Monday, October 1, 2012

NABI-E -AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) SE MUHABBAT KARNA HAR MUSALMAN KE LIYE ZAROORI HAI (PART 2)

Bismillahirrahmanirraheem



NABI-E -AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) SE MUHABBAT KARNA HAR MUSALMAN KE LIYE ZAROORI HAI (PART 2)



MASLA- 41


hz khubaid bin adi (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz urwa bin zubair (ra) se riwayat hai ki jin mushrikeen ke baap dada badr me qatal hue they we jab hz khubaib (ra) ko qatal karne lage toh unhe kasam dekar poocha:-" kya tumhe yah pasand hai ki tumhari jagah muhammad hote aur tum phaansi paane se bach jaate ? "

hz khubaib (ra) ne farmaya :-" nahi, allah ki qasam ! Mujhe toh yah bhi pasand nahi ki meri jagah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke qadam mubarak me kaanta bhi chubhe "

is par mushkireen ne kahkaha lagaya


(tabrani )


MASLA-42


Hz zaid bin haarisa (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz jabla bin haarisa (ra) kahte hain main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidamat me haazir huwa aur arz kiya:-" ya rasoollullah ! Mere bhai zaid bin harisa ko mere saath rawaana kar den,"

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" zaid tumhare saamne maujood hai agar wah tumhare saath jaana chaahta hai toh main use kabhi nahi rokunga "

hz zaid (ra) ne arz kiya:-" ya rasoollullah ! Allah ki qasam, main aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke muqaable me kisi dusre ko tarjeeh nahi dunga "

hz jabla kahte hain:-" mere bhai ki raaye, meri raaye ki nisbat bahut behtar thi "

(tirmizi )


MASLA-43


hz saad bin rabi'a (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat



hz yahya bin saeed (ra) kahte hain, uhud ke din nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" mujhe saad bin rabi'a ke baare me kaun khabar laakar dega ?" (wah maidan e jung me kis haal me hain )

ek admi ne arz kiya:-" ya rasoollullah main Khabar laata hun "

wah gaya aur laashon me hz saad bin rabi'a ko talaash karne laga,

hz saad bin rabi'a (ra) ne (admi ko dekhkar ) poocha:-" kise talaash karte ho ?"

admi ne jawab diya:-" mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne tumhari khabar lene ke liye bheja hai"

hz saad bin rabi'a (ra) ne kaha:-" acchha ! Wapas jaao, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se mera salaam arz karna aur bata dena ki mujhe neze ke 12 ghaao aayen hain jo meri jaan lene waale hain aur apni kaun se kahna:-" yaad rakho ! Agar tumme se ek admi bhi zinda raha aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) shaheed kar diye gaye toh allah taala ke yahan tumhara koi bahaana qubool nahi hoga"

( rawah malik kitabul jihad )


MASLA-44


hz ziyad bin sakan (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


ibn ishaq kahte hain (ghazwa uhud ke din ) jab dushmano ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par hamla kar diya toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" kaun hai jo hamare liye apni jaan deta hai ?"


hz ziyad bin sakan (ra) 5 ansaarion samet khade ho gaye aur ek ek karke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka bachaao karte hue shaheed ho gaye, sabse aakhir me hz ziyad (ra) ya hz ammara (ra) akele rah gaye aur we akele ladte rahe yahan tak ki ghaao ne unhe gira diya, phir musalmano ki ek jamat palti aur unhone hz ziyad (ra) se dushmano ko hataya

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" ise mere qareeb karo "

logon ne hz ziyad (ra) ko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke kareeb kiya toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne apna qadam mubarak unki daardhi ki taraf badaaya taaki wah us par apna gaal mubaarak rakh saken phir wah is haalat me inteqaal kiye ki unke gaal nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke qadam mubarak par they


(ibn hisham )


MASLA -45



Banu dinaar ki ek aurat ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz saad bin abi waqqas (ra) se riwayat hai ki ( ghazwa uhud se wapsi par ) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka banu dinar ki ek aurat par ghuzar hua jiska shauhar, bhai aur baap jung e uhud me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath ladhte ladhte shaheed ho gaye they, jab logon ne use uske shauhar, bhai, baap ki shahadat ki khabar di toh usne poocha:- " nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka kya haal hai ?"

