Bismillahirrahmanirraheem
NAJD AUR NAJDIYAT KA
JAAYEZA : (PART-1)
Insari zehano par
zaraaye ablaagh (media) ki mazboot giraft, afwaahon, aur propagandoh, ki
hamesh'giri, nez uski khususiyat wa asraat, aur nataiz ki aur asar har daur me
ek behad'kaargar hathyaar ka kaam deti hai,
magar maujoodh daur
me maghribi (western) media aur zionist ki jadeed media par bila'dasti ke
nateeje me islaam ke khilaaf muzaaheron aur " dahshat gardi " ke naam
se islam aur musalmano ko badnaam karne , kai sahyooni saajish ( zionist
conspiracy ) ne propagandah baazi ke tamam records todh diye hai,
is daur ke tamam
zaraaye ablaagh (media), chaahe wah akhbaaraat (newspaper) hon, ya pamphlate,
ya internet, ya news channel, ya hording, yaani sadkon ya chauraahon ke kinaare
lage hue, bade bade jahaazi sign board wagerah,
isi tarah tele
vision, aur internet, jaise modern wasail, nez loud speaker, cassette, C.D's,
jaise Electronic aalaat ne propaganda ke fan ko baam e urooj par pahuncha diya
hai !!!
Baat sahih ho ya
ghalat, in tamam aalaat (instrument ) ke zariye aap apne mauqaf ko ba'aasaan
aur baraay e raast aawaam un naas (public) ke zehano me utaar sakte hain,
khwaah padhe likhe hoshiyaar aur graduate log hon ya " bilkul jaahil
" ujadh, aur aawaam !
Barr e sagheer (hind
aur pak ) me ummat muslima ki safon ke andar arsah'daraaz se kuch shar'pasand
anaasir aise maujood hain, jo jaan'boojhkar ya anjaane taur par "
sahyooniyat (zionism ) " ki islam dushman propagandah muhim ke hamraah,
aur aalaa kaar aur haath aur baazu bane hue hain, saaf taur par zionism ko hawa de rahe hain,,
zaati mufaad (faayeda)
ya giroh'bandi ke khaatir musalmano me ba'hami nafrat wa adaawat aur tafreek wa
inteshaar ke beej bona unki fitrat saaniyah aur irshad e nabi e akram sallalaho
alaihi wasallam (pbuh):-" kul momin akhwah"
ke huqm ko Taar taar karna unka sheba wa waahid
maqsad ban chuka hai,
islam par propagandah
muhim me fi zamaana unka tareeqa kaar mukhtalif tarah ke hote hain,
jaise ilzaam
taraashi, tabarra'bazi, dushnaam'taraazi, takfeer ulema wa akaabir millat, aur
aslaaf ummat ko badnaam karna, wagerah wagerah,
jahan tak "bure
alfaaz" se pukaarwa wa taana zani ki baat hai toh is zaman me tauheed
pasandon aur deen ke haqeeqi aalam'bardaron ke khilaaf tabarrah'bayi ke liye
islam dushman anaasir ne agarchah bahut se nafrat failaane waale khitaabaat wa
al'qaabaat taraash kar aawaam un naas (public ) me mashoor aur unke wird zubaan kar rakhen hain,
jaise wahabi, lahabi,
gulaabi wahabi, dushmanaan e rasool, munkireen e awliya allah, 24 number,
wagerah wagerah,
magar in sab
propagandah ke ba'wajød sad se zyada haqeer ameez aur nafrat angezi, khitaab
hai " NAJDI", hai,
jiska mafhoom awaam
un naas k zehnon me" SHAITAAN LAEEN" Se kam nahin.......
Kyonki uska tareekhi
pas e manzar hijrat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke jis waqeye
se juda hai, usme " SHEIKH NAJDI " ke kirdaar ko buniyaadi ahmiyat
haasil hai,
chunanche "
NAJD" ki nisbat se is waqeye ka propagandah bidation apni mahfilon me
nihayaat tabbarruk ke saath karte hain, aur is tarah unka maqsad na sirf SHEIKH
UL ISLAM MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI TAMIMI (RH) ke kirdaar par keechhad
uchhaalna hota hai, balke wah iske zariye tamam hi tauheed pasandon ki
kirdaar'kushi aur buraayi wa tabarra ko apna ash'haar banaaye hain,
isliye aage badhne se
pahle munasib malum hota hai ke hijrat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ke us waqeye par ek sarsari nigaah daal li jaaye.....
