, theek isi tarah un
maqbaron ke inhedaam ki kaarwaahi bhi
wahan shuru ho gayi thi,
chunanche
shaatir dimagh (clever minded) angrezon ko musalmano ke jazbaat se khelne aur
apne jabzeh inteqaam lene ka mauqa haath aa gaya. Shah saud ka wah kuch bigaad
nahin sakta tha, angrezon ne nihaayat makkari se ye PROPAGANDA karna shuru kar
diya ke Muhammad bin Abdul Wahab Najdi Tamimi (rh) ke huqm se na sirf sahaba
kiram (ra) ke maqaabir balke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke rozah anwar ki NAOZUBILLAH inhedaam ki
Kaarwaahi shuru ho rahi hai,
Ye jhooti
aur be'buniyad khabrein aisi na thi jis par musalman chup baithe rahte,
chunanche
is jhooti khabar ke mashoor hote hi,
hindustan ke goshe goshe me be'chain, ihtejaj, hangame , aur saudi hukumat wa
Sheikh Muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ki khilaaf naaron aur nafrat
wa adaawat ka ek toofaan aagaya....!!
Bani
Barelwiyat janab Ahmad raza khan barelwi hanfi, jo apne khaandani " Sabayi
Mijaz " ke bina par arsah daraaz se Tafreeq bain ul muslimeen aur millat e
islamiya ke inteshaar wa inhetat ka khwaab dekh rahe they, wah in sab baaton ka baareeki se jayeza le rahe
they,
Unhone
Mauqa dekha, mauqa ghanimat hai, muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) se
hindustan ka musalmam nafrat karne laga hai, aur unke inhedam maqabir ke is
kaarnaame par bar'mala unko bura bhala kahta hai,
unhone
logon ke is rujhaan aur bhadakte hue jazbaat se poora faayeda uthaane ke liye
ek jaame mansooba tarteeb diya,
Ahmad
raza khan barelwi ne sheikh ul islam muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh)
ki kirdaar'kashi ki gharz se seerat un nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) me maujood hijrat ke waaqeye me Shaitaan laeen ka " Sheikh najdi
" ki shakhl me quraish makka ke mashware me shirkat aur abu jahal ki
tajweez ke mutaabik nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko chupke ke
qatal karne.........(READ NAJD AUR NAJDIYAT KA JAYEZA PART 1)
Is waaqeyi
ki bharpoor taeed ka sahara lekar NAJD
aur AHLE NAJD ko Badnaam karna shuru kar diya, aur najdion ke khilaaf jazbah
adaawat ko mazeed hawa dene ke liye Sahih bukhari Kitabul fitan me Maujood
" hadith e najd" ke us pahluon ko aawaam un naas ke saamne kiya..
(READ NAJD AUR NAJDIYAT KA JAYEZA PART 3).
Jiske
mutabik nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne "najd"
ke sar'zameen ke liye dua e barkat
farmane se gurez farmaya hai, aur use fitno ki zameen bataya tha,
"
Faazil Barelwi " Ahmad raza khan sahab ne Nihaaya chalaaki (cleverness) se
hadith me is fitna ka misdaaq Sheikh ul islam muhammad bin abdul wahhab najdi
tamimi (rh) ko thahraaya, Kyunki unka taalluq najd ke elaaqe se tha,
ye dono
baatein awaam un naas ke saamne pesh karne ke baad sheikh muhammad bin abdul
wahab (rh) ko " Sheikh Najdi " ki munaasibat se Shaitaan, mardood,
kafir, aur laanat ka mustahiq thahraana koi mushkil kaam na tha,
Ahmad
raza khan sahab barelwi Bar e sagheer hind o pak ke Tauheed pasand musalmano
aur ahle sunnat ulama ke tabqa se, jo shirk wa bidat ke gumrah kun aqaid wa
amal aur ghair islami riwaayaat ke khilaaf aawaaz uthate rahte they, unke
khilaaf ahmad raza khan pahle hi Se naraaz se kyonki un ulema e haq ne un
rasmon par lagaam lagaani shuru kar di thi, aur is silsile me ahle shia ki bhi
saari koshishen be'asar hokar rah gayin thi,
Lihaza un
ulema e haq se badla wa badnaam karne ke liye janab ahmad raza sahab "
Fazil barelwi " ne intehaai Chalaaki aur fankaari ka muzaahera karte hue
hindustan ke un tamam tauheed pasandon ko bhi muhammad bin abdul Wahab najdi
tamimi (rh) se jodh diya,
kyonki
shirk wa bidat ke khaatme aur tauheed e khalis ki dawat dono me yaqsa haisiyat
rakti thi,
shiya
" nasibi " jiska waazeh mafhoom Yahan " bad'mazhab " aur
" dushman e ahle bait " hota hai, aur ahle shia apne elaawah saari
duniya ke musalmano ko sadiyon se " naasibi " samjhte aur kahte chale
aa rahe hai,
Ahmad
Raza Khan sahab ne Shi'ee istelaah " naasbi" naam badal lafz "
Wahabi " Tajweez kiya, yani muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ke
pairokaar hamnawa !