logon ne jawab diya:-" umme falan ! Allah ki rahmat ke mutabik khairiyat se hain "

aurat ne kaha:-" mujhe dikhaao, jab tak main apni aankhon se dekh nahi leti, mujhe qaraar nahi aayega "

logon ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taraf ishara karke bataaya Ki we hain, jab usne apni aankhon se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko dekh liya toh kahne lagi:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko dekhne ke baad saari museebatein kam hain"

(al badaya wan nihaya part 4 page 423)


MASLA-46


Hz rabi'a bin kaab (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz rabi'a bin kaab (ra) kahte hain:-" main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke yahan basar karta, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke liye wuzu ka paani aur dusri zarurat ki cheezein laaya karta"

(ek din ) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne (khush hokar ) irshad farmaya:-" koi cheez (maangna chaaho ) toh maango "

maine arz kiya:-" jannat me aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka saath chaahta hun "

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne phir poocha:-" kuch aur ?"

maine arz kiya:-" bas yahi "
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" sazdon ki ziyadati ke saath meri madad kar ( taaki tumhare liye sifarish karna mere liye aasaan ho jaaye ) "

(muslim kitab us salat )


MASLA-47


Hz abu hurairah (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz abu hurairah (ra) ( ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko mukhatib karke ) farmaya:-" ya rasoollullah ! Jab main apko dekhta hoon toh meri aankhen thandi ho jaati hain aur dil khush ho jata hai lekin jab aap nazar nahi aate toh mera dil bujh jaata hai ya aisa hi koi alfaz kahe "

(bazzar majua ul zawaid kitabul manaqib )


MASLA-48


Hz abu ayyub ansari (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz abu ayyub (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ( madeena tashreef laane ke baad ) unke yahan mahmaan thahre,
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne nichli manzil me qayaam farmaya aur abu ayyub (ra) uper waali manzil me they....

Abu ayyub (ra), nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke liye khaana taiyyar karte jab (khadim ) khaana waapas laata toh hz abu ayyub (ra) khadim se poochte:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki ungaliyan khaane par kahan kahan lagi hain ?"

hz abu ayyub (ra) bhi isi jagah (apni ungaliyan rakhkar ) khaana khaate

(muslim kitabul asharba )


MASLA-49


hz umme hani (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz umme hani (ra) kahti hain fatah makkah ke din hz fatima (ra) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki baayin taraf aakar baithin aur main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki daayin taraf, itne me ek laundi bartan lekar aayi, jisme peene ki koi cheez thi,

laundi ne wah bartan nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko diya,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne us bartan se piya, phir wah bartan mujhe diya, maine bhi usse piya aur kaha:-" ya rasoollullah ! Mera roza tha, maine ( aapka jhoota peene ke liye ) roza todh diya "

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne  poocha:-" kya tumne qaza roza rakha tha ?"

maine arz kiya:-" nahi "

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" agar nafli roza tha, toh koi harz ki baat nahi "

( abu dawood )


MASLA-50


Hz bilal (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz muhammad bin ibraheem taimi (rh) kahte hain ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat ke baad abhi aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tadfeen nahi hui thi,

hz bilal (ra) ne azaan di aur jab " ash'hadu anna muhammadur rasoollullah " par pahunche toh sahaba kiram  (ra) foot foot kar rone lage, jab aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tadfeen ho gayi toh hz abu bakr (ra) ne hz bilal (ra) se kaha, azaan do,

hz bilal (ra) ne kaha:-" agar aapne mujhe apni khaatir aazad karaya hai toh phir aapko yah huqm dene ka haq hai, lekin agar aapne mujhe allah ki khushi ke liye aazaad karaya hai toh phir mujhe kuch na kahiye "

hz abu bakr (ra) ne kaha:-" maine tumhe sirf allah ki khushi ke liye azaad karaaya hai "

hz bilal (ra) ne kaha:-" toh phir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat ke baad ab main kisi dusre ke liye azaan nahi kahunga "

hz abu bakr (ra) ne farmaya:-" achha , teri marzi "

( sifwatus'safwa 1/200)


TO BE CONTINUED....