Taareekh wa seerat ki
kitabon me janab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka makkah hijrat
waqeya badi tafseel se milta hai,
nabi e akram
sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ki dawat e islam ka makki daur jin
pareshaanion aur takleefon me guzra aur
islam qubool karne walon par zulm wa sitam ke jo pahaad quraish e makka ne tode
they, unki tafseelaat se har padha likha deendaar musalman acchi tarah waaqif
hai,
allah taala ki taraf
hijrat ka huqm mil jaane ke baad jab
makka se musalmano ki badi tadaad apna gharbaar sab kuch chhod kar yasrib
(madeena) ki taraf hijrat karke jaane lage toh quraish e makka ko badi fikr
paida ho gayi, kyonki in barbaad musalmano ko panaah dene wale " yasrib
" ke mashoor qabail " aos " aur " khajraj " intehaai
bahadur aur ba'asar jangju aur himmati log they,
ahle makka ke
tijaarati kaafile mulk e sham (syria) jaate rahte they, unki guzar'gaah bhi
yasrib (madeena ) ke qareeb se hokar jaati thi,
unhen khatrah hua ke
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) jald hi hijrat karke un logon se
ja milenge, toh unke liye mustaqbal (future) me ek azeem khatrah khada ho
jaayega,
chunanche nabi e
akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me "aakhiri faisla"
karke ke maqsad se makka ke " daarul nadwa " me jama hue jo unka
parliament tha, aur unhone logon ko taakeed (elaan )ki ke:-" makka aur
qurb wa jawaar ka koi bhi aqalmand aur ba'shaoor aadmi jo mashwarah dene ki
salahiyat rakhta hai, is ijlaas (meeting ) me shirkat se peeche na rahe"
mashonr muwarrikh ibn
ishaq, hz abullah bin abbas (ra) se riwayat karte hain ke:-" jab wah log
waqt e muqarrar par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me '
aakhiri faisla' karne ke liye 'daarul nadwa'
me jo haram shareef ke qareeb hi waaqe tha, jama hue, toh SHAITAAN E
LAEEN bhi ek tajurbah kaar boodhe ki
shakal me qeemti libaas pahne hue darwaaze par aa khada hua,
jab quraish e makka
ne ek ajnabi aur buzurg soorat shakhs ko is tarah darwaze par khada dekha toh
unhone Poocha ke:- " aiy sheikh ! Aap
kaun hain ? Aur kahan se aayen hain ? "
shaitaan ne jawab
diya ke:-" main elaaqa e ' NAJD ' ka rahne waala hun, maine suna hai ke
aap logon ne aaj koi aham faisla karne ke liye ijlaas talab kiya hai, main bhi
is ijlaas ki kaarwaahi sunna chahta hun, mumkin hai ke main bhi aap hazrat ko
koi sahih mashwarah de sakun"
wah sab bole:-"
tashreef laiyye "
chunanche is tarah
SHAITAAN E LAEEN " sheikh najdi " ke bhes me unki majlis me shareek
ho gaya, ijlaas ki kaarwaahi shuru hui toh quraish ke mukhtalif sardaaron, aur
maaldaar logon ne apni apni samjh ke mutabik mukhtalif tajaaweej pesh ki,
kisi ne mashwarah
diya ke :-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko hath'kadi
pahna kar aur pairon me lohe ki bediyan daal kar kaal'kothri me qaid kar diya
jaaye, jis tarah maazi me pahle logon ke saath sulook kiya gaya tha, aur wah
bil'aakhir qaid khaane me marr gaye they "
Sheikh najdi ki
shakhl me maujood shaitan e laeen ne is tajweej ko radd karte hue kaha
ke:-" ye koi maaqool tajweez nahi, uske saathion ko pata chalega toh wah
tumpar hamla karke chhuda le jaayenge, "
dusri tajweej
zila'watan karne aur mulk'badar kar dene ki thi, usko bhi sheikh najdi ke bhens
me maujood shaitan ne radd kar diya aur unhen samjhaya ke tum log muhammad (sws) ki fahasat wa balaaghat aur naram
kalaami se kya na'waqif ho ??