Ye nayi
istelaah na sirf ye ke naasbi ke ham'wazan aur ham'qaafiya thi, balke uska jo
khud'shaakhta mafhoom logon ke zehno me utaara gaya,
wah bhi
shi'ee istelaah " naasbi " ki tarjumani karta hai,
Shion ke
yahan naasbi " bad'mazhab " aur " dushman e ahly bait " aur
" dushman e awliya " baawar karaaya
chunke us
waqt hejaz me saudi hukumat ke qayaam ke saath hi quboor sahaba kiram (ra) ke
Inhedaam ki kaarwahi ke baad "gumbad e khijra " ko bhi mismar kar
dene ki jhooti afwaah hindustan ke muslim awaam ke jazbaat intehaai garam they,
aur us waqt soorat e haal aisi thi ke muhammad bin abdul wahab najdi tamimi
(rh) se mansoob karke jo baat bhi unke saamne kah di jaati log us par aankh
band karke yaqeen kar lete,
chunanche
khan sahab barelwi ne loha garam dekh kar apni khud'saakhta istelaah "
wahabi " ko tauheed ke hamnawa aur shirk wa bidat ke mukhalif musalmano
hind ke khilaaf ba'taur gaali istemaal karne aur awaam un naas ki zabaan par
" WAHABI " ki is gaali ko rawan dawan karne ka himmati faisla kar
liya,
lihaza is
lafz ke khilaaf nafrat wa adaawat ki aag ko aur zyada hawa dene ke liye, fatawa
jaari kiya ke
"
Wahabi, yahud wa nasaara aur majoosion se bhi bad'tar hai, aur inka kufr unse
bhi zyada hai "
(fatawa
rizwiya jild 3 page 6)
agla
fatawa waarid hua,
"
wahabi, har asli yahudi Nasrani but
parast aur majoos se bhi sabse zyada khabees azar aur bad'tar hai."
(ahkam e
shariat pg 1124, ahmad raza khan )
ye fatawa
bhi logon me maqbool ho gaya toh phir aawaam ko bataya gaya
" ye
kutte se bhi bad'tar hain, ke kutte par azaab nahi aur ye azaab e shadeed ke
mustahiq hain "
( fatawa
rizwiya jild 5 pg 138)
in
lagaataar diye gaye fatawon ka nateeja ye hua ke awaam ke bhadakte hue jazbaat
ko taskeen aur tasalli hui,
aur wah
itni door se saudi hukumat ya muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ka to
kuch na bigaad sakte they, un fatawon ke baad na sirf ye ke khule aam unhen aur
barre sagheer ke tamam tauheed pasandon aur mukhaalifeen e shirk wa bid'aat ko
burabala kafir wa murtad kah kar aur wahabi ki gaali de kar DIL thanda karne
lage,
balke is
tarah khan sahab barelwi , awaami maqbooliyat me bhi roz ba'roz izaafa hone
laga....