Wah shakhs apni
baaton se dusron ka dil jeet (moh )leta hai, jahan jaiga apni meethi meethi
baaton se logon ko apna hamnawa bana lega aur anjaam ka ek lashkar jaraar lekar
tumpar hamlawar hoga aur tumse iqtedaar aur hukumat chheen lega,
mukhtasar ye ke
aakhir me abu jahal ki tajweez se :-"har ek qabeela se ek ek naujawaan iraadah ka pakka, badan ka
mazboot, talwaar ka dhuni, aur phir har ek ek ko ek nangi talwaar de kar huqm
den ke wah waqt e muqarrar par mauqa Paakar ek baargi nabi e akram sallalaho
alaihi wasallam (pbuh) par hamla karke qatal kar den, is tarah unka khoon tamam
qabail me bat jaayega aur phir banu abd e munaf apni saari qaum se inteqaami
jung nahi ladh sakenge, "
ye sunkar sheikh
najdi ke bhes me maujood shaitaan e laeen chilla utha, ke bas bas !!!
Yahi tajweez sabse
ziyadah maaqool aur kaar'aamad hai,
chunanche is par
intefaaq e raaye hokar jalsa bar'khaast ho gaya aur phir tajweez ke mutabik
kuffar e makka ne ek raat janab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)
ke ghar ka muhaasera kar liya taake jab subah saadik ke waqt namaz padhne ke
liye ghar se niklein toh aapka usi tareeqe se ek'baargi hamla karke kaam
tamam kar diya jaaye "
TABSIRAH:
Taareekh wa seerat ke
is waqeye ko buniyaad banakar islam ke
bidati aur yahud wa nasaara ne " NAJD " ki nisbat ke khilaaf nafrat
wa adaawat aur tabarra ka toofaan barpa kiya hai, aur NAJD Se nisbat rakhne
waalon ke wajood ko jis tarah mustaqal taur par shaitaan ke wajood se jodh diya
hai, wah mohtaj e bayaan nahi,
halaanke shaitan
laeen ka ye koi mustaqal bhes nahin tha,
chunanche seerat e
nabwi ki kitabon se pata chalta hai ke " jung e badr " ke mauqa par
shaitan yani suraaka bin malik haythami ki shakl me tha, aur dauraan e jung
unki himmat afzaai kar raha tha,
jab usne aasmaan se
farishton ke lashkar musalmano ki madad ke liye utarte dekha toh satpata kar
ulte pair wahan se faraar hogaya,
toh kya hz suraaka
bin malik hythami (ra)......... Jo baad me musalman hokar sharf sahabiyat se
munawwar hue they...... Unse mahaz is wajah se nafrat ki jaaye, ke shaitaan ek
martaba unki shakl me zaahir hua tha..... ??
Aur kya oondhi mantak
(logic) ki buniyad par hz suraka bin malik (ra) jaise sahabi e rasool se
shadeed nafrat wa adaawat ka sabak musalmaö ko is tarah padhaaya jaayega, jis
tarah SHEIKH NAJDI ki munasibat se NAJD aur ahle NAJD se mustaqal taur par nafrat
wa adaawat ka sabak nahin diya gaya hai ???