Baherhaal
ye ke " naasbi jaisi mashoor Shi'ee Istelaah ke maqam par " wahabi
" ke lafz ke zariye TABARRA ki techniq ki be'misaal maqbooliyat aur
khilaaf e tawaqqo aftaraaq bain ul muslimeen ke mansoobe ko kaamyabi se
ham'kinaar hote dekh ahmad raza khan sahab barelwi ke hauslon ko bulandi mili
aur inteshaar e ummat ke Sabaayi
khwaabon ki ek numayan taabeer saamne aate dekhkar unke takfeeri fatawon
me izaafa hota gaya aur wah kaamyabi ke nashe me be'khud hokar lagaataar
fatawon ke ambaar lagaane lage, jaise
"
wahabi murtad wa munafiq hain aur uper se kalma go hain "
( kokabul
shahabiyah pg 1112)
aur ye ke
"
unhen musalman samjhne waale ke peeche namaz jayez nahi "
(fatawa
rizwiya jild 6 pg 81)
phir
farmaya ke
"
wahabion se musaafa karna na'jayez aur gunah hai,"
( fatawa
rizwiya jild 4 pg 218)
aur apne
jaahil muqallidon ko aagaah kiya ke
"
wahabion ke salaam ka jawab dena haram hai "
( fatawa
africa pg 1170)
Haqiqat
ye hai ke " tabarra" Ahle shia ke tarkash ka ek aisa " zahreela
teer " hai, jiski parwaaz me ghaiz wa ghazab ki chinghaadh, nafrat wa
adaawat ke sholey, bugz wa anaad ki tezi, aur sansanaahat ke elaawah maqooliyat
sharaafat wa adal wa insaaf aur insaaniyat ki qadaron ka ek tukda tak nahin
milta, uska target aur maqsad apne mukhaalifeen ko ziyaadah se ziyadah zahni
aziyat aur taqleef pahunchaana aur unhen ghussa aur jhunjlaahat me mubtela
karna hai, aur bas is tarah fareeq mukhalif ke tilmilaane aur apni botiyan
nochne ke tasawwur se unhe lazzat aur khushi milti hai,
"
ilm e nafsiyaat " ke mutaabik ahle shia ke " tabarra " ka ye
tarz e amal dar'haqeeqat Unke aziyat'pasandi yani ( SADISM) Ke zahni marz ki ek
soorat hai,
maheereen
e nafsiyaat ki tahqeeq ke mutaabik ye khatar'naak zahni kaifiyat dimaghi adam e
tawazan aur junoon (MANIA) ki alaamat hai,
kya ye
dimagi adam e tawazin aur zahni marz me mubtela hone ki alaamatNahin ke koi
insaan tabarra ke junoon ka shikaar hokar us baat ko bhi qatai faraamosh kar de
ke uski zabaan wa qalam se nikalne waale alfaaz maaqooliyat aur haq wa insaaf
se kitni mutaabeqat rakhte hai,
misaal ke
taur par, bani barelwiyat janab ahmaq raza khan sahab ke tabarra aur ghaiz wa
ghazab ka ye naadir namoona mulaaheza farmaayen, wah farmate hain,
"
kufr me yahud wa nasaara se bad'tar hain, hindu , majoos se bad'tar aur
wahabiya hinduon se bad'tar hain "
( fatawa
rizwiya jild 6 pg 13)
Zara
ghaur farmaiyye ! Ke 33 crore devon aur
devtaon ke maanne waale aur khule aam buton ki pooja karne wale hindu, khan
sahab ke nazdeek un tauheed paraston aur kalma go musalmano se lakh darje
bahtar hain, jo quraan wa sunnat ke bataaye hue tareeqon par gham'zan sunnat e rasool ke shaidaayi aur islami riwaayat
ke muhafiz aur ameen hain,
goya
quraan majeed ke alfaz hain
"
unhone (musalmano se ) is baat ka
Inteqaam liya ke wah ( unki khurafaat ke bajaaye ) allah ghalib wa
zabardast saza'waar e hamd par imaan rakhte hain "
(surah
burooj 8)
TO BE
CONTINUED...........