Isi tarah bukhari
shareef me maujood hz abu hurairah (ra) se marwi ye sahih hadith bhi qaabil e
ghaur hai ke :-" ek martaba unhen nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) sadaqaat zakaat ke maal ki hifaazat par mutayyan farmaya tha, maal ki
jis kothari me hz abu hurairah (ra) soye hue they, usme aadhi raat ke baad ek
baddu yani ujad dehati chupke daakhil hokar maal sametne laga, hz abu hurairah
(ra) ki aankh khul gayi, aapne lapak kar usko pakad liya, wah baddu dehati
minnat samaajat karne laga aur phir na aane ka waada lekar aapne use chhod
diya,
subah ko ye waqeya
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko bataya, aapne farmaya:-"
wah chhota hai aur aaj phir wah dobara aayega "
chunanche raat ko
phir aisa hi waqeya pesh aaya aur hz abu hurairah (ra) ne ek baar phir Uske
gidgidaane se minnat samajat karne aur dobara na aane ke waada par aitbaar
karke chhod diya,
subah ko nabi e akram
sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se uska zikr kiya toh aapne farmaya:-"
wah shaitaan laeen tha, tum uske jhoot
par aitbaar na karna aur aaj phir aayega "
chunanche jab wah
dehati baddu ki shakl me chori ki niyyat se maal khaanah me ghusa toh hz abu
hurairah (ra) ne usko pakad kar rassi se baandh diya, aur usko kaha:-" aaj
toh tujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas pakad kar zaroor
le jaunga , ab tujhe kisi qeemat par nahin chhodunga "
is par baddu ke bhes
me maujood shaitan kahne laga ke:-" agar tum mujhe chhodne ka waada karo
toh main tumko ek aisa amal bataaunga ke jiske karne se tumhara maala wagerah
shaitaan wa jinnaat ke asraat aur qabze se mahfooz rahega "
hz abu hurairah (ra)
ne jab uski baat par apni aamadgi zaahir ki toh us par shaitaan ne bataya
ke:-" Agar ' ayatul kursi ' padh kar kisi maal par dam kar diya jaaye
shaitaan us maal par qaabiz nahin hota aur na us ghar me daakhil hota hai, jis
par ayat ul kursi ki rozaana tilaawat ki jaaye "
ye sunkar hz abu
hurairah (ra) ne usko chhod diya aur subah ye baad unhone nabi e akram
sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko bataayi toh nabi e akram sallalaho alaihi
wasallam (pbuh) ne farmaya:-" shaitaan agarchah jhoota hai, magar us
jhoote ne ye baat sach kahi hai "
(sahih bukhari )
bukhari shareef ki is
hadith se zaahir hota hai ke shaitaan ne arab ke ek dehati jinhen baddu kaha
jaata hai, uska bahroop bana kar sadaqaat ke maal me khurd burd karne ki
koshish ki thi,
toh aisi soorat me
sheikh najdi waali mantak ke mutabik arab ke har baddu ko shaitaan tasawwur
kiya jaayega ???
Isi tarah ek sahih
hadith me unhi sahabi e rasool hz abu hurairah (ra) se marwi hai ke:-" ek
martaba nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) namaz padh rahe they, usi
dauraan shaitaan ek billi ki shakal me namudaar hua, aap nabi e akram sallalaho
alaihi wasallam (pbuh) farmate hain ke:-" us waqt shaitan ne meri namaz me
khalal daalne aur use mun'qata karne ki bahut koshish ki magar allah taala ne
mujhe uspar kaabu de diya tha, aur maine usko pakad kar uska gala daba diya us
waqt mera dil chahta tha ke main usko masjid ke kisi sutoon se baandh dun taake
tum log subah usko acchi tarah dekh lete, magar mujhko us waqt apne bhai
suleman (as) ki ye dua yaad aa gayi
" rabbi ighfir
wahab'li mulkan la yanbaghi li'ahadin
min baadi "
trans: yani mere
rabb! Meri maghfirat farma de aur mujhe aisi sultanate ata farma de jo mere
baad kisi dusre ko naseeb na ho,"
chunanche shaitaan
mardood ko mere paas nakaam kar diya
(haiwaatul haiwaan
jild 3 pg 468-469)
toh kya "
najdiyat" ki mazkoorah oondhi
mantak ( Logic) ki ru se billion(cats)
ki poori nasal ko hi baatin me SHAITAAN tassawwur kar liya jaayega??,
jis tarah elaaqa " NAJD" Se mutaalliq har fard ko
kam o besh shaitaan aur nafrat wa adaawat ka hadaf qaraar diya gaya hai ???
Baherhaal ! " najdi " ka lafz ek makhsoos tabqe
ke awaam un naas ke zahno me ghalat propaganda ke nateeje me intehaayi ghalat aur
" GHAALI " ki shakhl me akhtiyaar kar chuka hai,
TO BE CONTINUED.....
Inshallah part 2 me
najd ka sahih mafhoom bayan kiya jaayega...